What is Supply and Demand Zones In Forex Market

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Supply and Demand Zones In Forex Market
    INTRODUCTION:
    Aslamualaikum! Dear member market main successful Trading karny k liye ap ko apni learning ko perfect bnany k sath sath apny experience ko b strong karna hota hai. Agr ap market main successful Trading karna chahty hain to ap ko Trading ka Experience hona chahye, aj mai aap ko supply our demand ki kuch information dena chahti hun jis ko ap samjh kar Trading main successful ho sakty hain.

    DEMAND:

    Dear forex trading market mai demand jis ka matlab hay kay market main kise bhe assets ke kitne requirement hoti hain, Jab market main kisi currency ka demand main izafaa hota hai to es key value bhe zaida ho jaaty hai aur esi tarha jab kisi currency ky demand main kami aati hay, to ess ke value main bhi kami ho jaati hai, hum aisy market mai jab ye dekhtai hai k market mai es chez ki demand ziada honay wali hai wo chez hum le lety hain ta k us ki value ziada ho to humy profit ho jata hain.

    SUPPLY:

    Dear Supply wo miqdaar ya tadaad hai jo market main kisi currency ya commodity's ke jo market main mojood hoti hai, Agar kise currency ke supply market main zaida hoti hai to us currency ke value main kami waqia hoti hai. Aur esi kay agar kise currency ke supply main kami aay to us ke value main izzaffa hota hai. Log zaida tar wo cheezay khareedty hain ya un cheezon main invest karty hain jinke supply km hoti hai kun kay un ke value main musalsal izafa dekhny ko milta hai, Jesa kay aap Gold aur normal pathar ka andaza laga lain. Gold ke supply km hai to aapko bahut mehnga milta hain lekin normal pathar aapko har jagha sy milty hain to wo free hain ya bahut sasty hain. Aisy hi forex market mai jis currency ki demand zayda hoti hai wo high rate par milti hai jis ki supply ziada hota hai wo kam rate par milti hain.

    DIFFERENCE BETWEEN SUPPLY AND DEMAND:

    Dear Forex trading market mai work karty hoye humain Demand aur supply ka pata hona chahye. Jab market main demand zaida aur supply km hoti hai to demand supply competition ke wajha sy price main izafa hota hai. Jab market main supply zaida aur demand km hoti jaye to es soorat main market ki value main kami ajati hain.

    Click image for larger version

Name:	images (12).png
Views:	10
Size:	10.4 کلوبائٹ
ID:	12474551

    EQUILIBRIUM:

    Dear Forex trading market main demand aur supply dono Same hon, yani kay demand jitny ho utny he supply ho, to market ki value na to km hoti hai ,naa zaida hoti hai. jo log market mai supply zone par Sell ki trade lagaty hai ya Demand zone par Buy ki trade lagaty hai wo Maximum profit hasil karty hain.

    Click image for larger version

Name:	forces-of-supply-and-demand_body_5 (1).png
Views:	6
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12474550
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Supply and Demand Zones In Forex Market

    WHAT IS SUPPLY AND DEMAND ZONE: Forex trading main jab koi currency pair resistance zone par pohnchta hai to usy selling zone kehty hain kun kay wahan say market overbought conditions say reversal ke jaanib aati hai. Aur sellers selling options ko consider karte hain ya apni long positions ko close karte hain. Essi tarha jab market down aati hai to strong support par market main buyers entry lety hain. Oversold conditions main buy ke entry zaida moasar saabit hoti hai. Ye dono cheezin jab market main hoti hain to selling zone ko supply zone aur buying zone ko demand zone bhe kaha jaata hai.
    Click image for larger version

Name:	images (23).jpeg
Views:	15
Size:	18.7 کلوبائٹ
ID:	12347162

    Supply And Demand Zone Explanation: Supply and demand zones forex market main generally traders ko perception hasil karny main sood mand saabitt hoty hain. Supply and demand zones support aur resistance kay barakas aik larger area cover karte hain. Jiss say aapko bhetar andaza ho sakta hain. Jab kay support aur resistance zones ko lines ke soorat main lagaya ya mark kiya jaata hai jab kay demand and supply ko aik bary area main mark kiya jaata hai. Jesa kay aap neechy de huii tasveer main dekh sakty hain kay market main supply and demand zones kahan hain. Aur market waahan sy kesy reversal bana rahe hai. Jesy he market demand zone main jaati hai to market main buyers ke sharp movement dekhny ko milte hai aur esi tarha jab supply zone main jaatee hai to sellers in control nazar aaty hain.

    Supply And Demand Zones For Trading: Supply aur demand zones main trading karne kay liey 3 cheezon ko lazmin zehan-nasheen karnaa chaheyy.

    i). Supply aur demand zone ke shanakht kay liey bary time frame ko istemaal karin Bary time frame main traders ko bhetar pata chal sakta hai kay kahan sy market sharply bounce kar rahi hai aur kahan sy supply aur demand levels create ho rahy hain.

    ii). Jab aap supply aur demand kay levels ko identify kar lain to us kay baad ye observe karin kay market kinn kinn areas say bounce back kar rahi hai jesa kay aap neechy dee hui picture main bhe dekh sakte hain.

    iii). Support aur resistance levels ko dekhny kay liey jin indicators ka aap istemaal karte hain unn say bhe aap supply aur demand levels ko dekh sakty hain ya phir aap fibonacci levels kay iste say bhe supply aur demand zone ke nishaan dehi kar saktey hainn.
    Click image for larger version

Name:	images (15).png
Views:	12
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12347161
    • #3 Collapse

      Re: What is Supply and Demand Zones In Forex Market

      Supply and Demand Zone in Forex Trading Market Complete Guide

      Supply and Demand zones kisi bhi price security ky leay bahot he determinants hoty hain aor bahot he important role play krty hain. Supply and Demand zones local market sy ly kr every things ma bahot he ahmeyat hai rakhti hai. Agr kisi chez ki demand brh jay to uski price bhi increase ho jati hai. aisy he agr kisi chez ki supply increase ho jay to uski price automatically decrease ho jati hai. Jo traders supply and demand zone ky dynamics ko smjh lety hain un ky leay forex trading market ma survive krna aor profit earning krna bahot he easy ho jata hai aor un ko current aor future market prediction ka achi trah sy andaza ho jata hai.

      Understanding of Supply and Demand Zones
      Supply and Demand zones aisy areas hain jin mko obsrve kia ja sakta hai forex trading ky candlestick chart ma jahan py price kai dafa approach kry past ma aor yeh aik major support ya resistance bn jay aor in lines ko do parallel lenis ma agr cover kia jay to yeh supply and demand zones bn jaty hain.



      3 Tips for Using Supply and Demand Zones in Forex Trading Market

      1. Use Longer time Frame to identify supply and demand zone

      Agr candlestick chart ko zoom kia jay aor us ma ap bhtr tareeky sy market ky support and resistance ko findd kr sakty ho jahan sy price bar bar reject ho ky bounce back ho jati hai. in areas ko support and resistance kaha jata hai. is ky leay apky pas multiple time frames available hain jin ki madad sy supply aor demand zone ko find kia ja sakta hai.

      2. Identify strong moves off the potential demand/supply zones


      Certain price levels value offer krty hain jis ma hamen bullish ya bearish opportunity mil rahi hoti hai. jesy he institutional ya professional traders aisy areas ya price values ko dekh lety hain wo in ko capitalize krny ki koshish krty hain. Aor liquidity high hony ki wajah sy price zeyada acceleration sy wahan sy move krti hai keun ky jub uski demand brhti hai to volatilityincrease ho jati hai.



      3. Use indicators for confirmation of Supply and Demand

      Traders ko daily ya weekly candlestick chart sy pivot points ko find krna chye ta ky unain supply and demand zones ki confirmation milti rahy. nechy chart ma apko maloom ho jay ga ky support aor resistance ki madad sy kesy supply aor demand zones ko dhonda ja sakta hai. Support aor resistance jub find kr len hum to hamen in ko line up kr lena chye jis sy hamen supply aor demand zones ka pta chal jata hai.

      • #4 Collapse

        Re: What is Supply and Demand Zones In Forex Market

        Introduction:

        Aslam O Alaikum Dear members umeed krti hun aap sb thk hongey or achey sey posting kr rhe hongey or har roz aap ney sey ney topics seekh rhe hongey taa k aap achey se trading kr skein. Aaj bhi hum bht eham mozu pey baat krein gey.

        What are supply and demand zones?

        Supply and demand zones popular analysis technique hein jo k daily trading me use hoti hein. Zones sideways price k periods of action hein jo k price k explosive price move sey pjhle ati hein. Price moves, typically marke kye jatey hein rectangle tool sey, forex trading or CFD trading platform pey.
        Supply zone downtrend sey phle hota he
        Demand zone uptrend k baad hota he

        Click image for larger version

Name:	ddd.png
Views:	10
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12347172

        Supply and Demand trading strategies use krti hein price ko taa k returne krein zones par entry or exit criteria k toor pr. IS strategy ko market-neutral ki trha mark kya jata he- yaani ispey tradeki jaa skti he forex markets, commodity futures, index CFDs wagera per.

        DEMAND:

        Demand ka matlab hay kay market main kise bhe assets ke kitne requirement hoti hain. Jab market mein kisi currency ka demand mein izafaa hota hai to es key value bhe zaida ho jaaty hai aur esi tarha jab kisi currency ky demand main kami aati hay, to ess ke value main bhi kami ho jaati hai. Jb Demand zyada hoo to who cheex khareed letey hein Q k uski value barh jati he. Value barhne sey demand ka izafa hota he.

        SUPPLY:

        Supply wo quantity hai jo market main kisi currency ke jo market main mojood hoti hai. Agar kise currency ke supply market main zaida hoti hai to us currency ke value main kami waqia hoti hai. Currency ki supply main kami aay to us ke value main izzaffa hota hai. Log zaida tar wo cheezay khareedty hain ya un cheezon main invest karty hain jinke supply km hoti hai kun kay un ke value main musalsal izafa dekhny ko milta hai. Jesa kay aap Gold aur normal pathar ka andaza laga lain. Gold ke supply km hai to aapko bahut mehnga milta hain lekin normal pathar aapko har jagha sy milty hain to wo free hain ya bahut sasty hain. Aisy hi forex market mai jis currency ki demand zayda hoti hai wo high rate par milti hai jis ki supply ziada hota hai wo kam rate he.

        Click image for larger version

Name:	jkjk.jpg
Views:	1
Size:	37.2 کلوبائٹ
ID:	12347173

        Importance of supply and demand:

        Supply or demand k concept ka pata hona bht zaroori he, Q k isi sey apko andaza ho skta he k apney kb kya khareedna he taa kk aap usme sb sey zyada profit hasil kr skein. Jb supply short ho or Demand zyada ho tb market sey woh asset khreedna faida mand hotta he.

        Click image for larger version

Name:	ioio.png
Views:	1
Size:	26.4 کلوبائٹ
ID:	12347174

        Conclusion

        Umeed he k apko is concept ka achey samjh aya hoga Q k yeh ik bht eham topic he jiske barey me achey se pata hona bht zaroori he.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: What is Supply and Demand Zones In Forex Market

          yes dear right kaha hain aapne forex trading ko sab say phly achi tara learning karna must hain qk jaaab tak forex trading main learning strong nhe hoti hain tu acha traders kabi b nhe bana jah skta hain supply currency pay kaam karna must hain jis b traders ne forex trading main work kia hain tu kamyyabi hasil ki hain is liye forex trading main wahi kamyab hain jo hard work karte hain reguly work karte hain

          اب آن لائن

          Working...
          X