What is the trend continuation pattern and how to trade

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is the trend continuation pattern and how to trade
    Hi friends,

    Assalam Alaikum, Jaisa kay aap jantay hain keh continuation ka mtlab hai jari rakhna is tarha trend continuation ka matlab hai kay trend aik side mein movement karta hai aur yeh trend market kzy darmiyaan yani mid meiin banta hai aur humein signal milta hai keh market up ya down side pay move kare gi continuation trend kay liye ap tamam time frame ko istamail kar sakte hai, means H1, H4 or hourly candles kay zariyae pattern ko achi tarha samjha ja sakta hai is liye jaise keh aap nechay pics mein dekh sakte hain.

    Triangle continuation pattern:

    Click image for larger version

Name:	Triangle.jpg
Views:	1
Size:	17.0 کلوبائٹ
ID:	12480004Is tarha ka agar pattern ban raha hai tu is say aap trading mein mufeed ho saktay hain, is ki trading strategy kay baray mein agar hum bat karin tu phir hum is hisaab say trading plan bana sakte hain aur is say maximum benefits hasil kar saktay hain. Is bat ko zahin nasheen kar lain kay continuation pattern ba etmad nahin hota is liye mukamal tor per is per inhisaar nahin kia ja sakta, is pattern mein market ki movement jari bhi rah sakte hain aur market apna rukh change bhi kar sakti hai isi liye trading order lete waqat tamam pahlon ka achi tarha jaiza lene kay bad he ko decision lain take risk ratio minimum rahe. is pattern ko use karnay kay liye acha knowledge aur experience hona behad zaror hai jis say bina risk kay trading mein profit banaya ja sakta hai.


    Continuation bottom line chart:

    Yeh pattern flag, pennant or rectangle shakal mein hota hai aur market ki movement kay liye aik logic banata hai aur aksar yeh market kay mid say shurwaat karta hai aur humein aik indicator milta hai keh market kis side mein movement kare gi aur humein trade mein madad deta hai kay next humein kia decision lena chahiye magar hum is per mukamal tor inhisaar nahin kar saktay, magar humein counter trend kay baray mein khayal rakhna chahiye take hum kisi bhi isk ka shikaar na hon. Agar hum forex mein kamiyaab hona chahte hain tu humein trading karte waqat loss ko zahin mein rakhna chahiye tabhi hum is mein success hasil kar sakte hain

    Analysis steps for continuation pattern:

    1. Is mein humein financial asset kay majood rehne kay mutaliq indicator milta hai jis say humein trade ko bakhobi samjh sakte hain.

    2. Continuation pattern market trend ki price kay baray meiin ahgah nahin karta balke humein market price kay reserval kay mutaliq information farham karta hai.

    3. Continuation chart pattern humein breakout jo kay already ho chuka hota hai ki indication deta hai jis say trade mein benefit ho skta hai magar is kay liye professional hona zarori hai.

    Click image for larger version

Name:	Continution.jpg
Views:	1
Size:	38.6 کلوبائٹ
ID:	12480005

اب آن لائن

Working...
X