Details of Neckline and application of Pending orders.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of Neckline and application of Pending orders.
    Dear members Technical analysis ko complete krny kay liye aik important factors jisko aap neckline khety hain, tu ki complete recognition bahut hi zarori hoti hai. Neckline per aapko bahut achi entry mil sakhti hai. Aaj main apni post main neckline aur pending orders ki details batana chahta hun.

    Definition of Neckline

    Dear forex members Neckline basically head and shoulder pattern main aik support ya resistance level hota hai, is level Kay break out ap trade la sakhty Hain.

    Neckline ki Peechan

    Dear members agr aap Neckline ko identify or recognize karna chahte hain, tu isko aap further 2 major parts main categories / Classified Kar sakhty Hain, or iski identification kar sakhty Hain. Is ki explanation Kay liye following pattern ki details explain karna chata Hun.

    Neckline in Candlestick Pattern

    Dear members Jab aap Forex trading market mein head and shoulder pattern aur inverted head and shoulders candlestick pattern ko study kar Kay iskay shoulders aur head ki proper recognition Kar laty Hain, tu us time per aapko shoulder sa down side per aik strong support mil rahi hoti hai, is level ko aap neckline khety Hain. Yah Neckline bahut hi important hoti hai, Jo aapki perfect Trading Kay liye helpful information provide kar rahi hoti hai.

    Explanation of Neckline

    Dear neckline ko achi tarah understand krna important hota hai. Main aap sa head and shoulder pattern ka chart share kar Raha Hun, Jis main aap Neckline ki easily recognition aur identification Kar sakhty Hain or apni decision-making ko profitable bana sakhty Hain.

    Inverted Head and shoulders Pattern

    Dear members agar aap Forex trading market mein Inverted Head and shoulders Pattern ko study krty Hain, tu is main aapko both shoulders ki above side per aik resistance milti hai, jis ko aap neckline keh sakhty Hain. Is ko achi tarah understand krna aap kay liye most important role play kar sakhta hai. Basically ya bhi aik strong level hota hai, Jo aapko ya indicate krta hai, Kay is level ko market touch Kar Kay rebounce ho sakhti hai, ya phr is level Kay Breakout per aapko achi entry mil sakhti hai.

    Chart Analysis

    Jab forex members jab aap inverted head and shoulder pattern ko chart main define krna chahte Hain, tu aap easily neckline ko identify kar sakhty Hain. Following mentioned chart main aap neckline ko acchi tarah explain Kar sakhty Hain.

    Click image for larger version

Name:	Head-and-Shoulders-Trading-Pattern.png
Views:	5
Size:	346.9 کلوبائٹ
ID:	12475454

    Jab aap neckline ko achi tarah samjh jaty hain, tu ismein aapko pending orders ki help sa enteries leny ka pta hona cheye. Pending orders ki details aap sa share krny ja raha hun.

    Pending Orders

    Dear forex trader ismain aap kay order kud excute ho jaty hain. Pending Orders aik eisa tools hai, jismein aapki required price per aapki trade excute ho jati hai. Pending Orders ki following mentioned types hoti hain, or enko activate krny ka complete process app sa explain krun ga jo helpful ho ga.

    Buy Limit

    Dear members Buy limit ko samjna bahut asan hai. Jab aap market mein buying ki kei entry Lena chahty Hain, or currently situation main prices us level ko touch nahin kar rahi hain, tu eisi condition main aap Buy Limit ko properly utilise kar sakhty Hain. For example aap Gold ko 1820 price sa buy krna chahty Hain, or currently iski prices 1827 dollars chal rahi hai, tu eisi situation main aap buy limit place Kar sakhty Hain.

    Buy Stop

    Buy limit ko samjna bahut zyda asan or helpful ho sakhta hai. Buy Stop bhi buying entry Kay liye utilise hota hai, liken jab currently price down hoti hain, or aap aik resistance level Kay Breakout per trade krna chahte Hain, tu usk liye aapko Buy stop ko place karna hota hai. Agar currently gold prices 1820 hain, or aap 1845 sa buying trade Lena chaty Hain, tu usk liye aapko buy Stop lagana ho ga, isko effective banany kay liye isko understand krna zarori hai.

    Sell Limit

    Selling entries leny kay liye pending orders main sb sa phly sell limit ko samjna hota hai. Selling entry leny Kay liye aapko sell limit offer Kia jata hai, agr market main currently prices sa above prices per app sell krna chahte Hain, tu usk liye sell limit lagana hota hai. For example agar aap GBP USD per selling limit lagana chahte Hain, or iski currently prices 1.3925 hai, liken aap 1.3955 sa sell krna chahte Hain, tu eisi situation main aapko sell limit lagana hota hai. Sell limit ki calculation krny Kay liye aapko ik achy level ki resistance ko find krna hota hai.

    Sell Stop

    Sell limit kay bad sell stop ko samjna ho ga. Sell Stop ko properly utilise krny Kay liye aapko aik support level ki breakout per iski placing krna hoti hai. Jab market aik level ko break Kar Kay down ati hai, tu usk bad further expected sell ana hota hai, tu eisi situation main aapko sell limit lagana hota hai. Buy stop aur sell stop totally opposite hoty hain.

    Click image for larger version

Name:	4_Schema_Tipy_orderov-en.png.jpg
Views:	24
Size:	239.4 کلوبائٹ
ID:	12475453

اب آن لائن

Working...
X