Bollinger band indegator in fore x trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bollinger band indegator in fore x trading
    AOA
    Friends kya hal hain aapke ummid karta hun aap khairiyat Se Ho gy Forex trading mein bahut se log kam karte hain Kuchh kamyabi Hasil karte ho aur kuchh loss kar kay baith Jaate Hain Agar aapane Forex trading mein kamyabi Hasil karni hai to aapko chahie ki aap apne knowledge mein improvement Karte Rahen Kyunki yah market complicated hai aur risky hai Hamen main trading karne ke liye ap knowaldge hasil karein technical analysis or es ky sath fundamental analysis bhi zaruri hai or different factors Hoti Hai unko study karna jaruri hai isliye koshish karen ki aap Forex trading market knowledge experience Hasil Karen aur usko Hamesha improve Karte Rahen Aaj Main Apne post main aapke sath bollinger band integrator ke bare mein Apne knowledge ko share karna chahta hun ky bollinger band and market trading chart per Kaise identify kar sakte hain aur yah Kaise kam karta hai aur isase kaise Ham apni trade ko power ful banaa sakte hain yah profitable banaa sakte hain

    CONSEPT OF POST
    Ye bollinger band indegator humeshah support level or resistance level per kam karta hy support level per buy or resistance level per sell ke pisition bante hn
    Click image for larger version

Name:	maxresdefault.jpg
Views:	4
Size:	123.3 کلوبائٹ
ID:	12484167
    For biggner bollinget band

    Definition bullinger Band

    Bollinger Band aik versatile technical analysis indicator hey jo trading mein baray paimanay par estamal hotay hein mrket mein highs lows ke tabdele hote rehte hey highs r lows ko talash karnay kay ley estamal kea jata hey yeh indicatr aik upper line aik lower line or aik moving average line par moshtamel hota hey
    Two trading bands ke moving average say up or down doo standard deviation hotay hein jes ka andaza lagaya geya hey keh price ka 95% data don bands mein majod hota hey
    Click image for larger version

Name:	bollinger-bands1.png
Views:	1
Size:	25.0 کلوبائٹ
ID:	12484168


    THUMB RULE
    thumb kay rule kay tor par jab price upper band ko chote hey to opar ke taraf say zyada buy ke hove samjhe jate hey or nechlay bad tak pohceney kay ley nechay say zyada sell ke movement samjhe jate hey
    jaisa keh prices upper or lower band kay darmean prices increase hote hein Bollinger Band oper charha ka andaza laganay kay ley behtaren indicator hey jo keh limit tak strategy estamal karnay ka behtareen indecgtor hey ager bollinger band phailay to market zyada unstable ho ge es time trader break out ya trend par moment strategy estamal kar saken gay
    Click image for larger version

Name:	hqdefault.jpg
Views:	1
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12484169
    Thumb rule in bollinger band

    INTRADAY TRADING WITH BOllinger indegator

    nechay deya geya EUR/GBP ka chart aik entra day trading chart ko indicate karta hey Bollinger Band scalping trading systen dekhata hey jo keh nesbatan kam otar charhao ko dekhata hey es systen kay ley standard 20 period 2 standard deviation ke tarteeb ka estamal karta hey
    stable kay doran os wakt kay doran khod ko dohratay hein jo keh day time strategy ke strength kay sath hum ahang kartay hein es system mein lower or upper Bollinger Bands support or resistance level kay tor par kaam kartay hein
    Click image for larger version

Name:	day-trading-with-bollinger-bands_body_trading.png.full.png
Views:	1
Size:	48.4 کلوبائٹ
ID:	12484170
    Intraday trading bollinger band

    HOW WORK IN TRADING CHART
    support band buying opportunity ko indicate karta hey jab keh resistance band selling opportunity ko indicate karta hey en area par trade ke direction par depend end level kay tor par estamal kea jata hey yeh simple strategy aik or mofeed tareka estamal karte hey jo keh Bollinger Band ko mokhtalef hallat mein kaisay estamal karta hey

    Click image for larger version

Name:	Trading-using-Bollinger-Bands.png
Views:	2
Size:	310.0 کلوبائٹ
ID:	12484171
    Trading bollinger chart
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bollinger band indegator in fore x trading

    Bollinger Band Indicator


    Bollinger band indicator aik mashahoor indicator hai, jis ko John A. Bollinger ne banaya tha, aur ye indicator porane moving average envelope jaisa hai.

    Click image for larger version

Name:	images (139).png
Views:	19
Size:	19.0 کلوبائٹ
ID:	12353608

    Moving average envelope me resistance line ko moving average se kuch muqarara percentage par oper ki taraf jab k support line ko muqarara percentage par moving average k nechay guzara (plot) kia jata hai, jab k Bollinger band indicator me 20-day moving average se resistance line ko two standard deviations uper aur support line ko two standard deviations nechay se lagaya (plot) kia jata hai.
    Bollinger band indicator ki sab se bari khubi ye hai, k is indicator ko kisi bhi timeframe minton se maheenon tak pe set kia ja sakta hai. Is indicator ko market me bari movements par teezi se rade-amal zahir karne k leye aur ye dekhne k leye k aya qeematen market k normal range k muqabele me kam hen ya ziada, k leye design kia gaya hai. Bollinger band indicator price action ki tasdeeq k leye apne bands ko dosre indicators k sath istemal karta hai.
    Bollinger band indicator medium-term trend k leye plus minus two standard deviations 20-day simple moving average ki tajveez deta hai. Ye 20-day simple moving average Bollinger band indicator ki by-default setting ban chuki hai, aur sab se ziada istemal honi wali setting hai. Short-term trend k leye 10-day simple moving average aur long term trend k leye 50-day simple moving average ki plus minus two standard deviations bohut zyada best setting hai. Bollinger band indicator moving average ki length muntakhib karda timeframe k mutabiq select karta hai, aur ye moving average taqreeban hamesha us se mukhtalif hoti hai jo cross over k dowran buy aur sell k leye sab se ziada mufeed hoti hai. Is k elawa Bollinger band indicator batata hai k moving average ki munasib length ki nishan-dahi karne ka aik tareeqa ye hai k aik aisa intekhab kia jaye jo nechay se uper ki 1st movement ki correction karne me support faraham karen. Agar average ko correction me enter kia jata hai to us sorat me average kam oarta hai, aur agar baad me entre kare to average ziada ho jata hai, moving average is ko break hone se bachane k leye support faraham karta hai.
    Bollinger indicator k bands ko jab qeematen touch karti hai, to us sorat me ye indicator buy ya sell ka signal nahi deta, bulke wo bands ka aik framwork faraham karta hai, jis me qeematen dosre indicators jaise; on-balance volume ya money flow ki madad se adjust ki ja sakti hai. Misal k tawar par agar qeematen upper band ko touch karti hai, lekin dosre indicators agar un qeematon ki mazboti (upward move) batati hai, to Bollinger band indicator sell signal genrate nahi karta, isi tarah se jab qeematen upper band ko choti (touch) karti hai, aur dosre indicators bhi qeematon me kamzori dekhati hai, to yahan pe sell signal genrate ho jata hai. Sell signal tab bhi genrate hoga, jab bhi qeematen bands se upper chali jayegi, aur qeematen jab mazeed is level ko baqarar nahi rakh pati, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bhi zyada ho jate hen.
    Sell ki signal ki tarah jab bhi indicator buy ka signal genrate karta hai, to us k leye bhi dosre ba-akhteyar indicators ka istemal karta hai. Misal k tawar par agar qeematen indicator k bands k lower side ko touch karti hai, lekin dosre indicators qeematon ki weaks dekhati hai, to is se indicator bhi buy ka signal genrate nahi karega. Aur agar qeematen bands ko touch kar leti hai aur dosre indicators bhi weaks nahi dekhati to is se Bollinger band indicator buy ka signal genrate kardega. Buy ki signal tab bhi genrate hongay agar qeematen bands se baher lower side pe chali jati hai, kekin qeematen mazeed waekness nahi dekhati.


    Over-Bought and Over-Sold

    Bollinger band indicator ko market me entry aur exit k leye istemal kia jata hai. Ye indicator dosre volume indicators k sath mel kar bohut acha result deta hai. Ye indicator markey me do main zone faraham karta hai, aik over-bought aur dosra over-sold zone.
    Over-bought wo zone hota hai, jab qeematen indicator k bands k upper chali jati hai, aur yahan pe chances hote hen k qeematen reversal ho jayen to ye area over-bought zone kehlata hai. Over-sold zone me qeematen indicator k bands se lower side pe chali jati hen, jahan se qeematon k upper side pe reversal hone k chances hote hen to ye area over-sold area kehlata hai. Indicator k over-bought aur over-sold area me trading se humen bohut ziada faida hasil hota hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20211213_093154.jpg
Views:	1
Size:	69.1 کلوبائٹ
ID:	12353607

    اب آن لائن

    Working...
    X