Breakout and retest from support and resistance levels.....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Breakout and retest from support and resistance levels.....
    Forex trading market prices price chart man support aur resistance k dermiyan move kerti ha. Market price chart man support aur resistance levels asa levels hota han jahan per market price stop ho ker chota sa range man move kerti. Jis k bad market price tazi sa increase ya decrease kerti han. Ager asa levels jahan per market price stop hoi ho aur wo level current price sa oper ho to isko resistance levels kehta han aur asa levels jo current market price sa nicha ho support level kehlata ha. Support and resistance level se Breakout hamare liye bahut beneficial hote hain kyunki yahan per ham market mein entry le sakte hain aur market mein bahut hi acchi trading kar sakte hain isliye hamen support or resistance level ke Breakout ko important Lena chahie aur inko samajhna chahie ki market yahan se breakup Karti Hai to ham yahan se entry le sakte hain yah level hamare liye bahut hi kimati level hote Hain.

    Support level ka breakout aur re-test:

    Jab market price downtrend man move kerti ha aur jab market price support level k nicha close de to ye breakout ki confirmation ha. Is per trader ko "Sell ki Trade" active kerni chaheye. Stoploss ko support level k oper place karen aur Take Profit ko next support level per place karen. Jaise hi support level se niche Breakout hota hai aur jab hamen confirmation mil jaati Hai kya market mein confirm Breakout ho chuka hai aur iske bad iske niche koi candle close ho jaati Hai to tab hamari confirmation Puri ho jaati Hai aur tab hi ham market mein entry le sakte hain jab tak hamen Breakout ki confirmation Na ho jaaye tab tak ham market mein entry Nahin le sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-16T091201.921.jpeg
Views:	5
Size:	24.2 کلوبائٹ
ID:	12486357


    Ager trader breakout ki trade miss ker den to trader ko price k re-test ka wait kerna chaheye, q k price support level k retest kerti ha, is per trader ko "Sell ki Trade" active kerni chaheye.

    Resistance level ka breakout aur re-test:

    Jab market price uptrend man ho aur resistance level sa oper closing de to ye resistance breakout ki confirmation ha. Is per trader ko "Buy ki Trade" active kerni chaheye. Stoploss ko resisance level k nicha place kerna chaheye aur Take Profit ko next resistance level per place kerna chaheye. Hamen trade karne ke liye pahle Breakout Ka vate Karna chahie aur jab hamen Kisi bhi resistance level se Breakout milta Hai to fir ham use ki confirmation karna jaruri hai jab tak Kisi bhi resistance level se upar koi candle close Nahin ho jaati Hai tab tak hamen market ki confirmation nahin milati hai aur jab tak market ki confirmation Na ho hamen koi bhi order place nahin karna chahie confirmation ke bad hi humko entry le sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-16T091342.976.jpeg
Views:	1
Size:	17.0 کلوبائٹ
ID:	12486356


    Ager trader breakout ki trade miss ker den to trader ko price k re-test ka wait kerna chaheye, q k price resistance level k retest kerti ha, is per trader ko "Buy ki Trade" active kerni chaheye.

    Conclusion:

    Market ke breakouts hamare liye bahut hi important hote hain aur in se ham bahut achcha fayda utha sakte hain isliye hamen inko samajhne ki koshish Karni chahie kyunki jab bhi in level Jaise Breakout hota hai to yah hamare liye bahut kimti hote hain aur yahan se ham profitable trade le sakte hain hamen chahie ke ham jarur all levels ko Dekha Karen kyunki yah level hamare liye bahut hi behtar hote hain jabi level se market Breakout karti hai to market hamen kafi profitable entries de jaati Hai.

اب آن لائن

Working...
X