Currency Correlation kia hai ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Currency Correlation kia hai ?
    Dear member Productive ya successful trader banny kay liey yeh bahut important hai kay aap poory portfolio ko samjhin jo market ke volatility ko affect karta hai. Aur ye cheez jab forex trading kar rahy hon to zaida important hoti hai. Kun kay currencies ke price pairs main hoti hai to koi bhe pair kise dosry pairs say completely independent nahi hai. Jab aap ess correlation say wakif ho jaaty hain tab aap apni overall trading ko control kar sakte hain.

    What is correlation?

    Financial world main correlation 2 currencies kay darmiyaan statistical measure ko kehty hain. Sada alfaaz main es ka maylab ye hai kay jab aik currency pair move karta hai to uska kitna affect kise dosry pair pe parta hai jo uss currency pair sy related hai. Ab jab aapko correlation ke samjh aa jaati hai aur pairs ka apas main correlation ka andaza ho jaata hai to uss correlation ke miqdaar ya kitna zaida apas main taluq hai es baat ka pata hona chahey. Yani kay agar GBPUSD aur EURUSD ka apas main correlation hai to ye cheez dekhine hai kay jab GBPUSD up move karta hai to EURUSD kis direction main move karta hai aur agar GBPUSD 10 percent up move karta hai to EURUSD same direction ya opposite direction main kitne percent move karta hai. Ye cheez ko dekhny kay liey correlation coefficient ko use kiya jaata hai.

    Correlation Coefficient

    Correlation ko compute karny k liey correlation coefficient ka istemaal kiya jaata hai. Correlation ke range -1 sy +1 kay darmiyaan hoti hai. Aik perfect positive correlation ka matlab hai kay currencies kay 2 pairs 100% aik direction main move karte hain. Aik perfect negative correlation ka matlab hai kay 2 currency pairs 100% mukhalif simt main move karin gy. Agar 2 currency pairs ka correlation zero hai to to eska matlab hai wo apas main independent hain aur aik pair ke movement sy dosry pair ke movement par asar nahi parta aur dono ke harkat random hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	correlation1.png
Views:	3
Size:	113.2 کلوبائٹ
ID:	12473668

    Correlation Table

    Different periods of time main neechy diey gay tables main aap currencies ka correlation coefficient dekh sakty hain.

    GBP/USD Correlations

    Click image for larger version

Name:	igor1.png
Views:	2
Size:	21.6 کلوبائٹ
ID:	12473669
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Currency Correlation kia hai ?

    Forex Trading Correlation


    Forex trading market me har cheez kisi na kisi had tak aik dosre se taluq rakhti hai, jab humen us k direction aur us ki mazboti ka pata lag jaye k ye kis had tak strong hai to ye humen bohut faida de sakti hai, ye hamari leye aik acha trading tool bhi ban sakta hai. Asal baat ye k aik trader kabhi bhi aik currency pair pe trade nahi karta, ye baat hamare leye bohut faidamand sabit ho sakti hai, jab humen ye pata chale ga k currency pairs apas me kis tarah chalte hen. Is k leye hum correlation analysis karte hen.
    Correlation ka hisab (calculation) pricing data k zarye se hoti hai, aur ye number mukhtalif currency joron k darmeyan taluqat ka andaza lagane me madad kar sakti hai. Correlation k numbers kisi trader k leye bohut madadgar sabit ho sakte hen, aur us ki analysis asan bana sakti hai. Agar currency correlation ka sahi istemal kia jaye to ye waqat ki bachat, achi karkardagi aur training me karkard sabit hogi.

    Click image for larger version

Name:	images (25).jpeg
Views:	5
Size:	13.4 کلوبائٹ
ID:	12345934

    Correlation me 1, 0 aur -1 number


    Correlation me high mutabiqat k 1 aur kam k leye zero ka istemal kia jata hai. Yani agar do mukhtalif currencies jore apas me bohut ziada qareeb taluq (positive correlated) ho to wo ya to 1 aur ya 1 k bohut qareeb hongi. Lekin agar do currency pair k darmeyan akhtelaf (negative correlation) hen to wo -1 ya -1 k bohut ziada qareeb hongi. Zero (0) yahan pe neutral ka kaam karta hai. Yani dono currency joron ka taluq acha bhi hai aur nahi bhi hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211011_115750.jpg
Views:	1
Size:	221.7 کلوبائٹ
ID:	12345933

    Positive Correlation


    Agar do currency joro ka correlation apas me 1 ya us k qareeb hai to ye positive correlation hoga. 1 correlation hone ka maqsad hai k ye dono jore apas me 100% correlated hen, aik currency pair k up jane se dosra bhi lazmi up jayega. 1 correlation hona aik ideal baat hai, real me aisa mumkin nahi hai. NZD/USD aur AUD/USD apsa me positive correlated hen jab k USD/CAD aur USD /CHF apas me positive correlated (taqreeban 0.95) hen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20211011_120025.png
Views:	1
Size:	38.4 کلوبائٹ
ID:	12345935

    Negative Correlation


    Jab correlation ratio do currencies joron k darmeyan -1 ya -1 k qareeb hon to ye negative correlation ban jata hai. Negative correlation me bhi aik pair ka correlation mukamal -1 nahi hota, q k ye aik ideal number hai jis ka matlab hai k 100% correlated hona. GBP/USD ajr EUR/GBP ka strong negative correlation (taqreeban -90) hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20211011_120105.png
Views:	1
Size:	28.1 کلوبائٹ
ID:	12345936

    Currency pairs and Commodities Correlation


    Currencies pairs to bohut ziada apas me positive ya negative correlated hote hen, lekin financial market me currency ka commodities k sath bhi positive aur negative correlation ka taluq rehta hai. For example; agar gold ki market uper jati hai to AUD/USD currency jore ki qeematen bhi up jana shoro karti hai, yani Australian dollar ka gold k sath strong positive correlation hai. Lekin us k bar-aks American dollar ki value me kami waqea hoti hai, yani gold ka USD k sath negative correlation hai. Isi tarah agar Crude oil ki qeematen up jati hai to EUR/CAD currency pair down jana shoro karta hai, q k Crude oil ka CAD k sath positive correlation hai.

    Click image for larger version

Name:	images (24).jpeg
Views:	1
Size:	29.2 کلوبائٹ
ID:	12345932

    اب آن لائن

    Working...
    X