Trading Plan For Forex!!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading Plan For Forex!!!
    AOA,



    To Kesy hn ap sab log, men umeed karta hn ap sab khairiyat sy hongy aj ka hamara topic hy planning men umeed karta hn hamari aj ki post ap k liy bht help full hogi.




    Trading Plan:




    Dear forex members, trading plan trading ka esa treqa hy jis me bht sari
    chezen jesa k risk management profit target r trading strategy ko mila k market me achi entry find ki jati hy is k mutabiq trader market me entr Leta hy r apni trade ko plan k mutabiq hold
    karta hn r time py market sy exit hona trading plan ka hissa hota hy r trader apni marzi k pairs mark kar leta hy r trading plan me shamil kr k un per gripe hasil karta Hy trading plane ek trader ki research r expiriance ka nichor hota hy trader Ki kamiyabi us k plan py depend karti hn.




    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	10
Size:	16.8 کلوبائٹ
ID:	12484108



    Planning Ke Faidey:-





    Save Capital:


    Dear friends, Trader jb plan ko follow kar k trade karta hy to wo apny account balance k hissab sy trade open karta hy is trah uska capital save rehta hy q k agr hum apny account balance sy ziyada trade lagaingy to is me ziyada nuqsan ho sakta hy r hum apna sara capital lose kar sakty hn .




    Avoid Over Trading:


    Jab hum apny plane ko follow kr k trade karty hn to humary goals hoty hyn to jb hum apny goals achieve kr lety hn to hum mazeed trading ni karty is sy hum over trading sy buch jaty hn agr hum esaa na karen
    to hum ek time py bht sari trades open kar bethty hn jis ki wajah sy ziyada loss ka khatra hota hy .




    Risk & Rewards:


    Dear friends, Jb ek trader trading plan bnata hy to usme wo risk & reward ratio set karta hy r kisi bhi trader ki yeh ratio kam sy kam 1:2 ki hoti hy iska matlb hy k agr hmari 2 trades bhi loss me jain r ek trade hum win kr len to hmara account overall profit me hoga r agr hum trading plane ky baghair kam kren to hmara risk ziyada ho sakta hy jis ki wajah sy humen ziyada loss ho sakta hy .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trading Plan For Forex!!!

    Trading Plan


    Click image for larger version

Name:	images (72).jpeg
Views:	1
Size:	11.5 کلوبائٹ
ID:	12353519

    Kisi bhi trade k leye planning banne se murad hai k trading k dowran hum kon si strategies ka istemal karengay. Planning hamesha traders ko pehle se matloba hadaf (profit) k bare me information de deta hai. Traders k planning me hamesha entry, exit aur lot size ki mukamal tafseel hoti hai.
    Planning ka pehle se tayar karna bohut aham hai. Aik dafa jab hum trading me entre ho jate hen aur market ki fluctuations ya liquidity me volitilety shoro ho jati hai, to stress ki waja se aksar hum bohut sari cheezon ko bhool jate hen. Lekin agar hamari planning pehle se hi tayar ho to mushkil waqat me bhi ye hamare kaam ati hai. Us se ye yaqqeni banane me madad melti hai, k hum kisi bhi aham point ko nazar-andaz na karen. Aik achay aur kamyab planning me pemayesh k leye aik pemana (scale) shamil hoga.
    Soft formate (electronic formate) ki bajaye agar trading plan hard formate (written method) me hot to ye ziada faida-mand ho sakta hai. Jab bhi plan k mutabiq hum koi trade open karen to us k lot size, entry aur exit ko har waqat monitor karte rehna chaheye.
    Trading plan mukhtalif situation aur stocks pe mukhtalif hona chaheye, to jab bhi koi khas trade apki nazron me a jaye, to us ko trading plan se match karen k us k leye kon sa trade plan ziada behtar sabit ho sakta hai, lekin agar zahir me dekhaye dene wala trade trading plan k mutabiq sahi nahi hai to us sorat me trade se ijtenab karna hi behtar hai. Trade exit hone pe humen apne trade ko kamyabi k hisab se score dena chaheye, isi tarah se hum apne pas sabeqa trades ki history aram se mehfoz rakh sakte hen, dosra hum dekhengay k kon sa trade humare leye ziada faida mand hai, jis ko humen apnana chaheye aur loss wale trades se ijtenab karna chaheye.
    Trading plan hamesha hamare pohunch me hone chaheye, k jab bhi humen is ki zarorat pare to humen us tak rasaye me dekhat na ho. Trading plan pe sakhti se amal karna bhi zarori hai. Agar hum trading plan pe amal nahi kar sakte to us sorat me trading plan banane ka koi maqsad baqi nahi rehta. Trading Plan me kisi bhi qisam ki narmi karne ki zarorat bhi nahi karni chaheye, is se bhi humari trading mutasir ho sakti hai.
    Forex trading market me risk bohut ziada hai, trading k leye na sirf knowledge, experience aur trading skills zarorat parti hai, bulke humen aik achi trading plan ki bhi zarorat hoti hai, jo k hamari trading strategies ko successful banati hai. Bohut sare traders trading plan ko ya to bulkul banate hi nahi, aur ya banane k baad us pe amal nahi karte, jis se us ki kamyabi k chances kam hote hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X