Gross Domestic Product ki Tafseel aur economic development sy relation
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gross Domestic Product ki Tafseel aur economic development sy relation
    GDP english kay 3 lafz mukhtasaran Gross Domestic Product kay ly istemaal hoty hain jis ka urdu main matlab hay Majmooei Mulki Paidawaar. Jesa kay lafzon se zahir hay kay GDP mulk main jitne mulki Paidawaar ( Goods and services) hoti hain un ko jama kar kay bnayaa jaata hay aur ye salaana calculate kiya jata hay.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T205650.727.jpeg
Views:	1
Size:	27.0 کلوبائٹ
ID:	12482797

    Tafseel:

    GDP har mulk main salana calculation kay baad zahir kiya jaata hay aur GDP mulk main jitne bhe new cheezin banti ya bikti hain unke keemat ko jama kar kay bnaya jata hay. Ye baat zehan main rakhi jaay kay GDP main sirf wohi cheezin shamil hoti hain jo sirf pehli baar sale hoti hain. Agar koi cheez dobara ya phir repair ho kay sale ho to wo GDP main shamil nahi hoti. Han jo cheez repair hoti ha maslan agar gaari hay to uska tire to wo GDP ma shamil ho ga na kay dobara se poori gari ke keemat. GDP mulk ke taraki ko show karta hay aur ye taraki ke nishani hay.

    Click image for larger version

Name:	pjk2ekzfhqo67pi1ghqa3linwog8syy.png
Views:	1
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12482798

    Mae'eshat (Economy) Par Asar:

    GDP mulk ke maeeshat ke pehchaan hay agar GDP zayda hota hay to us mulk main companies zayda bandy hire karti hain aur zayda salaries de jaati hain. Jis se mulk ke taraki zahir hoti hay. Es kay barakas agar mulk ka GDP down ho raha ho to inflation bharti hay aur berozgarri(unemployment) Bharti hay. Jo kay mulk ke tanazli ke nishaani hota hay.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T205743.706.jpeg
Views:	1
Size:	28.1 کلوبائٹ
ID:	12482799

    GDP Data Basis

    GDP ka matlab (Gross Domestic Product) hay DGP ki tafseel hi news data hota hay jes me mulk ki economy DGP report me release ki jati hay, DGP report me all economic data include hota hay jo key 1 year me har country ki economy es report me calculation key bad hi release ki jati hay, esi DGP report key base par us ki currency value adjust ki jati hay, agar ham USA DGP ki bat karen to sab se pehly import and export ki calculation ho gi aur army power ko deka jaye ga es key bad production ko be deka jata hay.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T205900.109.jpeg
Views:	1
Size:	24.3 کلوبائٹ
ID:	12482800
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Gross Domestic Product ki Tafseel aur economic development sy relation

    Dosto, GDP basically (Gross Domestic Product) ka short form hy is Ka purpose ye Hy Kay kisi mulki ki Muashi tarqi ya tanzli ka inhisaar us mulk ki GDP pe hota hy jitna GDP growth zada ho gi utna mulk taraki kary GA aur economy barhy gi.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T210850.684.jpeg
Views:	4
Size:	17.2 کلوبائٹ
ID:	12352460

    GDP Explanation

    Dear members simple words me GDP us keemat ko kehty hen jo kisi b mulk ki goods and services ki khareedari pe kharch hoti hy.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T210903.816.png
Views:	1
Size:	13.2 کلوبائٹ
ID:	12352461

    Example

    Let suppose agar koi sarif agr new car purchase krta hy 5 lakh rupy men to wo 5 lakh rupy mulk ki GDP men shamil ho jain gy lekin agr koi costmer used car khareed leta hy aur price us ki half hoti hy to us ki price GDP men shamil ni hogi kyun k already wo 5 lakh rupy pehly costmer ki trf se country ki GDP men shamil hogaye hen is liye jo b un used products ho gi un ki jo b keemat hogi wo GDP men shamil hungi.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T210919.970.jpeg
Views:	1
Size:	27.9 کلوبائٹ
ID:	12352462

    GDP ka Mulki economy py effect

    Gross domestic products kisi bhi country ki economical condition ko strong kerny main bahot helpful hota hai ky agar GDP kisi bhi country ki decrease ho rehi hoti hai tou uska matlab hota hai ky country ki economical condition weak hoti ja rehi hai jabky agar GDP ki ratio increase hona shoru ho jaey tou same country ki economy bhi strong hona shoru ho jati hai kyun ky gross domestic products ko jab ham other countries ko export kerty hain tou us sy hamari country ky financial assets main increase ati hai aur jab hamary financial assets increase hona shoru ho jaey ga tou hamari country ki economical condition automatically strong hona shoru ho jaey gi ap

    Role of GDP in Economy

    Gross Domestic Product hamesha wide role play kerti hain kisi bhi country ki economy ko strong kerny main so country ki governance per depend kerta hai ky inter countries aur intra country trading main GDP ki ratio Kia chal rehi hai aur isko kis terha increase Kia ja sakta hai jabky agar good governance ho tou country ki economy GDP ki growth ky sath increase hona shoru ho jati hai jis sy citizens ko facilities milna shoru ho jati hai yehi effect hota hai good governance ka ky agar citizens ko facilitate kerna hai tou apni economy ko strong kerna hoga jis ky liay zaruri hai ky GDP ki ratio ko increase Kia jaey taky other countries sy achi earning ker ky apny financial resources ko increase Kia ja saky jis sy country ki real economical strength increase kerny sy prosperity produce hoti hai aur her koi apny fun ky mutabiq domestic products ky standard ko isterha sy increase kerna chahta hai ky jab uski product ko international market main achi income milna shoru ho jaey tou product ka standard bhi phir increase hona shoru ho jata hai

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-05T210933.793.png
Views:	1
Size:	22.7 کلوبائٹ
ID:	12352463

    اب آن لائن

    Working...
    X