How To Utilize Trendlines For Trading?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How To Utilize Trendlines For Trading?
    Trend Importance In Trading
    Saary traders yeh tasleeem karta hai kay koi bhe aik aise strategy nahi hai jo hundred percent kamyab ho. Yeh aik obvious c baat hai aur yehi vajha hai kay traders ko harr time aisi cheeziin dekhna chahey jinn sy wo zaida trades main kamyab ho saky. Aur enn cheezoon main sy aik cheez trend hai. Trend kay sath trade kesy karna hai ye seekhna intehaai zaroori hai. Agar aapne koi strategy bnaai hai aur us strategy main koi imperfections hain to trend us ko cover kar sakta hai. For example market downtrend main aur aap nay trend identify karney kay baad agar trade trend main laga de aur market aap kay against chali jaati hai. Lekin wo trade aap kay liey khtry ka baais ess liey nahi hai kun kay eventually market trend ke simt main aay ge aur aap trade sy ba-asaani nikal sakte hain.

    Determining Trendlines
    Agarr apne trend ko determine karna hai pehly apne jiss currency pair ka trend find karna hai us ka chart jo kay kam-az-kam 100 sy 200 candles par mushtamil ho, nikaalin aur uss sy price ke simt ka taaiyun karin. Aur aap dekhin gy kay market up trend main hai ya downtrend main.

    Abb aggar trend up hay to wo ess cheez ko dekkh kay confirm kiya jaa sakta hai kay apko chart pe higher high aur higher low dekhny ko miltey hain. Jesa kay neechy dee gai tasveer main aap valid up trend dekhh sakty hain. Jis main aggla high pichly high sy higher hai aur agla low pichly low sy higer hay.
    Click image for larger version

Name:	Trend1.png
Views:	12
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12474662

    Jessa kay apko bhe maloom hayi kay har trend ka iktetaam lazmi hota hai aur trend tabdeel hota hai. Jab uptrend downtrend main tabdeel hota hai to chart par aapko lower highs aur lower lows dekhnay ko milty hain. Neechy diey gay chart main aap dekh sakte hain kay lower highs aur lower lows cleaarly downtrend ke nishaan dehi kar rahy hain.

    Using Forex Trendlines
    Trend ko identify karna aur bhe asaaan ho jaata hai agar hum trendlines ka istemaal karte hain to. Trendlines sy ye asaani sy pata chal jaata hai kay market kahan sy bounce kary ge ya support aur resistance ko torr kar market ke direction ko change kare ge. Agar trend upward chal raha hai yo aap Multiple lows ko connect kar kay trend line khench sakty hain downtrend market main aap multiple highs ko connect kar kay trendline laga sakty hain.

    Neeechy diey huy chart main clear upptrend dekh sakty hain aur aur higer lows ko connect kar ka trend line lagai gai hai.
    Click image for larger version

Name:	T3.png
Views:	12
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12474663

اب آن لائن

Working...
X