Ask Price & Bid Price kya Hy aur in dono Kay difference me spread size kya Hy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Ask Price & Bid Price kya Hy aur in dono Kay difference me spread size kya Hy
    Basic Concept of Ask & Bid Price

    Dear friends Forex me sab sy basic aur important cheez jis ko smjhna chye wo Hy ask and bid price kyun kay market ko jb ham buy ya sell karty hai to us k lae hamy alag alag market positions ko use karna hota hai. Market ko buy karny k lae alag line use hoti hai jis ko ham bid price kehty hain or market ko sell karny k lae alag price use hoti hai jis ko ham ask price kehty hain. Bid price or ask price ka ham difference leyn to isko spread kaha jata hai jis ko ham further explain kaye dety hain.

    Click image for larger version

Name:	ASK2.png
Views:	4
Size:	59.7 کلوبائٹ
ID:	12480301

    Big currencies of Commodities Big Spreads

    Forex trading ma major pair par spread aksar kam hota hai or trader ko en par he trade karny ko prefer karna chahe. On the other hand minor pair or exotic pair par trade karny sy big spread pay karna parta hai or es ka trader ko ye nuksan hota hai k unka profit margin kam sy kam ho jata hai. Ye b dakhny ma aya hai k jis pair ka spread kam hota uski liqudity b high hoti hai or jis pair or commodity ka spread high hota hai eski liquidity b kam hoti hai. Yani trader kam kam liquidity waly pair ma trade karyn gy to unko zayada sy zayada time lagy ga profit hasil karny ma or profit k lae unko bhot wait karna pary ga. So trader ko pehle fursat ma he small spread par trade karni chahe

    Normal Currencies Basic Spread

    Normal pairs may ask or bid price main umooman 3 pips ka farq hota hay iss difference ko ham spread kehtay hain ask aur bid ko ache trah se smjhe aur in ke importance ko smjhe aur in mein kitna trader ko faida ho skta he aur trader ne kb order lagana he aur kb close krna he market mein sel krna he ya buy krna he yeh sb chezein trader ke lie smjhna zarore hein phr trader trading mein ache tareeqy se kam kr skty hen.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-11-27T153403.076.png
Views:	7
Size:	9.7 کلوبائٹ
ID:	12480302

    Spread (Difference of Ask and Bid)

    Bid aur Ask price kay darmyan farak ko spread kehty hain spread wo cheez ha jo broker comition kay tor par wasool karta ha jub hum order open kartay hain bid or ask price har broker ki mukhtalif hoti ha kuch broker ki bid or ask price kay darmyan farak zada hota or kuch kay darmyan kam jub hum order open kartay hain buy ka to hamra order bid ki jo price ho gi os par open ho ga jub hum sell ka order open kartay hain jo ask ki price ho gi osi par sell ka order open ho ga.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-11-27T154418.070.jpeg
Views:	3
Size:	22.6 کلوبائٹ
ID:	12480303
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Bid and Ask Prices
    Jab bhi financial markets open hotti hen to day trading markets (jaise; stocks, futures, forex, aur options) teen mukhtalif prices real-time main update hotte hen, jiss ko bid, ask aur last prices kaha jatta hai. Ye markets ki bohut aham aur maojooda prices k bare main information detti hen. Bid price wo qeemat hotti hai, jiss par trader markets main stock ko khadeed letta hai, jab k ask price main trader market main stock ko ferokht kartta hai.Bid aur ask price k elawa bhi aik qeemat hotti hai, jiss ko last price price kaha jatta hai. Last prices main stock ki akahari qeemat hotti hai, jiss k baad market close ho jatti hai.
    Bid Price
    Bid price sab se highest price hotti hai, jiss par trader uss waqqat market ki maojodda qeemat main buy ki entry kartta hai (yahan par trader stock khareedta haiaur tawaqa kartta hai k ye mazzeed upper jayega). Poree dunyya se sarmayakari honne ki waja se qeematen bohut teezen se tabdeel hotti hai. Jab bid ka order deyya jatta hai, to iss baat ki koi guarantee nahi hai, k bid laggane wale trader ko utne hi shares, contracts ya lots lazzmi melengy. Financial market main lain dain k leye khareedar (buyer) aur ferokht kunanda (seller) ki zarrorat hotti hai. Iss waja se bid ka order denne wale ya shares khareedne wale k leye sellers ki zarrorat hotti hai.
    Bid Price Example
    Aggar kisi stock ki mojooda qeemat $50 dollar hai, to trader $50 dollar par trade k limit order put kar saktta hai, lekin aggar prices $45 dollar par a jatti hai to $45 se upper jitnni bhi bid order hongay wo sare op3n ho jayengay, uss k baad hi $45 wala order open hogga. Trader ko bid ask spread kam se kam karnna chaheye, mesal k tawar par aggar market ki maojooda bid price $10.1 hai aur ask price $10.3 hai to trader aggar trade open kartta $10.1 par bid ka order degga to ye $10.3 par put hogga, iss waja se trader ko limit orders $10.2 ki position par set karnni chaheye, to iss tareeqay se wo bid ask spread price ko mehdood kar saktta hai.
    Bid Exit and Options
    Aggar aik seller khareeda howa stock ko exit karke aur yahan par ferokht ka oder detta hai (yanni sell ki entry karrne se pehle buy trades ko close karen) to ye market k maojooda bid price par sell hongay. Yanni market ki bid price par sell ka order open ho jayegga. Traders k pass bohut sare mawaqe hotte hen, market main orders enter karrnw k leye. Wo market k maojooda bid price se nechay ya upper par bid lagga saktte hen. Maojooda bid position se above par bid price set karne se bid-ask-spread kam ho jatta hai.
    Ask Price
    Ask price market ki maojooda wo kam se kam qeemat hotti hai, jiss par trader stock ko ferokht kartta hai. Dosre exchange prices ki tarah ye bhi trader k market main reaction aur prices ki movement se tabdeel hotti hai. Aik baar pher, iss baat ki koi guarantee nahi hai k trader aggar shares, contracts ya lot ka order detta hai aur wo lazzmi filled hongay. Ferokht kunannda orders k keye buyers ki bhi zarrorat hotti hai.
    Ask Price Example
    Aggar kisi tock ki mojooda qeemat k mutabiq koi trader ask limit order set karrta hai aur wo qeemat $50 ho, to qeemat ki bid price iss level par sare order ko fill kar degga lekin aggar koi order $55 par limit k leye set howa ho to uss se pehle jitnne bhi lower satah k orders hongay wo fill hongay uss k baad $55 ka order fill hogga.
    Ask Exit and Options
    Jiss tarah se bid price k trade ko last main kisi high price par close kia jatta hai, issi tarrah se ask price k trades ko bhi lower position par profit k leye close karke market main buy ki entry ki ja saktti hai. Jab bhi ask ki trades ko close kia jatta hai to ye market ki maojooda bid price k mutabiq band hotti hai, jiss main prices k mazeed nechay na janne ya reversal honne k ishare hotte hen. Ask price bid price se ziadda hotti hai, aur market order main ye bid price par sell k trade k hisab se open hotti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X