Gravestone Doji candle
Gravestone doji candle us waqat banti hai jab market ki qeematon ka open, close aur low positions aik hi ho. Is candle ka oper (uper) ki taraf aik bara saya hota hai.
Baqi dogi candles ki tarah gravestone doji ko bhi market k reversal ya tasalsul k leye tabeer (refer) kia jata hai. Is k leye doji candle stick ki position ko malom karna bohut zarori hai k ye kis position pe ban rahi hai. Agar gravestone doji kisi bullish ya ziada price wale area me paye jaye to ye qeematon k reversal ki taraf ishara karti hai, aur agar ye candle kisi mandi ye kam qeemat wale area me paye jaye to is ko market me teezi (bullish trend) ktawar par dekha jata hai. Lekin agar ye sideways trend me paye jaye to is ko gher-janebdar tasawar kia jata hai.
Gravestone Doji at the Top
Gravestone doji candle bearish signal degi agar is ko mazbot up-trend ya high qeemat wale area me ban jaye. Ye aik bearish candle hai, q k is ka oper ki janib aik lamba saya hai aur is ka close position kam (low) hai. Low price me band hone ka matlab hai k mandi (bear) qeematon par hawi hai, halankeh baqi candle pehle bullish hi rahi hai. Agar candle k opening aur closing points aik dosre k qareeb hongay to is ko shooting star candle kaha jayega, is candle ko bearish candle me shumar kia jayega.
Gravestone Doji at the Top pe Trading
Gravestone doji at the top qeematon k reverse hone ka signal de rahi hoti hai lekin sell se pehle market ka confirmation zarori hai, aur is k leye zarori hai k doji candle k bad wali candle ko dekha jaye k wo kon si aur kis tarah ki banti hai. Agar doji candle k bad banne wali candle doji candle (candle 2) aur doji candle se pehle wali candle (candle 1) k nechay close ho jaye to is ka matlab hai k ye sell ki confirmation de rahi hoti hai. Stop loss doji candle k saye ka top position hoga.
Candles formation: jab bhi candle 3 candles 1&2 k nechay close ho jaye to sell ki trade lagayen. Agar qeematen 4rth candle me wapis uper jane lagay to candle 1,2& 3 k top pe stop loss set karen.
Gravestone Doji at the Bottom
Agar gravestone doji kam qeemat wale area ya bearish trend k bad bane to ye market ki reversal (bullish trend) ka signal hoga. Agar candle ka open close aik dosre k qareeb hai lekin aik position pe nahi hai to ye inverted hammer candle hogi.
Gravestone Doji at the Bottom pe Trading
Gravestone doji at bottom ka reaction doji at se bulkul mukhtalif hota hai, is me market ki reverse up side pe mumkin hai. Trend confirmation k leyw zarori hai k market me banne wali agli candle ki value aur position ko dekha jaye. Agar gravestone doji k bad banne wali candle bullish rahi aur is ka closing price doji candle aur doji candle se pehle (candle1) k price se uper rahi to ye market me aik mazbot sell ka signal de rahi hai.
Candles formation: Candle 3 ka closing point candle 1&2 se lazmi oper hona zarori hai, tab hi humen buyvka signal melega. Stop loss ko teeno candles (1,2&3) k lower position pe set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим