An Overview: Bull and Bear Traps.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    An Overview: Bull and Bear Traps.
    Aslaam o Alaikum.

    Dear members!

    forex market main trading kartay huway yeh aik bahut he important topic hai jis pay ham aaj discuss karnay walay hain, jab traders market main chart pay analysis kartay huway us wakt entry laita hai jab market reversal start karnay wali hoty hai to achanak uski trade us wakt trap main aty hain jab wo market ki top support ya resisatnce levels k kareeb hoty hai. Traders ki is say barrh kar aur kia badkismaty ho sakty hai jab wo trading k douraan apni trades ko traps main daikhta hai cut aur big losses k ilawa us wakt traders k pass aur koi bhi aisa option nai hota hai jo uski trades say chutkara hasil kar sakay.
    Trap forex market main traders k liye tab banta hai jab traders market main price pay us time trades ko pick kartay hai jab price temporary kisi support ya resistance level ko break ya touch karty hai, asal main price ka trend reversal k liye start ho chuka hota hai jabk traders yeh samjhtay huway market main wrong entry laitay hain k abhi trends continue hai jiski wjaha say market main false signals ko follow kartay huway traders ki trades traps main entr ho chukki hoty hai aur sath he price apnay reversal k liye start ho jaty hai aur trends ko change karna start kar daity hai.


    Click image for larger version

Name:	traps11.png
Views:	1
Size:	115.2 کلوبائٹ
ID:	12480374

    How to identify traps:

    Dear members!

    forex trading k douraan charts pay traps say avoid karna aur traps ko identify karna bahut ziada mushkil kaam hai laikin kuch aisay methods ka use kartay hauway ham is problem ka solution nikaal saktay hain aur in traps say bach kar trading losses say save reh saktay hain. Forex trading traps ko identify aur is say save rehnay k liye hamain market ki overbought aur oversold positions ko smajhna bahut ziada lazmi hota hai usk liye traders charts pay relative strength index (RSI) indicator ka use kartay huway price ko recognize kar saktay hain aur is ko clear kar saktay hain k kisi support ya resistance level k breakout k baad price agar overbought ho chukki hai to hamain trading say avoid aur wait sab say better hai qk overbought market main hamari trades kisi bhi time price reversal say traps main entr ho skaty hai is liye is problem k solution k liye yahi sab say ziada better hai.

    Click image for larger version

Name:	traps22.png
Views:	1
Size:	155.6 کلوبائٹ
ID:	12480375

    How can we escape from traps:

    Dear members!

    forex trading main price tab he traders ko traps main envolve karty hai jab price nay apnay trend ko change karna hota hai, is liye mairay experience k hisaab say traders is say avoid karnay liye agar kuch aisay steps ko follow kartay hain to aisi situations say save rehtay huway market k big losses say bach kar achi trading ko possible banaya ja sakta hai jo k chand aik darj zail hain:
    1. Set a large stop-loss position.
    2. You need to trade the retracement.
    3. You need to do trading in the direction of the main trend.
    Trading trap say bachnay ka koi bhi aik khaas tareeka nai hai sirf in pay amal kartay huway agar ham trading kartay hain to aisi surtehaal say bacha ja sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: An Overview: Bull and Bear Traps.

    Bull Trap

    Bull trap aik jhoota signal hai, jo stock, index, ya deegar security mein girtay hue rujhan ka hawala deta hai jo qaail karne wali really ke baad palat jata hai aur pehlay ki himayat ki satah ko toar deta hai. yeh iqdaam taajiron ya sarmaya karon ko" Trap" karta hai jinhon ne khareed signal par amal kya aur nateejay mein lambi pozishnon par nuqsanaat peda hotay hain. bail trap patteren ka bhi hawala day sakta hai. Bull trap ka mukhalif reechh ka jaal hai, jo is waqt hota hai jab baichnay walay kharabi ki satah se neechay kami ko dabanay mein nakaam rehtay hain.

    • Bull trap aik ulat palat ko zahir karta hai jo market ke shurka ko qeemat ke amal ke ghalat rukh par ghair mutawaqqa nuqsanaat ke sath position se bahar niklny par majboor karta hai .
    • Bulltrap is waqt hota hai jab khredar break out level se oopar really ko support karne mein nakaam rehtay hain .
    • Traders aur sarmaya car takneeki isharay aur / ya patteren divergence ke zariye break out ke baad tasdeeq haasil karkay bail traps ki tadaad ko kam kar saktay hain.



    Understanding

    Aik bail trap is waqt hota hai jab aik tajir ya sarmaya car aisi security kharidata hai jo muzahmat ki satah se oopar nikalti hai —aam takneeki tajzia par mabni hikmat e amli. agarchay bohat se break out ke baad mazboot chaalein buland hoti hain, security taizi se simt ko ulat sakti hai. yeh" Bull Traps " ke naam se jane jatay hain kyunkay jin taajiron aur sarmaya karon ne break out khareeda hai woh tijarat mein" phansay hue" hain .
    Tajir aur sarmaya car break out ke baad talaash karkay bail ke jaal se bach satke hain. misaal ke tor par, aik tajir break out ke baad ost se ziyada hajam aur taizi ki mom batian talaash kar sakta hai taakay is baat ki tasdeeq ki ja sakay ke qeemat ziyada honay ka imkaan hai. aik break out jo kam hajam aur ghair faisla kin mom batian peda karta hai — jaisay doji star — bail trap ki alamat ho sakta hai.


    Bull Trap

    Bear Trap aik takneeki namona hai jo is waqt hota hai jab stock, index, ya kisi aur maliyati alay ki qeemat ka amal ghalat tareeqay se neechay ki taraf rujhan se oopar ki taraf jane ka ishara deta hai. aik takneeki tajzia car keh sakta hai ke idaara jati tajir reechh ke jaal bananay ki koshish karte hain taakay khorda sarmaya karon ko lambi pozishnin lainay par amaada karen. agar idaara jati tajir kamyaab hota hai, aur qeemat mukhtasir tor par buland hoti hai, to yeh idaara jati taajiron ko stock ki barri pozishnon ko utaarnay ki salahiyat faraham karta hai jo basorat deegar qeematon ko bohat kam kar day ga.

    • Bear Trap neechay se oopar ki market mein ulat jane ka aik ghalat takneeki ishara hai jo ghair mashkook sarmaya karon ko Raghib kar sakta hai .
    • Yeh tamam qisam ke asasa baazaaron mein ho satke hain, Bashmole ایکوئٹی, future, bandz, aur currency .
    • Bear Trap aksar is kami ki wajah se shuru hota hai jo market ke shurka ko mukhtasir farokht kholnay par amaada karta hai, jis ke baad is ki qeemat ulat jati hai jab shurka ko sharts ko dhanpna hota hai.



    Understanding

    Kuch marketon mein, bohat saaray sarmaya car stock kharidne ke khwahan ho saktay hain lekin kuch baichnay walay jo apni buliyan qubool karne ko tayyar hain. is soorat mein, khredar apni boli barha satke hain — woh qeemat jo woh stock ke liye ada karne ko tayyar hain. yeh mumkina tor par ziyada farokht knndgan ko market ki taraf Raghib kere ga, aur khareed o farokht ke dabao ke darmiyan Adam tawazun ki wajah se market onche harkat karti hai . Taham, jab stock haasil kiye jatay hain, to woh khud bakhud is stock par farokht ka dabao ban jatay hain kyunkay sarmaya car sirf tab munafe kamate hain jab woh farokht karte hain. lehaza, agar bohat ziyada log stock kharedtay hain, to is se kharidari ka dabao kam ho jaye ga aur mumkina farokht ka dabao barh jaye ga.
    • #3 Collapse

      Re: An Overview: Bull and Bear Traps.

      Je dear bull trap or conversly ham jesy bear trap kehty hain ik bhot commonly occuring pattern hai. Jesa k name sy zahir hai trap ka matlab hai k market nazar bullish ati hai but wo bear ma chali jati hai. Ya ham ye b keh sakty hain k market jes tarha nazar ah rahi hoti hai wo reverse chali jati hai.

      Introduction.

      Bull or beae trap market ma quite often occur karty hain. Jb trader en ko ignore karty hain to enka profit loss ma convert ho jata hai. Even jo trader achy analysis karty hain wo b en traps sy bach ni sakty. So technical indicator kio gurantee ni hoti k trader ab trap ma ni pansy gy. Serf clear understanding sy he ham en traps sy bach sakty hain.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211128-205003_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	190.7 کلوبائٹ
ID:	12351439Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211128-204938_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	187.4 کلوبائٹ
ID:	12351440

      What is Bull trap pattern.

      Bull trap zayada tar tb hota hai jb market resistance ko break karti hai or trader ye samajty hain k now bullish trade k open karny ka time hai but ye trap hota hai or trader jesy he bull ki trade ko open karty hain market reverse ma chali jati hai. Even bull trap market ki consolidation state k bad b occur ho jati hai. So break outs ko trader bhot closly watch karty hain. Bull trap kisi b time par form ho sakta hai even ye trend k andar trade ko open karny sy b form ho sakta hai.

      What is Bear trap pattern.

      Jesa k name sy pata chal rha hai bear trap bull trap k opposite occur karta hai. Brief consolidation k bad trader jb sell ki trade ko open karty hain to market bullish ma move kar jati hai. Es pattern ma price initially down move karti hai or trader jb sell ki trade ko open karty hain to market buy ma chali jati hai. Jb market prices high move kar jati hain to trader ko es time pata chalta hai k wo trap ma pans giya hai. Bear trap kisi b time par occur kar sakta hai but ye zayada tarha bear trend k end ma occur karta hai.

      Why bull trap or bear trap occurs.

      Es bat ka kio clear evidence ni hai k ye trap kiu occur karty hain. But es ki ik waja ye hai k market ki prices bhot strongly move karti hain. But trader agr small profit par iktafa karyn to wo kisi had tak en traps sy bach sakty hain. Kiu ik bar reverse jany sy pehle trader ko market favour zarur karti hai. Agr es time par kam profit ma trade close kar di jaye to traps sy bacha ja sakta hai. But trader jb lalach ma par jaty hain or profit ko dakh kar stop loss ko khatam kar dety hain wo traps ma pans kar account wash karwa bethey hain.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: An Overview: Bull and Bear Traps.

        dear friend, forex market ma traders ko kafi soch samajh kar trade k decisions lainay hotay hain, q k aksar pairs ki prices increase honay k chances zahir ho rahay hotay hain lakin market opposite side par chal part ha, isi tarah agr prices km honay ki indication mil rahi hoti ha to market upward moment kar jati ha, aisi moments ko hm traps kehtay hain, bht saray traders in ma phans kar apna account wash kara laitay hain ya apnay account ko nuksan pohnchatay hain, ye false moments 2 tarah ki hoti hain

        1. Bull trap
        2. Bear trap

        Bull Trap:


        Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211129_1654232.jpg
Views:	1
Size:	32.6 کلوبائٹ
ID:	12351493

        Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211129_1654233.jpg
Views:	1
Size:	45.8 کلوبائٹ
ID:	12351494

        Bull trap hm us situation ko kehtay hain jb traders market ma long position k lihaz sa entry kartay hain lakin market us k reverse moment kar jati ha aur pairs ki prices phir sa low ho jati hain, is tarah k trap ko hm sucker rally b kehtay hain, bull trap moment traders ko fool bna daiti ha q k wo sochtay hain k ab pair ko buy karnay ka behtreen time ha lakin market us k ulat chal parti ha ya sell ma trend start kar daiti ha


        How bull trap works:

        bull trap us waqt appear hota ha jb market downtrend ma move karti ha aur bullish reversal ki indication da k apni moment continue kar jati ha, kafi saray traders downtrend ka end samajh kar apnay buy k orders place kar laitay hain lakin market sell ma ja k un ko loss pohncha daiti ha.

        Bear Trap:


        Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211129_1654230.jpg
Views:	1
Size:	40.2 کلوبائٹ
ID:	12351495

        Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20211129_1654231.jpg
Views:	1
Size:	51.4 کلوبائٹ
ID:	12351496

        ye bullish trap k opposite move hoti ha jb market up direction ma move kar rahi hoti ha aur reversal k signals show kar k apni moment further uptrend ma jari rakhti ha, beras trap false trend reversal k signal k bad running trend ma continue moment ko kehtay hain


        How bear trap works:

        Bear trap ma market traders ko further sell ya decline ka lalach daiti ha jis sa traders dhoka kha k trap ho jatay hain aur market apni move jari rakhti ha, aisay traps sa bachnay k liay traders ko proper entry aur exit points choose karnay chaian ta k wo in short positions walay traps sa bach sakain aur apna account safe rakhain

        اب آن لائن

        Working...
        X