MACD strategy to identify trend 3 steps to find trend

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    MACD strategy to identify trend 3 steps to find trend
    MACD trading strategy Identify direction trend;


    trader kay ley aik trend ko indicate karnay ka tareeka 200 aik den ke moving average estamal ke jate hey ager koi trader kesi position mein buy karna chahta hey to woh 200 day ke moving average chart par es baat ko indicate karnay key ley keh price average range say up trade ke ja sakte hey ya down trade ke ja sakte hey
    nechay ke tasweer mein aik EUR/USD ka chart hey jo keh up trend par moshtamel hey jes ke tasdeeq prices say hote hey jo keh 200 day moving average ke barhate hove level kay opar trading kar raha hey jab aisa hota hey to buyer entry lay sakta hey
    Click image for larger version

Name:	macd-trading-strategy_body_EURUSD4hourchartfrom8to25October.png.full.png
Views:	3
Size:	27.3 کلوبائٹ
ID:	12473839


    MACD crossover direction of the trend;


    aik bar jab trading ka trend ban jay to trader majodah semat mein buy ko indicate kar dein gay es chart mein jab price 200 day moving average say up chali jay to MACD cross over ko mumkana andraj kay signal kay tor par estamal karte hey


    MACD zero line or manage risk;


    jab trading trend mein ho to yeh janana zaroorey hey keh woh belakhair khatam ho jain gay ye es baat ke alamat hey keh uptrend ke raftar sust ho sakte hey or yeh mumkana trend badal rehe hey
    aik trader jo keh long position mein trader aik trade say out kar jata hey tahum yeh aik arze pull back ho jata hey jab bearish crossover hota hey trader nechay ke taraf trend ke tasdeeq karta hey zero line abore karnay kay ley signal line talash kar saktay hein es point par woh trade exit kar jatay hein
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: MACD strategy to identify trend 3 steps to find trend

    MACD Indicator


    Moving average convergence divergence (MACD) indicator ko Gerald Appel ne long term trend ki strength k pemayesh k leye takhleeq kia tha. MACD indicator ki calculation me 26-EMA (26-peroids) ko 12-EMA (12-peroids) se manfi karne se ki jati hai. MACD indicator mukhtalif time period me do (two) mukhtalif exponencial moving averages (EMA) k darmeyan faraq ko as a input istemal karta hai. MACD me exponencial moving averages k istemal ki waja se is ki output ziada payedar hoti hai, q k exponencial moving averages (EMA) ki calculation simple moving averages (SMA) se ziada behtar hoti hai.
    MACD indicator aik sust-raftar oscillator hai, is ko trend ki confirmation aur trend k strength k leye ziada maozo (best) hai. Trades k entry k leye dosre indicators shayed ziada best hon.

    Click image for larger version

Name:	images (72).png
Views:	1
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12346360Click image for larger version

Name:	images (71).png
Views:	27
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12346361

    MACD Indicator Trend Calculation aur Crossover


    Khas tawar par, MACD indicator do moving averages k darmeyan shumar-shuda (calculated) faraq hai, aur aksar is ko base line k tawar par zero vlaue k sath histogram k tawar par dekhaya jata hai. Albata MACD indicator k value ko lines k tawar par ya us ka majmoa dekha ja sakta hai.
    MACD indicator sab se sust (slow) indicator hai. Kuch traders kisi bhi line crossover ko as a signal dekhte hen aur market me buy ya sell ki entry karte hen, lekin trend traders hamesha trend line crossover ko zero k ubor hone ka intezar karte hen.
    Wo traders jo signal ki aur confirmation ka intezar karte hen wo zero line k zarye histogram k crossover ko trading signal samajhte hen. Taham kuch traders moving averages k lines ko jab histogram k direction me dekhte hen, ye histogram k crossover ko zero pe, to wo market me entry karte hen.
    Jab bhi MACD indicator ki 12-EMA line 26-EMA line k uper gurazarti hai to ye musbat value ya bullish trend ka signal de rahi hoti hai. Lekin agar 12-EMA line 26-EMA line k nechay se cross karti hai to ye negative value ya bearish signal genrate karta hai.
    MACD indicator jitna ziada apne base line se ziada door ( above ya below) hoga, to utna hi dono EMAs k darmeyan faisla barta jayega.
    False signal ko rokhne k leye zarori hai k trend crossover pe direct buy ya sell ki entry na karen, MACD indicator ka istemal dosre indicator jese RSI indicator k sath kia jana chaheye, is se false signal me kami ati hai. Signal confirmation k leye price action ka intezar karen aur candles ka baghawar mutalea karen. Jitna hum market me late entry karengy utna hi ye indicator humen faida dega.

    Click image for larger version

Name:	images (70).png
Views:	24
Size:	16.5 کلوبائٹ
ID:	12346359

    اب آن لائن

    Working...
    X