Bullish counterattack candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish counterattack candle stick pattern
    Bullish counterattack candle stick pattern;


    Bullish couunterattack candle stick pattern ko bullish reversal pattern bhe kehtay hein j keh market kay downtrend mein es bat ko indicate karta hey keh ab anay walla trend bullish ho g yane keh up trend ho ga yeh candle stick pattern 2 bar pattern ke tarah hota hey j keh market mein kame honay ke wajah say indicate hota hey bullish counterattack kay ley darj zail sharait ka pora hona zaroore hota hey
    bullish counterattack kay ley market mein strong kame ka hona zarore hey
    1st candle stick mein hakeeke candle kay sath aik long black candle stick ka hona zaroore hey
    dosre candle stick bhe long hone chihay laken asal body kay sath aik white candle stick hone chihay dosre candle stick ko pehle candle stick kay kareeb close hona chihay
    Click image for larger version

Name:	download (5).jpg
Views:	2
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12485857


    identification bullish counterattack candle stick pattern;


    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	3
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12485858

    jaisa keh ap opar de gai tasweer men daikh saktay hein keh bullish counterattack candle stick pattern mein dosre candle stick kay opan honay mein majodah up trend ke direction mein aik gap paida ho jata hey es kay bad gap ko close karnay kay ley opposite direction mein aik strong movement hote hey or prices dosre semat mein bhaije jate hein
    bullish counterattack ke lines kafe makhsos kesam ke hein or es ley candle stick chart par kasrat say nahe hote hein or aik kamyaab trade ke apni moshkallat ko zyada say zyada karnay technical analysis ke dosre shaklen or counterattack pattern lines ka pattern estamal karna chihay
    bohut say trader candle stick pattern kay sath aik confirmation pattern ka entazar kartay hein aik confirmation candle anay wallay pattern ke aik motwakay price ko indicate karte hey mesal kay tor par bullish kay reversal janay kay bad price mein ezafa ho ga es bat confirm kea jata hey
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish Counterattack Line Pattern
    Bullish counterattack line pattern price chart par sellers k bohut ziada pressure ki waja se banta hai. Jab bhi prices bohut zyada bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo prices ko teezi k sath bullish push karti hen jaise, bullish counterattack line line pattern karta hai. Bullish counterattack line candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle close point se gap main open hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k nechay gap main open ho kar ussi k close par close hoti hai. Pattern ki dosri candle prices ko aik to mazeed bearish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik bullish hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.
    Candles Formation
    Bullish counterattack line candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bullish counterattack line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle black ya red color ki candle hoti hai.
    2. Second Candle: Bullish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k bottom par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k close price k line main hoti hai. Bullish candle green ya white color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bearish bhi jane se rokti hai aur trend reversal ka sabab bhi banti hai.
    Explaination Bullish counterattack line candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed nechay jane se rokti hai. Ye pattern dekhne main "Bullish Belt-Hold Line Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body k lower side par bhi wick ya shadow bhi nahi banti hai aur na hi prices pehli candle k close point se above jati hai. Bullish counterattack line pattern ki dosri candle aik bari real body wali bullish candle hoti hai, jiss k close price pehli candle k close price se ooper close nahi hona chaheye. Bullish counterattack line pattern ki dosri candle strong banne ki waja se prices reverse hoti hai, aur bullish trend reversal ka sabab banti hai. Trading
    Bullish counterattack line candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya dosri candle k open point se two pips below select karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X