Spining top candlestick pattern in forex

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Spining top candlestick pattern in forex
    Dosto forex main kamyab hone ke liy kise na kise hikamat amli ke be had zarorat hote hay jis par amal karte hoe kamyabi ke koshish he hamain kamyab insan bana te hay is liye zarore hay ke pore tawajo ke sath kam kya jai take apne makasid main bahtar nataij hasil kye ja sakain to chalo dosto aapne topik ke janib chalte hain or aik ayse hikamat amli ko samajhne ke koshish karte hain jo hamare liye forex main kamyabi ka rasta hamwar kar sake

    SPINING TOP CANDLESTICK PATTERN

    Dost spining top hamasha chart main small body or long wiks ke sath namodar hota hay baz owqat wiks aik dosre se kuch bare choir ho skate hain Magar perfect spining top us waist ahmyat ka hamil hota hay jab all Kaiser wiks yani shadow hon jitne ziad wiks long hon ge utna he acha kam karain ge jaisa ke tasver main dikhaya Gaya hay

    Click image for larger version

Name:	images (6).png
Views:	34
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12486757


    TRADING WITH SPINING TOP
    Dosto agar aap spining top ke sath market main karedari yah bikwali karna chahte hain to aap ko aik ache profit ke liye spining top candle ctick petyrn ko chart main banne ka intazar karna hoga jaise he chart main spining top bane aap ko is bat ka khayal rakhna hay ke jab price spining top ke lo ya high ke uper chala jai to aap ko market main intre dalne hay or pichle candle ka stop loss lagana hay magar aik pat ka dhayan rakhna hay aap ka risk hamasha 1 ya 2% he hona chahye or conformation par he trade lana hay mazeed rahnumai ke liye tasver ka ba ghor jaiza lain

    Click image for larger version

Name:	spinning-top-and-the-support-or-resistance-level.jpg
Views:	1
Size:	28.4 کلوبائٹ
ID:	12486758


    SPINING TOP WITH TECHNICAL I DICATOR

    friends mazee trading main filtration ke liye aap technical indicator ka istamal bhe kar ke bahtar nataij hasil lye ja sakte hain or trading ko ziada acorat kya ja sakta hay shukarya


    Click image for larger version

Name:	images (7).png
Views:	27
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12486759
    Thank you for your attention
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Spining top candlestick pattern in forex

    Spinning Top Candlestick Pattern


    Introduction


    Spinning top candle stick pattern me candle ki body ki nisbat uper and down aik bara saya (shadow) hota hai. Candle stick ki body saye (shadow) k center me hota hai, yani jitna saya oper (uper) hota, utna hi down side pe bhi hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (106).jpeg
Views:	9
Size:	13.0 کلوبائٹ
ID:	12354448
    Spinning top candle stick pattern ko pattern k lehaz se do qismen hen:

    1. Bullish Spinning Top
    2. Bearish Spinning Top



    1. Bullish Spinning Top


    Click image for larger version

Name:	images (196).png
Views:	1
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12354449

    Bullish Spinning top candle stick me candle ki close position open se bari hoti hai, lekin candle ki overall range se choti hoti hai. Candle ki pori real body uper aur lower shadow k lambaye k majmoe se lazmi choti honi chaheye.
    Ye aik bullish candle hogi, q k is ka close position open se ziada hota hai. Spinning top candle market ki be-yaqeeni ko zahir karti hai, aur is ko aam tawar par sideways trend tasawar kia jata hai.
    Agar ye kisi up-trend k bad banti hai to ye downtrend ki taraf ishara karti hai, lekin agar ye downtrend k bad banti hai to us sorat me ye bullish trend ki signal de rahi hoti hai.

    2. Bearish Spinning Top


    Click image for larger version

Name:	images (197).png
Views:	1
Size:	350 بائٹ
ID:	12354451

    Bearish Spinning top candle me body overall shadow k length se kam hoti hai, lekin candle ki real body shodow k bulkul darmeyan me waqa hoti hai. Is ka opening position closing se nechay side (downward) hona chaheye.
    Ye aik bearish candle honi chaheye. Ye candle bullish aur bearish dono positions ko neutral kar deta hai aur is me kisi bhi aik side ko sabqat jaat hasil nahi hoti hai. Is k banne k bad market me be-yaqeeni soratehal hoti hai.
    Agar Black Spinning top trending market me banti hai to ye market ki continuation ko zahir karti hai, lekin agar ye bullish market k bad banti hai to ye trend reversal ki taraf ishara karti hai. Bearish trend me banne k bad bhi ye trend ko reverse kara sakti hai.

    Spinning Top Candlestick Pattern pe Trading


    Click image for larger version

Name:	images (198).png
Views:	2
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12354450

    Spinning top candle stick pattern me color ki koi mane (importance) nahi hai, q k candle ki body k up aur down dono sides pe shadow same hen, jis ka matlab hai, k supply aur demand aik barabar hen. Candle stick ka color to ziada aham nahi hai lekin is ki position bohut aham hai.
    Agar Spinning top candle stick ( black or white) kisi trend me ban jati hai, to ye market k tasalsul ka signal de rahi hai, lekin agar ye bohut ziada tez market me banti hai to ye market ki trend reversal ki taraf ishara karegi, lekin agar ye bohut ziada mand wali market me banti hai to ye bhi trend ki upside pe jane ka ishara de rahi hogi. Is waja se market k trend ko dekhte howe Spinning top candle stick pe trading karen. Koshash karen k market me agli candle kon si banti hai us se wazih ho jayega k market ab kis semat me jana chahti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X