What is Hedging Strategy It's Drawbacks, Benifits and Mathod of Hedging

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Hedging Strategy It's Drawbacks, Benifits and Mathod of Hedging
    Hedging Strategy

    Dear friends Hedging forex trading me aik aisi strategy hai jo traders ka loss Kam krnay me bht kaam ati hai. Traders is strategy ki help say apny loss ko kisi na kisi had tak control ker lety hen aur kabhi kabhi loss recover bhi ho jata hai aur isi strategy say profits bhi expert traders acha ker laitay hain. Hedging her trader ko benefit daiti hai laikin sirf iss strategy ko apply krnay ka time hi correct hona zaruri hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-14T222808.241.jpeg
Views:	7
Size:	19.7 کلوبائٹ
ID:	12486038

    When to use Hedging Strategy

    Hedging say faida uss waqt hota hai jab traders ko jald he apni wrong trade ka andaza ho Jaye aur lot size bhi ziada rakh Lia ho tou usi waqt hedge ker laina chaiye kiyu kay iss Tarah aik trade say faida aur Dusri say loss honay say bhi account ki equity Pay koi faraq nahi parta. Laikin Agar aik trade 10 $ mai jaa chuki ho to hedge kernay kay liye dusri trade ka lot size itna zaruri hai kay pehla loss dusri kay profit say jaldi mill sakey. Warna dono he trade loss mai jaengi aur account bhi jaldi he wash out ho jay ga.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-14T222733.825.png
Views:	12
Size:	34.4 کلوبائٹ
ID:	12486039

    Loss Control with Hedging

    Agr Traders ne aik trades open ki ha aur wo trade loss me run ho rahi ha aur phir again usay analysis karne se pata chala ke trend mazeed os ki open trade ke against move kare ga jis se mazeed loss ho sakta ha tu ab traders apni trades ko loss me close bhi nehi karna chahta ha or mazeed loss se bhi bachna chahta tu yaha par traders apni trades ko hedge kar le ga or jub os ko market ki movement ki achi pridiction ho gi jaha se wo profit earn kar sakta ha waha par wo hedge khatam karke apni trade ko run karke profit earn kar sakta ha

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-14T222758.324.jpeg
Views:	1
Size:	30.8 کلوبائٹ
ID:	12486040

    Profit Possiblity

    Dosto misal Kay tor py agr kisi trader ne GBPUSD me aik buy ki trade open ki 1.3675 ki price par par wo trade trend change kar ke loss me chali gai or price 1.3640 par a gai trader ne trade ko analysis kea tu pata chala ke eurusd ki price mazeed down move kare gi tu yaha par traders apni trade ko hedge karke mazeed loss se bach jaye ga or jub os ko maloom ho ga ab price os theek ha reverse ho kar profit de day gi tu hedge khatam kar ke profit earn kar ley ga.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-14T222739.207.png
Views:	7
Size:	30.8 کلوبائٹ
ID:	12486041

    Benefits Of Hedging.

    Hedging ka sb sy big benefit ye hota hai k es sy trader ka account safe rehta hai. So trader jis ka account wash hony wala hu wo es strategy ki help sy apny account ko bachany ma kamyab ho jaty hain. But hedging tb kamyab hoti hai jb trader ko market analysis ka b acha knowledge hu.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-14T222746.329.png
Views:	8
Size:	20.2 کلوبائٹ
ID:	12486042

    Draw Backs Of Hedging.

    Hedging technique tab hi acha kam karti hai jb trader deheding achy time par kary. Agr trader dehedging time sy pehle ya dair sy kary ga to usko hedging ma kio benefit hasil ni ho ga. Jo trader market ko achi tarha analyze karty hain wo he hedging sy benefit hasil kar sakty hain. So trader ko agr market ki knowledge ni ho gi to wo profit hasil karny ma kbi kamyab ni ho paye ga. But ye b ik haqiqat hai k wo trader hedging ni karta ya esko use ni karta jo market analysis ma expert hota hai.

    Factual Analysis of Hedging

    1. Loss ki recovery karni ho sab se best technique hi hedge trading ho sakti hay.

    2. Important news release ho to market unexpected movement karti hay es situation me normal trading (technical, fundamental) base par karna mushkil ho jata hay es condition me hedge trading ki jaye to successful trading possible hay
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Hedging Strategy It's Drawbacks, Benifits and Mathod of Hedging

    Hedging Trading Strategy


    Hedge ka matlab hai k aik hi waqat me ya mukhtasir waqat k leye do alag alag stocks ko buy ya sell karna. Ye technique mukhtalif markets jaise stocks, options ya forex me hi sar-anjam deya ja sakta hai.
    Financial market me chote bare (small ya large) sare traders risk ko kam karne k tareeqay talash karte rehte hen aur risk management ki techniques ka istemal karke apne trades ko successful banane ki imkanant ko barhane ki koshash karte hen. Forex trading k bohut se tareeqay hen, aur aik qabele-amal "Hedging" in me sab se ziada taqatwar technique hai.
    Dar-asal hedging trading technique losses ko kam se kam karne aur kamyabi k imkanant ko barhane ka aik behtareen technique me se aik hai. Yahi waja hai k bohut sare traders is ko khas tawar par qeematon k bare (major) peroid movement k dowran apne trading ka aik lazmi juzz banate hen. Yahan tak k kuch investment fund ka naam bhi "hedge" ki bunyad par "Hedging Fund" rakha gaya hai.

    Click image for larger version

Name:	images (339).png
Views:	2
Size:	14.8 کلوبائٹ
ID:	12411563

    Hedging Technique se Risk kam karna


    Hedging techniques forex trading me bohut ziada aam istemal hota hai. Forex me Hedging k leye trader do (two) musbat (positive) "correlation pair" jaise; EUR/USD aur GBP/USD ya AUD/USD aur NZD/USD ka intekhab karke, dono par mukhalif smeat (opposite direction) me trades open karta hai. Hedging Trading Strategy market k gher-yaqeeni soratehal me losses ko kam se kam karna hai, jis pe ye aik acha kaam karta hai.
    Account ki safety aik trader ka basic kaam nahi hai, q k trading na karne se kabhi bhi loss ka khadsha nahi hota. Humen hedging techniques ki madad se safety bhi qayem karni hai aur munfa bhi hasil karna hai, isi wajah se analyst is hedging ki analysis correlated pairs par hi sar-anjam dete hen. Jab bhi trader ka hedging technique pe trading ka irada ho to us k leye wo do correlated pair pe analysis karen, agar wo same behaviour k sath market me move na kar rahi ho, yani agar aik bullish jata hai to dosra sideways ya bearish movement kar raha ho.

    Direct Forex hedging strategy


    Forex trading k kisi single pair pe do opposite side se buy aur sell ki trades open karne k amal ko "Direct Forex hedging strategy" kaha jata hai. Lekin 2009 me great recession k baad US Commodity Futures Trading Commission ne new regulations issue jari karke is techniques ko band kar deya hai. Misal k tawar par agar aik trader EURUSD par long term ki trades k sath alehda se short term ki trading karta hai, to new rules k mutabiq brokers k pas 1st trades ko band (close) karne ka ikhteyar hai. Lekin agar trader mukhtalif currencies joron par mixup se hedging karta hai, to ye amal jayez hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X