Upside Tasuki Gap :
Upside Tasuki Gap three bars ki candle stick formation hai jo commonly current trend ko jari rakhny k signal k liye istemal hoti hai.
1= First bar aik large white green candlestick hai jo k aik oper waly trend k andar hai .
2= Dusri bar aik aur white green candlestick hai jis k opening price jo pehli bar k qareb sey oper hoti hai.
3= Third bar aik black red candlestick hai jo pehli two bars k darmeyan gap ko partially tor par band karti hai.
Uptend ki importance :
Upside Tasuki Gap kisi bhi waqt bullish k trend k doran ho sakta ha. Bullish pattern commonly aik aisy chakar ko follow karta ha jo shuru hony waly gap k sath shuru hota ha jis sy reversal ki tasdiq hoti ha aur phir security k trend ki price zada ha , ye aksar aik ascending channel banata ha. Traders price k amal ki peak aur length level par two oper ki traf sloping lines draw karty hein aur oper wala tasuki gap aik ascending channel k andar ho sakta ha jis mein explain karda aik ya kafi gaps bhi shamil hein.
Explanation of tasuki gap :
Upside tasuki gap pattern ki dusri candlestick k open gap k sath sath uski barhti hui price k zareye uptrend ki power ka mozahera Kerti ha. Pattern ki third candlestick trend mein rukny ki nishan dehi karti ha kyun k bear price kam kareny ki koshish karty hein liken pehli aur dusri candlestick k darmeyan gap ko close ni kar sakty. Bear k gap ko band Krny k liye nakami sey pata chalta ha k oper ka trend jari ha.
Traders pattern ko bullish tasuki gap ya oper k gap tasuki k tor par bhi dekh sakty hein . Is ka negative counterpart jo k bearish ki market mein hota ha. Upside tasuki gap bht sy gap pattern mein sy aik hai jo k bullish trend mein form pa sakta ha. Supporting uptrend gap ko usually upside tasuki gap k sath mil kar use kea jata ha ta k bullish trading strategy mein confirmation shamil ho.
Key points :
Upside tasuki gap three bars ki candlestick formation hai jo current uptrend k jari rehny ka ishara Karti ha. Oper ki taraf tasuki gap ki third candlestick partially pehli two bars k darmeyan gap ko close karti ha.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим