Margin Call ki tafseel.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Margin Call ki tafseel.
    Forex Trading Market main working krty huye some time aapka ko out of balance ki situation face krna hoti hai. Eisi situation sa related aap ko kia krna cheye iski discussion main apni post main shamil krny ja raha hun. Dear senior and junior member Jab aap Forex trading market mein abhi working kar rahe hote hain, tu aapko Forex trading market se hamesha associated different important types ki information ko complete karna hota hai. Kyunk iske bagair aap ek acchi or effective trading nahin kar sakte hain. Aaj main aapko Margin call se related kuchh basic information provide karna chahta hun, jo junior members ke liye bahut jyada helping ho sakti hain.

    What is Margin Call

    Dear forex traders Jab aap market mein inter hote hain aur aapki trade bahut zyda loss mein chal rahi hoti hai, aur jab aap ka nuksan aapke account balance ki basis per maximum ho raha hota hai, aur aapke account mein just 15 to 20% balance reh jata Hai, to us condition main aapko broker ki taraf se margin call receive hoti hai, jismein aapko yah information provide ki ja rahi hoti hai ki aapko ab extra investment karni hoge, otherwise aap ka account completely washed ho jaega, is ko Forex trading market mein Margin Call kahate Hain.

    Reason Behind it

    Dear member margin call ki definitely kuch reason ho sakhti hain. Jab aap market mein apni working complete kar rahe hote hain, to following important reasons ki vajah se aapko marjan call receive ho sakti hai, isliye aapko sabse pahle ine reasons ko eliminate karna hoga.

    Large Lot size

    Dear members Agar aap according to money management rules and regulations apni working nahin karte hain, aur maximum lot size ki selection karte Hain, to aisi condition main aapko margin call receive ho sakti hai. Aur aap out off balance ho sakte hain, isliye aapko hamesha money management ke mutabik apni working karni chahie aur munafa hasil krna cheye.Learning Dear forex traders Jab aap Forex trading market me enter hone se pahle proper analysis nahin karte hain, tu esis situation main bahut masla ho sakhta hai aur without proper learning aap market mein enter hote Hain, to aisi condition mein bhi aapko margin call receive ho sakti hai. Aur yah situation aapke liye bahut jyada dangerous ho sakti hai, isliye sabse pahle aapko market per proper learning karni chahie.

    Lalach and Over Trading

    Forex Trading Market mein Jab aap market mein inter hone se pahle lalach karte hain aur jyada profit hasil karne ke liye bahut jyada lot size ki selection krty Hain aur bahut jyada aur trading karte Hain, to aisi condition main aapke liye margin call receive ho sakti hai, aur aapke liye bahut jyada problem ho sakte hain. No doubt aapko market main khabi bhi lalch ni krni cheye or over Trading main over Trading nahin krna ho ge. Aapko hamesha lalach nahin karna chahie aur overtrading nahin karni chahie.
    منسلک شدہ فائلیں
    Last edited by ; 04-11-2021, 11:32 AM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Margin Call ki tafseel.

    Assalam o Alaikum, all members I hope all are fine and doing well Forex trading main learning, knowledge aur experience ka hona bohat zarori hai Forex trading main different basic factors hain Jin main sy aik margin call bhi hai, jisy understand karna bohat zarori hai Ini terms aur basics ko understand kar k achi trading kar sakty hain Aur knowledge base trading kar k acha profit earn kar sakty hain Istra risky trades sy avoid kar k acha profit earn kar sakty hain, aur trading expertise gain kar sakty hain

    Definition of "Margin Call":
    Margin call broker ki traf sy aik aisa notification hota hai jo hmy btata hai k hmy mazeed deposit karny ki zarorat hai, ya apni loss wali trade ko close kar dena chaiye ta k margin ko mazeed increase kar dia jaye Margin call level ma equity used margin k brabar ya kam hoti hai

    Jab trade loss main chal rhi hoti hai aur equity low hoti jati hai, aur even equity minus main jany ka dar hota hai aur equity aik certain percentage sy nechy aa jati hai to broker ki traf sy mazeed investment ka notification send kia jata hai ta k Margin level ko increase kia ja saky or trade close na hon aisy notification ko Margin call kha jata hai

    Reason of Margin Call in forex trading:
    Margin call ki different reason ho sakti hain Jiny understand karna bohat zarori hai Ta k achi trading ki ja sky Aur loss sy b bach skain aur account wash hony sy avoid kia ja sky In main sy kuch reasons ye hain, jo k nechy explain ki gyi hain
    Click image for larger version

Name:	download (23).png
Views:	5
Size:	4.2 کلوبائٹ
ID:	12347891

    1. Holding on losing trades too long
    :
    Margin call ki aik important reason loss wali trades ko long duration k lye hold karna hai Jis wja sy loss ziada hota rehta hai aur equity kam hoti rehti hai Jis wja sy certain percentage k bad Margin call aa jati hai Isi lye market condition ko understand karty hue loss wali trades ko ziada hold nhi karna chaiye, ta k ziada loss na ho aur margin call k threshold ko touch na kry

    2. Lack of Market analysis
    :
    Forex trading main market analysis bohat zarori hai Market analysis sy he better decisions liye ja sakty hain aur achi trade ki ja sakti hai Market analysis na karny ki wja sy trades main loss hota hai aur loss ziada hony ki wja sy margin call ati hai Is situation main agar mazeed deposit na kia jaye to account wash ho sakta hai Isi lye acha market analysis kar k he decisions lany chaiye Ta k loss na ho aur acha profit earn kia ja saky

    3. Over or Excess Trading
    :
    Forex trading main hmesha balance aur equity ko dekhty hue trade open karni chaiye aur market analysis bhi lazmi karna chaiye kabi bhi over trading nhi karni chaiye, aur na he lalach karni chaiye Over trading sy loss ho sakta hai Aur margin call ki reason ban skti hai
    Click image for larger version

Name:	download (18).jpeg
Views:	2
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12347892

    How we safe our account from margin call
    :
    Hamen koshish Karni chahie ki jitna possible ho sake ham market mein margin call se bach sake aur iske liye hamen kuchh mehnat karne ki jarurat hai aur kuchh rules ko follow karne ki jarurat hai tab hi ham margin call se bache sakte hain otherwise hamara market mein nuksan hota rahegaMargin call se bachne ke liye hamen kuchh ekadamaat karne ki jarurat hai hi tab hi ham Apne account ko safe Rakh sakte hain

    Trade with Stoploss
    :
    Hamen always hi stoploss ke sath trading Karni chahie kyunki stoploss ke sath trading hamare liye kamyabi ka bais hoti hai hai agar hamen Kisi bhi trade mein koi nuksan ho jata hai to vah hamara ek had tak nuksan hota hai aur isase jyada nuksan Nahin hota aur agar hamara stop-loss Nahin hoga to hamara pura ka pura account loss mein Chala jaega isliye hamen stop-loss ko istemal karna bahut jaruri hai
    Jab ham market mein stoploss ko istemal karte Hain to trading behtar hoti hai aur agar stop-loss Ko istemal Nahin karte to trading Kabhi behtar Nahin Hoti hai
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Margin Call ki tafseel.

      Margin call Kya hy

      Dear friends trading kay doraan jb hamara capital totally trading order lagaty huay used margin main chala jata hay to aisa point jis per ham mazeed trading order place na kar saken next order place krny py hamen margin Kam hony ki indication ati hy jis ko margin call kaha jata hay. Amooman apki leverage 1:500 ho to ap 3 $ say kam kay free margin per ham koi trading order place nai kar sakty.

      Click image for larger version

Name:	images - 2021-11-04T131032.942.jpeg
Views:	1
Size:	18.8 کلوبائٹ
ID:	12347894

      Margin in Trading .

      Risk management main ham account leverage, lot size, broker spread aur pair kay volume ko bhi sort out karty hain. Youn jab hamara trading order place ho jata hay to ye margin hamain alag say show ho raha hota hay. Currencies pairs ka normally 0.01 ki lot selection say 1$ ka margin use hota hay, jab keh jaisy jaisy lot size main izafa hota jaye isko ham margins say multiply karty jaty hain aur trading main used margin barhta jata hay. Trading main running loss ya profit hony say used margin same rehta hay.

      Click image for larger version

Name:	images (1) - 2021-11-04T131041.000.png
Views:	6
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12347895

      Free margin ki definition.

      Trading main used margin barhta hay hamara free margin kam hota jata hay. Yani remaining capital ya equity kam hoti jati hay aur jab hamari trade running loss yani minus main ja rahi ho to bhi hamara free margin kam hota jata hay aur is hisab say hamari equity main bhi kami ati rehti hay. Laikin ager hamari trade profit main ja rahi ho to hamara free margin increase hota jata hay jis say ham mazeed trading bhi kar sakty hain.

      Over the Limit Trading

      Forex trading ma trader jb trade ko open karta hai to uski lot k hesab sy ik portion us trade k lae mokhtas kar deya jata hai. Jb trader ko profit hota hai to ye margin jo capital sy less howa hota hai pora ho jata hai or trader ka capital grow kar jata hai. But jb trader ko loss hota hai to ye es ka capital ka zayada sy zayada hesa consume ho jata hai or ik time asa ata hai jb trader ka pora account he wash ho jata hai or trader ko kuch hasil ni hota. Forex trading ma trader hamesa ye kehty hain k new traders ko hamesa small lot sy trade karni chahe. Es ka benefit ye hota hai k trader ka account wash ni hota or wo lamby arsay tak trade ma reh sakta hai. Jo trader long term trade ma in rehta hai usk kamyab hony k chances barh jaty hain.

      Click image for larger version

Name:	images (1) - 2021-11-04T131046.856.png
Views:	10
Size:	10.5 کلوبائٹ
ID:	12347896

      Note

      Jo trader short cut sy kamyab hona chahta hai uska account bhot frquently wash ho jata hai. Trader k lae better ye he hai k wo hamesa small lot sy trade kary. Es sy usko profit kam hota hai but us ka capital safe rehta hai. Trader tb he kamyab ho ga jb uska account safe rahy ga.

      Click image for larger version

Name:	images - 2021-11-04T131053.678.jpeg
Views:	1
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12347897
      There is always light. If only we're brave enough to see it. If only we're brave enough to be it.

      اب آن لائن

      Working...
      X