FOREX career k Faidy Or Nuqsanat

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    FOREX career k Faidy Or Nuqsanat
    Assalam alaikum guys!
    umeed ha ap sb khairiat se hn gy or apka trading week acha jaa raha ho ga.
    dear memebrs meri aj ki post un members k lye ha jo k forex ko as a career full time job adopt karna chahty hain.
    es post main hum forex career k faidy study karen gy or nuqsanat ko next post main dekhen gy or unko compare kar k result dkhn gy k kia forex aik faidymund career ha.

    Forex Career K Faidy:

    dear members forex ko as a career apnany k faidy darj e zail hain


    i) Low Cost:

    Dear members forex trading aik wahid aisa business ha jisko ap km se km investment se start kar skty hain.
    Bht sary brokers ab km se km $50 tk ka deposit accept krty hain eska mtlb ha k ap $50 se forex trading start kar skty hain or es main baki costs jesa k spread wo b bhht km hota ha jo k broker to broker vary karta ha.
    laikin equity ki nisbt bht km spread hota ha.

    ii) High Liquidity:

    Dear members agr forex ko ksi or market se conpare kia jy to ye sb se bari market ha es main dIly daily $7 trillion ki trades hoti hain. Es trha es main hr wqt price fluctuates hoti hain jis main ap trade le skty hain or es main bary se bara order bhi on time book ho jata ha.

    iii) variety of pairs to trade:

    Dear members forex market main 28 major currency oairs hain or us k sth commofities jesa k gold , silver or oil bhi hain in k ilawa bht or currency pairs ab to bl k cryptocurrencies ko bhi ap forex main trade kar skty hain.
    estrha ap k ps bhht options hoty hain or agr apko aik pair main ni milti trade to ap dosry main ja skty hain.

    iv) Ease of Entry:

    Dear members forex market main koe bhi entry leny k lye ap 100 se zada moujood indicators se help le skty hain or ap analysis bhi kr skty hain. Srf aik click py ap forex market main trading kar skty hain.

    V) No central regulator:

    Dear members forex demand or supply k mechanics py work karta ha koe es main central regulatory authority ni hoti
    jski waja se price ki manipulation ka dr ni hota ha prices srf or srf demand & supply ki base py fluctuate hoti hain.js ki waja se koe sudden surprise ni ho skta.


    Forex Career K Nuqsanat

    dear members forex trading ko as a career apnany k nuqsanat darj e zail hain.

    i) LACK OF TRANSPARENCY:

    Dear members forex market aik deregulated market ha or esko brokers ny dominate kia hoa ha or apkibtrades broker ki trf se hi lgti hain.
    ho skta ha broker kbhi manipulation kar dy kbhi spread ki shkl main apka SL hit kar dy to kbhi orofit km kr dy.
    or ho skta ha apki trades sahi price py na book hn.
    es sb se bacny k lye aik acha broker jesa k instaforex ha esko select karen.

    ii) Complex price determination:

    Dear memebrs forex main price ki prediction ka primary tareeka technical analysis ha agr traders ka technical analysis hi glt hoa to unko loss ho ga.
    technical analysis k sth sth fundamental analysis bhi ha jo k kafi complex ha estrha price determination bhi asaan kam ni ha.

    iii) High leverage , High risk:

    dear members bhht se traders lalach mai aa k kafi high leverage le lety hain wo smjhty hain leverage se sirf unko faida ho ga jb k jtna faida hona hota ha utny hi nuksan k chances hoty hain.
    Es kye aksr yhi leverage hi traders ko le dobti ha wo lalach main aa k high leveage lety hain jb k agr eska faida ha to nuksan b ha.

    IV) Self directed learning:

    dear members forex market main aik trader ko khud hi sb kch smbhalna or seekhna hota ha eskonkoe supervise karny wala ni hota jesa k stock market main apko trade advisor ya portfolio manager mil jaty hain.
    es waja se forex main bhht se beginners start main losses ki wja se chor jaty hain.

    v) High Volatility:

    Dear members bghair knowledge k agr highly volatile market main trade kia jy to loss hi hota ha aksr.
    high volitility wesy achi smjhi jati ha trading main q k es main bht c oppertunities mlti hain laikin ye utni hi dangerous bhi hoti ha q agr ye profit dy skti ha to loss k risk bhi utny hi hoty hain.
    THANK YOU GUYS ! :1f60a:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: FOREX career k Faidy Or Nuqsanat

    Forex Trading Market Faidy (Pros)


    Click image for larger version

Name:	images (126).jpeg
Views:	7
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12354568

    Aajakl k financial market me Americaan dollar musalsal dosri currencies k muqabele me oper-nechay (up-down) ho raha hai. Traders ka almi sharah sood (intrust rate) me kami aur market ki equity me kami ki waja se aik naye karobar ki taraf rujhan barha hai. Tejarat aur gher-mulki sarmayakari me almi izafay ki waja se bohut si qomi maeeshaten (economies) aik dosre se juri howi hen. Ye bahmi rabat aur zare-mubadela (exchange rate) ki sharah me ane wale utar-charao (fluctuations) ne aik bohut bari almi market banaye hai. Forex market ne bohut se sarmayakaron (investors) k leye dichasp muaqay aur munafay k naye imkanat peda keye hen. Forex market apne investors ko market ki har tarah ki soratehal me kamaye k behtareen mawaqay (opportunities) faraham karti hai. Forex trading k marndarjazel fawayed hen:

    24-Hours Market

    Forex trading market ki sab se bari hososegat ye hai k ye market hafte k 5 din 24-hours open hoti hai. Traders ko ikhteyar hota hai k wo apne leye aik makhsos waqat chun sakta hai jo us ko acha lagta ho aur ya wo 24-hours bhi trading kar sakta hai.

    No Commissions

    Forex trading me agar app kisi market maker k sath karobar karte hen to us sorat me koi clearing fees nahi, koi radu-badal (exchange) fees nahi, koi government fees nahi aur kisi bhi qisam ki koi brokerage fees talab nahi ki jati hai.

    Low Spreads

    Forex trading me soreads bohutvkam hone ki waja se ia business ka cost bhi bohut kam hai. Spreads mukhtalif brokers ka mukhtalif ho sakta hai lekin agar hum is ka muazena dosre karobar se karen to is me brokers ki fees (spreads) ki sorat me intehaye kam hai.

    No fixed lot size

    Forex trading market me koi makhsos lot size nahi hai. Jitna aik karobari (investor) ka sarmaya hota hai us k mutabiq wo mukhtalif lot size ka istemal kar sakta hai.

    High Liquidity

    Forex trading market ka daily hujam (volume) $6 trillions uboor (cross) kar chuka hai, is waja se is karobar me traders k pas pora muqa hota hai k wo high liquidity ki waja se market me apne aik makhsos waqat me faida hasil kar sakta hai. Forex trading market pori dunya ka sab se ziada liquidity matket hai.

    High leverage

    Forex trading market me hum kam sarmaye se ziada volume ki trading kar sakte hen, aur ye is waja se mumkin hai k is business me leverages bohut ziada hai. Forex trading ka margin level dosre karobar ki nisbat kam hai jis me traders k pas ziada market share khareedne ka moqa hota hai. Kuch brokers to 1:1000 se bhi ziada ka leverages apne clients ko dete hen.

    No Middle Man

    Forex trading ka ye bhi aik bara advantage hai k is market me trader aur market k darmeyan koye teesra fareeq (middle man) nahi hota. Forex trading me traders dorect market me entry karte hen. No middle man ki waja se forex trading ka karobar din ba din bohut zyada wasee (broad) hota ja raha hai.

    Limited Regulations

    Forex trading market ka ye bhi bohut bara faoda hai k is business me rules aur regulations kam hen. Clients apne brokers ko simple KYC ki badulat dunya ki sab se bari mandi (market) me rasaye hasil kar sakte hen. Is k badolat stock market aur dosre business me rules aur regulations bohut ziada hen.

    Forex Trading k Nuqsanat


    Click image for larger version

Name:	images (127).jpeg
Views:	5
Size:	11.1 کلوبائٹ
ID:	12354569

    Wese to forex trading market baqi financial market se kuch mamelat me behtar hai, jais3; kam volume ki requirements, time ki pabandi nahi, waqat ki koi pabandi nahi, technical analysis se trading, no commission, no taxes, kam rules and regulations etc. Lekin is k elawa forex trading me kuch aise naqayes bhi hen jo ye karobar kuch traders k leye mushkil ho jata hai.

    Leverage Risk


    Forex trading me brokers traders ko bohut ziada leverages de rahe hote hen, jitna ziada leverage hoga utna hi ziada trades lagane ki facility hoti hai. Forez trading me chonkeh sab se ziada leverages deye jate hen aur kam se kam trades open karne ki bhi koi limits nahi hoti, is waja se traders k sarmaye ko bohut ziada loss ka hadsha hota hai. High leverages ki waja se baaz traders apna sarmaya minto me zaya kar dete hen.

    Volatility Risk


    Forex trading market me dosra sab se bara masla high volatility ka hota hai. Traders k leye market ki currencies me ziada utaar charo nuqsan ka sabab ban sakta hai. Kam sarmaye wale traders aksar volatility ka shikar hote hen aur apna sara sarmaya zaya kar dete hen.

    Broker Risk


    Wese to forex trading market me ladad brokers maojood hen lekin new trades k leye achay brokers ka intekhab karna bohut mushkil hai. Traders k leye brokers ka risk us k sarmaye k loss se le kar market me slippage tak barqarar rehta hai. Dosra forex trading me brokers k leye license ka hosol aik mushkil marhala hai, q k forex trading market k rules aur regulations brokers k leye mushkil hote hen jo sahuleyat us ne apne clients ko dene hote hen.

    Self learning or training


    Forex trading ka aik issue ye bhi hai k is karobar me sab kuch khud karna hota hai, khas kar chote traders ko. Forex trading ki nisbat stock market mukhtalif hoti hai, jahan har qadam pe rahnumaye ki jati hai, lekin yahan pe aisa nahi hai. Forex trading me ziada tar new trader is business ko is waja se chor jate hen k un ki knowledge, experience aur trading skills (trading discipline, control on over-trading, use of stop loss etc.) me kami hoti hai.

    Easy Access Risk


    Aan kal forex trading k karobar tak rasaye bohut asaan ho chuki hai. Android ya I-phone ki madad se hum dunya k kisi bhi khone se kisi bhi waqat ye karobar chala sakte hen. Forex trading k is asan rasaye ne bhi ye karobar hamare ley riski banaya hai, khas kar new traders ya jin logo me sabar nahi hota un k leye. Forex trading k apps asani se approachable hen jis ko aksar traders har waqat open karte hen aur ziada tar new traders har waqat trading karne ki koshash karte hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X