Discussion upon Expert Advisor(EA).

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discussion upon Expert Advisor(EA).
    Forex market main EA yani ky robot trading itni successfull trading nahi hai kyon ky yeh mustiqal result nahi daiti aur na hi day sakti hai achy say acha robot bhi kuch dair ky bad apni working main fault daina shuru kar daita hai kyon ky robot main ju programming ki jati hai robot sirf usi py kam karta hai mager forex market ki movement ki condition change hoti rehti hai aur kabhi fast slow kabhi news aa jati hai jiss ki waja say robot ky lie forex ki har movement ko samjhna namumkin bat hai is lie robot trading fail sabit hoti hai kuch robot achy bhi hoty hain mager unko time ky sath sath modified karna parta hai jis ki waja say yeh kam sirf expert hi kar sakty hain mager ager ap dosri side dekhain aur manual method say forex main kam karen tu ap ko manual method kabhi bhi fail nahi ho ga bas ap ko tab tak mushkil ho gi jab tak ap ky pas forex market ka knowledge aur experience na aa jaye jab ap ko acha experience ho jata hai tu wo kabhi bhi fail nahi hota hai is lie manual mehotd best. Dear Robot Trading system bhi aik automated trading Technique ka important factor hai. Is trading system main bhi aapki trade automatically open and close ho rahi hoti hain. Robot Trading system ko join krny kay liye aapko robot purchase krna hoty hain. Robot ko purchase krny ki different prices ho sakhti hain or iski aik maksoos time tak expiry bhi hoti hai.


    What are Advantages of robot trading?

    ager forex market main robot trading ky faidy dekhen jayin tu aik tarf wo bhi thik hai ager robot market ki movement ky hisab say programe kia gea hai tu uss say best earning ap ko koi or nahi day sakta hai kyon ky wo aik din main ap ki bohut sari trades putt karta hai aur kuch profit lay kar khud hi trade ko close kar daita hai is taarh say thora thora kar robot ap ko kafi achi earning day jata hai mager market main bohut hi kam robot asy hain ju dair tak earning daity rehty hain unko sath sath ap ko modified bhi karna hota hai jiss say preshani hoti hai aur uss ko bar bar modified karwany say ap apna capital risk main dal daity hain choti si robot ki khrabi ki wajah say ap ka account wash ho sakta hai balky kafi sare account wash hoay bhi hain.

    What are Disadvantages robot trading?

    forex main ager robot ky nuksanat dekhain jaye tu wo sab sy ziada hain kyon ky is ka kabhi bhi yakeen nahi kia ja sakta hai kisi bhi time ager robot main koi khrabi ati ha tu apka account loss main ja sakta hai jab bhi news ati hai tu koi bhi robot news time hone wali movement ko nahi samjh sakta hai kyon ky wo movement kisi bhi side ho sakta hai aur double sided bhi hoti hai aur news time main market spikes bhi lgati hai jiss say robot fail ho jaty hain is lein is lie forex main jitne bhi expert aur professional hain koi bhi robot trading say success nahi ho saka hai is lie forex mainju method successfull hai wo manual method ha jis main mehnat ziada tu hai mager aik hi dafa ap ko mehnat karni parti hai phir pori life ky lie ap earn karty hain aur ap ki skills kabhi bhi fail nahi hoti hain.


    Click image for larger version

Name:	robot.png
Views:	1
Size:	264.3 کلوبائٹ
ID:	12479399
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Discussion upon Expert Advisor(EA).

    Boht achi information ap ny share ki jo boht zyada kar amad new joiner k liy is se boht zyada faida ho or trading me boht acha knowledge hasil kren gy shukria

    اب آن لائن

    Working...
    X