Market produces a false price rejection during trades.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market produces a false price rejection during trades.
    Aslaam o Alaikum.

    Dear members!

    forex market main trading kartay huway traders ko is baat ka knowledge hona bahut ziada zaruri hota hai k chart pay price kab aur kis reason say reject ho kar revers hoty hai, aur sath he agar ham is rejection ka knowledge hasil kartay hain to hamaray liye support aur resistance levels ko smajhna asaan ho jata hai. Yahi support aur resistances levels jab strong hotay hain to price chart pay in areas ko breakout nai kar paaty hai jiski wjaha say price revers hona start kar daity hai aur isi rever price ko ham price rejection kehtay hain, laikin jab kabhi is price nay kisi strong news k time pay in support ya resistance levels ko break kia hai tab price revers nai hoty hai apnay trends ko change karty hai ya phir trends main continuty ko barkaraar katy hue movements ko run karty hai, is price k breakout ko ham rvers nai keh saktay hain.

    Click image for larger version

Name:	fake2.png
Views:	1
Size:	50.5 کلوبائٹ
ID:	12479780

    How do I know if a rejection is going to happen:

    Dear members!

    forex trading main price action trades ka ka knowledge hasil karna aik long time period k liye bahut ziada important hota hai, forex market main yeh baat matter nai karty hai k future main price kahan tak janay wali hai qk prices hamesha change hoty rehty hain. Forex market k chart main price jab revers hona start hoty hai to us say pehlay wo chart pay aik revers rejection ka candle creat karty hai jo traders apnay apnay time frame ki trading k hisaab say iska knowledge different tareekay say jantay hain. Chart pay rejection candle aik big tail ya wick ka hota hai jisk appear honay say traders is baat ki confirmations hasil kartay hain ab chart pay price revers(rejection) start kar rahi hai laikin is baat aur is post ko ham 100 % nai keh saktay hain qk kabhi kabhi rejection k baad bhi market aik big news ki help say us strong support ya resistance levels ko break karty hue apnay trend ko change karnay main success ho jaty hai jisk baad price ka return hona aik long period k liye khatam ho jata hai.

    How to spot fake rejections:

    Dear members!

    Forex market k chart main agar ham fake breakout ko find karna chahtay hain to usk liye hamaray pass moving average aur sath sath aur bhi baht saray resources hain jinko follow kartay huway ham is problem ko solve kar saktay hain. Kabhi bhi market main trading kartay huway rejection candle k appear honay say aik dam trade start nai karni chaye, usk liye sab say better yeh hai k jaisay he price rejection ho traders ko MA 8 aur MA 14 ki crossover use kartay huway is baat ki confirmation hasil karni chaye aur usk sath Traders Dynamic Index indicator ka mazeed use is baat ki confirmation karta hai k price ki rejection fake hai ya real hai, jab aik price rejection candle chart pay appear hota hai tab ham chart pay MA 5 aur MA 14 ka use kartay huway unk crossover aur sath Traders Dynamic Index indicator k use say trade ko pick up kar saktay hain

    Click image for larger version

Name:	falsebb.png
Views:	1
Size:	222.1 کلوبائٹ
ID:	12479779

اب آن لائن

Working...
X