"Harami Cross Candlestick Pattern" ki forex technical analysis main importance:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Harami Cross Candlestick Pattern" ki forex technical analysis main importance:
    Definition of "Harami Cross Candlestick Pattern":

    Harami cross candlestick pattern, aik Japanese candlestick pattern hai, jo aik bri candle per mushtamil hota hai, jo trend ki direction main move karti hai, aur is k bad aik doji candlestick ati hai. Doji mukamal tor p pichli candlestick ki body main majud hoti hai. Harami cross pattern sy pata chalta hai k shaid previous trend reverse hony wala hai. Ye pattern bullish ya bearish ho sakta hai. Bullish pattern, upside ki taraf possible reversal ki taraf ishara deta hai. Jab k bearish pattern, downside ki taraf possible reversal ki taraf signal deta hai.

    Click image for larger version

Name:	download.jpeg
Views:	13
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12474697

    Types of Harami Cross Candlestick pattern:

    Dear members Harami Cross candlestick pattern ki 2 types hain.

    1. Bullish Harami cross candlestick pattern.

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	24
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12474695

    2. Bearish Harami cross candlestick pattern.

    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	3
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12474696

    Key takeaways of Harami Cross candlestick pattern:

    1. Bullish harami cross, aik large down candle hai, jis k bad aik doji hoti hai. Ye downtrend k doran occur karta hai.

    2. Bullish harami cross ki tasdeeq pattern k bad prices main increase sy hoti hai.

    3. Bearish harami cross aik bari large candle hai, jis k bad aik doji hoti hai. Ye aik uptrend k doran occur hota hai.

    4. Bearish pattern ki tasdeeq, pattern k bad prices main kami sy hoti hai.

    Understanding the Harami Cross:

    Dear members, bullish harami cross pattern downtrend k bad form hota hai. Is main pehli candlestick aik long down candle hoti hai, jo aam tor p black ya red hoti hai, jo is bat ko indicate karta hai k sellers market ko control kar rhy hain. Dosri candle, Doji, aik narrow range rakhti hai aur pichly din k bad uper khulti hai. Doji candlestick is price k qareeb band ho jati hai, jis per isy open kia gya tha. Doji pichli candlestick ki real body k sath completely shamil honi chaiye.

    Doji sy pata lagta hai k kuch sellers k zehan main kuch indecision develop hua hai. Aam tor p, traders is tarz per amal nhi karty, jab tk k prices agli 2 candlesticks k under uper na aa jaye. Isy confirmation kehty hain. Sometimes prices doji k bad kuch candles k lye ruk sakti hai, aur phir bhar ya gir b sakti hai. Pehli candlestick k uper khulny sy is bat ki confirmation hoti hai k prices ziada ho sakti hain.

    Bearish Harami cross, uptrend k bad banta hai. Is pattern main first candlestick, aik long candle hoti hai jo aam tor p white ya green hoti hai, jo zahir karti hai k buyers market k control main hain. Is k bad aik doji candle hoti hai, jo buyers k indecision ko show karti hai. Aik dfa phir, doji ko previous candle main shamil hona chaiye.

    Trading the Harami Cross Candlestick pattern:

    Dear members, Harami Cross main trade karna zarori nhi hai. Kuch traders, is pattern ko sirf trend k reversal k indication k tor p use karty hain. Aik bearish harami cross zahir hony k bad, prices k girny ki surat main traders profit earn kar sakty hain. Ya traders, short position main aik trader bahir nikalny ki koshish kar sakta hai, jab bullish harami cross zahir hota hai aur phir thori dair bad prices increase hona shuru ho jati hain. Is tra in opportunities sy right time p right decision ly k acha profit earn kia ja sakta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: &quot;Harami Cross Candlestick Pattern&quot; ki forex technical analysis main importance:

    Assalamu Alaikum! Dear umeed ha k ap sab kheriat sa hon ga aur forex market sa daily basis per ak acha gain hasil ker raha hon ga Dear forex Trading ak risky business ha is man traders ko bhot losses hota han is liye is ko acha sa seekh ker karen

    Importance of Candlestick Patterns in forex tradin
    g:

    Forex Trading k doran trader currency pairs aur commodities ki price movements ko smajhna k liye price chart ko read kerta ha Q k price chart patterns man changes, momentum aur price k trend man change ko accuracy k sath identify kerta ha Candlestick Patterns currency pairs aur commodities k price chart man price ki movement ko track kerna k liye use hona wala most important technical tool ha Traders forex trading man kisi b currency pair ya commodity ko buy/sell kerna k liye candlestick patterns per depend kerta han Is liye aj man apka sath ak important candlestick pattern per apna knowledge apka sath share kerta hon

    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern:

    Bulllish Harami Cross Candlestick Pattern ak bearish trend reversal candlestick pattern, jo currency pairs aur commodities k price chart man long bearish trend k bottom per support level k qareeb banta ha Is pattern man second candle doji cross ya doji star candlestick banti ha Harami Japanese word ha jiska meaning Phragnant Woman ha. Is pattern man b pattern ki first candle long real body ki bearish candle banti ha aur second candle ki formation first candle ki real body man banti ha aur asa lagta ha k first candle Phragnant ho Is is pattern ka name Bullish Harami Cross Candlestick Pattern kehta han
    Click image for larger version

Name:	download (6).jpeg
Views:	13
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12347857

    Identification of Bullish Harami Cross Candlestick Pattern in Price Chart:

    Bulllish Harami Cross Candlestick Pattern bearish trend ko bullish trend man change kerta ha is liye is pattern ko ""bullish candlestick pattern"" kehta han Ye pattern three candles per moshtamil hota ha

    1. Is pattern man first candle Day-1 ki long real body ki bearish candle banti ha, jo buyers ka market per strong hold show kerti ha

    2. Is pattern man second candle Day-2 ki doji star/cross candle banti ha jo market man buyers aur sellers k dermiyan indecision ko batati ha

    3. Is pattern man third candle Day-3 ki long real body ki bullish candle banti ha, jo market price k bullish trend k start hona ki confirmation deti ha
    Click image for larger version

Name:	download (8).png
Views:	32
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12347858

    Trading with Bullish Harami Cross Candlestick Pattern
    :

    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern per trading kerna k liye trader ko is pattern k complete hona ka wait kerna chaheye, jab ye pattern complete ho jae to new candle k open per trader ko ""Buy ki Trade"" active kerni chaheye
    Click image for larger version

Name:	download (9).png
Views:	8
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12347859

    Stoploss and Take Profit
    :

    Forex trading man koi b trader 100% accurate nahe ho sakta is liye trader ko trading k doran market price ki inverse movement ko mind man rukhta howa Stoploss aur Take Profit ko lazmi use kerna chaheye Bullish Harami Cross Candlestick Pattern per trade k doran b trader ko Stoploss pattern ki first candle ki low k nicha place kerna chaheye aur Take Profit ko next resistance levels per Tp place karna chaheye
    Bullish Harami Cross Candlestick Pattern k sath Relative Strength Index (RSI) Indicator use kerna chaheye Pattern k valid hona k liye zarori ha k RSI is pattern ki formation k doran Oversold area man hona bhot zarori ha aur jab trader trade entry le to us waqt RSI 30 k level ko oper ki taraf cross ker rahe honi chaheye
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Harami Cross Candlestick Pattern Ki Forex Technical Analysis Mein Ahmiyat


      Forex trading mein technical analysis ka bohat bada role hota hai, jismein candlestick patterns ka jaiza liya jata hai. In patterns mein se ek ahm pattern hai Harami Cross. Is article mein, hum is pattern ki ahmiyat aur iska istemal forex market mein kaise hota hai, par tafseel se baat karenge.
      1. Harami Cross Kya Hai?


      Harami Cross ek candlestick pattern hai jo reversal signals dene ke liye mashhoor hai. Yeh do candles par mabni hota hai: pehli candle lambi hoti hai, jabke doosri candle chhoti aur cross shape ki hoti hai. Is pattern ka matlab hota hai ke market mein kuch badal raha hai, jo traders ke liye important signal hai.
      2. Pattern Ki Shakal


      Harami Cross ka pattern do candles par مشتمل hota hai. Pehli candle bullish ya bearish ho sakti hai, lekin doosri candle hamesha chhoti aur Doji shape ki hoti hai. Doji ka matlab hai ke market mein indecision hai, jo reversal ki taraf ishaara karta hai.
      3. Harami Cross Ki Taqreer


      Harami Cross ka pattern tab banta hai jab pehli candle ki body doosri candle ki body ko encase karti hai. Yeh show karta hai ke pehli candle ke dauran market mein taqat thi, lekin doosri candle ke baad, market ka mood change hone laga hai.
      4. Reversal Signal


      Harami Cross ko reversal pattern mana jata hai, jo bearish market se bullish market ya bullish market se bearish market ki taraf indicate karta hai. Yeh traders ke liye ek valuable signal hai, jo unhein entry aur exit points tay karne mein madad deta hai.
      5. Trend Ki Pehchaan


      Yeh pattern tab nazar aata hai jab kisi trend mein ek change aata hai. Agar yeh pattern bearish trend ke baad aata hai, to iska matlab hai ke market bullish hone ki taraf ja raha hai. Is tarah se traders is pattern ko market ki direction samajhne ke liye istemal karte hain.
      6. Volume Ka Asar


      Harami Cross pattern ki ahmiyat ko samajhne ke liye volume ka bhi jaiza lena zaroori hai. Agar volume is pattern ke sath high hai, to iska matlab hai ke reversal ki taqat zyada hai. Low volume ke sath yeh pattern weak signal de sakta hai.
      7. Time Frame Ki Ahmiyat


      Harami Cross ka pattern kisi bhi time frame mein ban sakta hai, lekin longer time frames jaise daily ya weekly charts par iska asar zyada hota hai. Yeh traders ko zyada reliable signals provide karta hai aur unhein better decisions lene mein madad deta hai.
      8. Entry Aur Exit Points


      Traders Harami Cross pattern ko entry aur exit points tay karne ke liye istemal karte hain. Agar yeh pattern bullish reversal ki taraf ishaara karta hai, to traders is par buy position le sakte hain. Exit point ke liye, traders previous resistance levels ya Fibonacci retracement levels ko dekhtay hain.
      9. Stop Loss Ka Istemal


      Harami Cross pattern ka istemal karte waqt stop loss ka placement bohat zaroori hai. Agar traders buy position lete hain, to unhein apna stop loss previous low ke niche rakhna chahiye. Is tarah se unhein unexpected market movements se bachne mein madad milti hai.
      10. Risk Management


      Harami Cross pattern ke sath risk management bhi bohat zaroori hai. Traders ko apni risk tolerance ke mutabiq position size tay karna chahiye. Yeh ensure karta hai ke agar market unki prediction ke against chale, to unka capital zyada nuqsan na ho.
      11. Fundamental Analysis Ka Integration


      Harami Cross pattern ko istemal karte waqt fundamental analysis ko nazar andaz nahi karna chahiye. Economic indicators, news events, aur central bank policies ka bhi market par asar hota hai. Is liye, traders ko dono analyses ko mila kar kaam karna chahiye.
      12. Other Candlestick Patterns Ka Comparisons


      Harami Cross ko dusre candlestick patterns jese engulfing pattern ya shooting star ke sath compare karna bhi faydemand hai. Har pattern ki apni khasiyat hoti hai, lekin Harami Cross ki unique shakal aur reversal signal use bohat important banata hai.
      13. Psychological Aspects


      Market mein traders ka psychology bhi Harami Cross pattern ki ahmiyat ko samajhne mein madadgar hota hai. Jab log Doji pattern dekhte hain, to unhein market mein uncertainty ka ehsaas hota hai, jo reversal ki taraf unhein majboor karta hai.
      14. Conclusion


      Harami Cross candlestick pattern forex technical analysis mein ek ahmiyat rakhta hai. Yeh traders ko market ki direction samajhne aur entry-exit points tay karne mein madad deta hai. Is pattern ka sahi istemal karna, volume analysis, risk management aur fundamental analysis ke sath milkar trading strategies ko behter banata hai. Agar traders is pattern ki ahmiyat ko samajhte hain aur is par amal karte hain, to yeh unhein trading mein kamiyabi dilane mein madadgar sabit ho sakta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X