Downside tasuki gap kia hai??

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Downside tasuki gap kia hai??
    Assalamualaikum dear members kesy hain ap sab kheriyat sy hongy ap forex par daily new topic learn karty hongy aj main ap sab s ak boh important topic share krnga jiska name hai downside tasuki gap
    DOwnside tasuki gap#

    Dear members downside tasuki gap ak candlsick formation hai jo commonl curren downtrend signals continuation k lie use hoti hai pattern uus wakt bnta hai jab candlestick ki ak series us following khasu siyat ko demonstrate kia ho
    Phli candle current downtrend k ande red ya black ( down) hai dosri candle previous bar k kareeb up candlesick hai jo phli two bars k gap k andr close hojati h ye note krna bht zrori hai gap ko fully close karn ki zror nahi hai



    Explanation#


    Dear members downside tasuki gap ko bearish tasuki gap b kaha jata hai isme candle ikathy banti hain is pattern ko dekhny k liye apko confirmation ka wait karna chahye

    Sb s phly ye bt hai k msrket ka trend downward hona chahye or ak sell ki large candle banni chahye
    Or jab is candle k bad dsru candle bany to gap hona chahye
    Or third buy ki candle banni chahye jo k bearish candle ki body k andr honi chahye
    Is candle ko two first candlstick k darmayn gap ko close karna chahye

    Limitation
    Jab ye pattern banta hai to short term trend down hojata hai jjab long term trend up hojata hai is liye ap jis time frame main is pattern ko dekhen usi k mutabik trade kren kyun k ho sakta hai k hr time frame ka trend alg ho jitna bhi longterm selling pressure zada hoga utna hi pattern strong hoga


    ​. Soch samajh kar trade karen shukria
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Downside Tasuki Gap Pattern
    Downside Tasuki gap candlestick pattern continuation pattern ki aik qisam hai jiss teen candles shamil hoti hai. Pattern ki pehli do candles bearish hoti hai. Pattern ki pehli aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka baad aik dosri bearish candle uss se dowside par gap main banti hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Pattern ki teesri bullish candle k ziada mazboti na hone ki waja se pattern tasalsal ka trend nechay ki taraf dobara chal parta hai.
    Candles Formation
    Downside Tasuki gap candlestick pattern k teen candles main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai.
    2. Second Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye.
    3. Third Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.
    Explaination
    Downside Tasuki Gap Pattern pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai. Ye pattern ziada tar bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai. Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai.
    Trading
    Downside Tasuki gap candlestick pattern ka pattern pehli do candles main hi Gap down pattern ki tarah lagta hai, jab k teesri candle ki nakam koshash se pattern k lower side par jana ziada mazbot ishara deta hai. Pattern main pehle do candles k darmeyan nechay ki taraf ka gap banna bearish trend ki hi mazboti hoti hai, lekin ye pattern small bullish candle se thora riaki ho jata hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye. Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle pat market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss k upper side par ya pehli candle k top par se aik ya do pips above hona chaheye.

    اب آن لائن

    Working...
    X