"Chart pattern ki darjabandi" ki information

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Chart pattern ki darjabandi" ki information
    CHART PATTERNS KI DARJA-BANDI


    Kisi khas securities ki demand aur supply k darmeyan jang ki jhalak market me price chart pattern ya formation k tawar par zahir hoti hai. Chart pattern ko agar sahi tareeqay se parha jaye to aik taruba-kar trader is ko apne faide k leye istemal kar sakta hai. Chart pattern market me bulls aur bears signals ki nishani hote hen.
    Charts patterns ka tajzeya (analysis) support, resistance aur trend line ko dekh kar kia ja sakta hai. Taqreeban sare traders trend ki shanakhat k leye trend line ka istemal karte hen. Is waja se financial market ki ye kahawat bhi mashahor hai k "trend is your friend". Is k mutabiq trader chart patterns ka tajzeya kar ke trend ko jald pehchanne ki koshash karte hen.

    Click image for larger version

Name:	images-6.png
Views:	7
Size:	39.3 کلوبائٹ
ID:	12474701

    Chart patterns ki aam tawar par teen tarah ki darja-bandi ki jati hai:
    1. Reversal patterns
    2. Tasalsul (Consolidation ya continuation) patterns
    3. Trend patterns



    Reversal Patterns


    Ye wo patterns hai jo bullish market me qareeb-tareen top aur bearish market me bottom dekhate hen aur trade k volum ko bhi made-nazar rakh kar analysis ki jati hai. Kuch mashahoor reversal patterns me head and shoulders pattern, rounded bottom / top pattern, double bottom / top pattern, wedge top, diamond reversal pattern, waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images-7.png
Views:	2
Size:	38.9 کلوبائٹ
ID:	12474702

    Tasalsul (Consolidation ya continuation) patterns


    Ye patterns bullish aur bearish market k darmeyan hone wale gher faisala-kun movement ka ishara dete hen. Ye patterns market ki me aarzi (temporary) waqfay, qeematon k barhne ya kam hone ki nishan-dahi karti hai. Is dowran aam tawar par kam hujam ki trading hoti hai. Kuch aam istemal hone wale tasalsul (continuation) patterns me symmetrical triangles, ascending and descending triangles, wedges, flags and pennants, rectangles, waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg-8.jpg
Views:	1
Size:	28.0 کلوبائٹ
ID:	12474704

    Trend Patterns


    Trend patterns support aur resistance areas ki nishan-dahi karte hen. Trend patterns ka wese to istemal dosre patterns k muqabele me bohut kam hai. Market me aam tawar par istemal hone wale trend patterns me fan lines, gaps, trend lines aur channels shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images-8.png
Views:	3
Size:	20.8 کلوبائٹ
ID:	12474705

    Chart Patterns ki Importance


    Kuch chart patterns bohut ziada successful hote hen. Chart pattern market ki kisi stock ki qeematon ki support, resistance ya is ki mazboti ya kamzori k leye bohut ziada zarori hen. Chart pattern traders ko market ki semat ka taayun karne aur un k entry aur exit ka waqat muqarar karne me bhi madad karte hen. Traders ko chart patterns ka sahi knowledge aur experience hona chaheye. Ye aik trader k leye aik qisam ki maps ka kirdar ada karti hai, jis se wo apne hadaf tak ka rasta malom kar sakta hai. Agar trader chart patterns ko sahi tareeqay se parh sakta ho, to ye us ko kamyabi ka rasta zaror dekha sakta hai. Chart patterns humen market ki khareedo-ferokht ki asal tasveer dekhati hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: &quot;Chart pattern ki darjabandi&quot; ki information

    Dear friends Forex me trading Currency trading me diamond pattern bht kar-amad pattern hai aur trader is kay use kar k bht acha experience hasil karny ma kamyab ho sakty hai Diamond pattern tb show hota hai jab market main trend sy retracment ma ati hai or phr sy wapas main trend ma chali jati hai Head and shoulder pattern ma aksar diamond pattern nazar aty hain
    Trader ko market ko keenly observe karta hai wo es pattern ko find kar b leta hai or es sy profit b hasil kar leta hai Diamond pattern ko use karny sy trader ki accuracy barh jati hai or wo market ko betterly use kar sakta hai

    Ascending and Descending Trend Lines Concept

    Kisi bhi pair Kay chart ka agar ba-ghor mushahida kren to is ki ascending order aur descending order main moving channel ko read kerny ky liay both sides per trend lines draw kerty hain aur aesy main aik aesy pattern hamain show hota hai jo diamond ki terha ka hota hai tou us per trade kerny ky liay hamain diamond pattern banty ky baad market main hony wali movement ko study karna hoga ky market main uptrend main big movement ho chuki hoti hai tou aesy time per market wahan per stay kerti huey wahan sy hi up aur down trend main big movement kerti rehti hai
    Click image for larger version

Name:	download (28).png
Views:	8
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12349912

    Draw Diamond Chart Pattern

    Aik specific limit ky center me aik leading candle hai tou jab asi movement per ham diamond pattern ko draw kerty hain tou market ki big uptrend main movement ky bahd agar market main diamond pattern creat ho jata hai tou aesy time per hamain yeh ensure ker lena chahiay ky ap market main kisi bhi time per down trend start ho sakta hai tou hamain aesy time ka wait kerna chahiye

    Trading Strategy with Diamond Chart Pattern

    Chart me diamond pattern ban chuka ho to market her surat downtrend main movement kerty huey usi jaga per ponch jati hai jahan sy uptrend start hua hota hai tou hamain aesy time per market main sell ki trade open ker leny per bahot acha profit hasil ho sakta hai tou jab bhi ham market main chart pattern ko follow kerty huey trade ker rehy hon tou hamain diamond pattern per bhi nazar rakhni chahiay ky jab market uptrend main big movement ker chuki ho tou aesy main diamond pattern market main downtrend ki clear confirmation hoti hai ky ky agar ham same diamond pattern creat hony ky bahd downtrend main trade continue ker lety hain tou kuch hi dair main hamain profit bhi hasil hona shoru ho jata hai lekin hamain kuch time wait ker ky yeh confirm ker lena chahiay ky hamen jab downtrend start ho tab ham trade open kren
    Click image for larger version

Name:	download (29).png
Views:	27
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12349913

    Useful Information
    Kisi bhi pair me in pattern ko blindly follow ni karna chahe ye pattern aksar ik form sy dosri form ma convert ho jaty hain Trading ma trader ko apna experience b use karna chahe Jo trader apna experience ko use karta hai wo hamesa kamyab hota hai Market ma trader ko jb loss hota hai to trader ko experience k sath he esko counter karna parta hai Trader k pass acha experience ho ga to wo small capital ay b acha profit hasil karny ma kamyab ho jae ga
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Chart Pattern Ki Darjabandi: Ek Mukammal Guide

      1. Muqaddima


      Chart patterns, stock market aur trading ke liye bohot ahmiyat rakhte hain. Ye patterns traders ko market ke rukhnay aur muqabla karne ki koshish karne me madad dete hain. Is maqalay me hum chart patterns ki darjabandi aur inki pehchan karne ke tareeqon par nazar daalenge.
      2. Chart Patterns Kya Hain?


      Chart patterns wo graphical representation hain jo market ke price movements ko dikhate hain. Ye patterns hamesha ek khas shakal ya trend ko darshate hain, jo future price movements ka andaza lagane me madadgar hoti hain.
      3. Chart Patterns Ki Ahmiyat


      Chart patterns ki ahmiyat is liye hai kyunki ye traders ko decision-making me madad karte hain. Ye price trends ko samajhne aur potential reversal ya continuation points ko identify karne me madadgar hote hain.
      4. Chart Patterns Ki Darjabandi


      Chart patterns ko mukhtalif darjaton me categorize kiya jata hai. Ye darjabadhi price movements ki long-term ya short-term trends ko samajhne me madad karti hai. Is darjabadhi me mukhtalif patterns ko groups me rakha jata hai.
      5. Reversal Patterns


      Reversal patterns wo hote hain jo market ke current trend ke ulatne ka ishaara dete hain. In patterns ka istemal traders ko entry aur exit points identify karne me madad karta hai.
      6. Continuation Patterns


      Continuation patterns wo hain jo existing trend ko continue karne ka ishaara dete hain. Ye patterns traders ko confirm karne me madad karte hain ke current trend mazid barh sakta hai.
      7. Head and Shoulders


      Head and Shoulders ek mashhoor reversal pattern hai. Isme teen peaks hoti hain, jismein middle peak (head) sab se uncha hota hai aur do side peaks (shoulders) us se thode kam unche hote hain.
      8. Inverse Head and Shoulders


      Ye pattern bhi ek reversal pattern hai lekin ye bearish trend se bullish trend ki taraf shift ka ishaara deta hai. Isme pehle do low points aur ek uncha point hota hai, jo market ki reversal ki taraf ishara karta hai.
      9. Triangles


      Triangles patterns do tarikon ke hote hain: ascending aur descending. Ascending triangle bullish continuation ki taraf ishaara karta hai jabke descending triangle bearish continuation ki taraf ishaara karta hai.
      10. Flags and Pennants


      Ye short-term continuation patterns hain. Flags generally ek sharp price movement ke baad bante hain aur kuch dino tak chalte hain, jabke pennants consolidation ke doran bante hain.
      11. Cup and Handle


      Ye ek bullish continuation pattern hai jo ek cup ki tarah dikhta hai, jisme pehle price ek upar ki taraf jata hai, phir neeche aata hai, aur phir ek handle banata hai. Is pattern ka breakout bullish trend ko darshata hai.
      12. Double Top and Bottom


      Double top bearish reversal pattern hai jab price do dafa ek hi level par peak hota hai. Iske baraks, double bottom bullish reversal pattern hai jo price ke do low points ko darshata hai.
      13. Trading Strategies


      Chart patterns ko samajhne ke baad, traders in patterns ko apne trading strategies me shamil karte hain. Har pattern ke liye entry aur exit points ko identify karna zaroori hota hai.
      14. Conclusion


      Chart patterns ki darjabandi trading me ek bohot zaroori pehlu hai. In patterns ko samajhne se traders ko market ki behavior ko behter samajhne aur unki strategies ko behtar banane me madad milti hai. Is liye, ye patterns ko seekhna aur inka istemal karna kisi bhi trader ke liye ahmiyat rakhta hai.

      Trading ki duniya me chart patterns ko pehchanana aur unka istemal karna ek valuable skill hai. Har trader ko in patterns ki importance aur inke darja bandi ko samajhna chahiye taake wo market me behtar faisle le sake.

      اب آن لائن

      Working...
      X