Opening of Many Trades at a Time
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Opening of Many Trades at a Time
    Aik Hi Waqat main Kei Trades

    Aik hi waqat main agar ham bahot sari trades open ker lety hain tou yeh hamary liay bahot bara problem ban jati hain ky aik trade ko manage kerna tou easy hota hai lekin aik hi waqat main kei trades ko manage kerna bahot mushkil kam hota hai ky her open ki gai trade main different trading technique use kerna hoti hai ky agar ham tamam pairs main aik hi trading technique use kerty hain tou bhi maximum open trades main hamain loss hota hai kyun ky her pair main market ki movement ka behavior same nehi hota ky aik hi trading strategy use ker ky tamam pairs main trade continue ki jaey market ky behavior ky mutabiq her pair main trading strategy use kerni hoti hai tab hamari trade successful ho sakti hai lekin agar ham multi trades open ker lety hain tou unko manage kerna bahot mushkil ho jata hai hamain kisi surat bhi aik sy zyada trades open nehi kerni chahaiy ky jab tak hamari pehli trade close na ho jaey dusri trade open kerny ka risk bhi nehi lena chahiay
    Click image for larger version

Name:	manytrds.png
Views:	4
Size:	33.9 کلوبائٹ
ID:	12478967

    Disadvantages of Multi Trades

    Agar tou ham aik hi pair main more than one trades open kerty hain tou bhi apni open trades ko manage kia ja sakta hai lekin agar ham different pairs main trades open kerty hain tou unko manage kerna bahot mushkil hota hai aur account wash ky dar sy bahot sari trades hamain loss main hi close kerna perti hain jabky zyada open ki jany wali trades main hamain bahot sara spread bhi pay kerna perta hai aur long time ky liay wait bhi kerna perta hai ky spread recover ho jaey tab trade ko profit main close kia jaey lekin kuch trades main spread recover hony ki bajaey market opposite direction main movement kerna shoru ker deti hai aur agar kuch trades main profit bhi chal raha ho tou kuch main loss ki waja sy same profit hamary kisi kam ka nehi hota ky ham profit ko withdraw nehi kerwa sakty agar ham profit ko withdraw kerwaty hain tou running loss ki waja sy hamara balance kam ho jata hai jis sy hamara account wash ho sakta hai jo bahot bara disadvantage hai ky ham kuch trades main profit ly ker bhi withdraw nehi kerwa sakty
    Click image for larger version

Name:	disadvmltrd.png
Views:	1
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12478968

    Benefit of Single Trade

    Agar ham aik waqat main sirf aik hi trade open ker ky continue kerty hain tou hamara sara focus usi trade per hota hai aur market ki movement ko dekhty huey ham apni same open trade ko manage ker sakty hain aur apni strategy ko bhi market ki movement ky hisab sy change ker ky loss ky risk ko kam ker sakty hain lehaza hamain aik waqat main sirf aik hi pair main trade open kerni chahiay ky ham apni open trade ky liay market ki movement ko observe kerty rehain aur jab profit hasil ho jaey tou profit ko withdraw kerwa ker next trade ki planning ker ky dobara trade open ker lain aur phir sy sirf aik pair ya aik hi open trade ko manage kerain jitna kam ham market main trades enter kerty hain utni hi achi ham market main trade ker sakty hain aur maximum trades main ham profit hasil ker sakty hain lekin jitni zyada ham trade open kerty hain tou hamara margin decrease ho jata hai aur ham further kisi achy chance per bhi trade open nehi ker sakty aur margin decrease hony per hamara account wash bhi ho sakta hai
    Click image for larger version

Name:	singletrd.png
Views:	2
Size:	147.5 کلوبائٹ
ID:	12478969

    Conclusion

    Agar hamary trading account main balance small amount main hai tou hamain koshish kerni chahiay ky aik waqat main hamari aik hi trade open ho taky agar us main profit hasil hota hai tou same trade ko profit main hi close ker ky profit ko withdraw kerwa lia jaey lekin agar ham chahty hain ky trading account main balance achi amount main hai jo hamain permit ker raha hai ky ham further trades bhi open ker sakty hain tou hamain other trades bhi same pair main same direction main open kerni chahiay ky jesy hi market hamari favor main movement kery tou hamari tamam trades profit main close hony per ham achi amount main profit hasil hony per same profit ko withdraw kerwa sakain kisi surat bhi multi pairs main aik hi waqat main kei trades open nehi kerni chahiay ky hamain phir profit ko withdraw kerwany ky liay bhi long time ky liay wait kerna perta hai lehaza first options hai ky aik waqay main aik hi trade open kerni chahiay jabky second option hai ky agar other trades bhi open kerni hai tou same pair main same direction main other trades bhi open ho tou faida hota hai
    Click image for larger version

Name:	Screenshot_1.png
Views:	1
Size:	348.4 کلوبائٹ
ID:	12478970

اب آن لائن

Working...
X