What is ROLLOVER in Forex trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is ROLLOVER in Forex trading
    DESCRIPTION

    Dear friends Agar Ham Forex trading ke andar new hai aur Forex trading ko start karna chahte hain to hamare liye swap free / rollover / carry trade / interest rate iska Jana Hamare liye bahut hi jaruri hai agar hamare pass iska knowledge Nahin Hai To Ham broker select karte waqt Ek Achcha decision Nahin Le Sakte isliye jaruri hai ki Hamen rollover/swap free account ka knowledge hunaa Jaroori hai aur uske bad hi Hamen yah faisala karna hai ki Humne account swap free banana hai ya swap wala account banana hai.

    Click image for larger version

Name:	swap.png
Views:	3
Size:	141.3 کلوبائٹ
ID:	12486602

    Rollover / Swap

    Dear friends Swap interest ko Kahate Hain aur yah liya bhi jata hai aur Diya bhi jata hai agar Ham Ek Muslim Hain To Hamen chahie ki Ham naa hi Swap Den aur naa hi Swap len swap ko dusre Lafzon Mein rollover / carry trading bhi Kaha jata hai Forex trading ke andar Agar Hamari position open Hogi long time ke liye to ya To Hamen swap Milega ya FIR Ham Swap Denge aur yah Pakistani time Ke mutabik 2 Baje Reopen hote hain activate Hote Hain.Hamen chahie kya ham always Kisi bhi broker ke andar Agar account banate hain To Ham Apna account swap free rakhen Taki Hamen Kisi Kisam ke koi extra charges pay na karne per ne apne trade ke upar . Agar Ham Swap free account banate hain to Agar Hamari trade long-term Tak open rahti hai To Hamen ose trade ke upar koi bhi extra charges pay Nahin karne Hote balki Jo broker ka Commission hota hai vahi Commission wo broker ham se leta hai uske alava vah aur koi amount Humse charge nahin karta.

    Click image for larger version

Name:	98ef9b69f2de040de71c739f7a604d1ef79d7a3b.png
Views:	1
Size:	567.3 کلوبائٹ
ID:	12486603

    Swap rollover account advantage or disadvantage

    Swap account ka hamen fayda bhi hota hai ki Jab Ham Kisi bhi pair ko buy Karte Hain To Jo swap hota hai vah Hamen Diya jata hai aur ham Agar apni trade ko long term Tak buy direction mein open rakhte Hain To Ham isase Ek acchi amount Hasil kar sakte hain aur uske alava iska disadvantage yah hai ki agar Hamen Kisi currency pair ko yah commodities pair ko sell karna padta hai to usse situation ke andar Jo swap Hota Hai vah humse liya Jata Hai Hamen extra charges pay karna hote hain iska yah disadvantage Hai To isliye Agar ham swap free account banaa lete hain to hamare liye Jyada Behtar Hota Hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20200930_180426-e1601933389746.jpg
Views:	1
Size:	48.5 کلوبائٹ
ID:	12486604

اب آن لائن

Working...
X