Moving Average Strategy in Forex Market

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Moving Average Strategy in Forex Market
    forex trading kay ley hum diiferent kesam ke strategies ko estamal kar kay technical analysis kartay hein je han dear members aj hum jes indicators kay baray mein learn karna wallay hein woh hey moving average indicators moving average indicator aik aisa trading indicators hota hey jo chart kay oper historical data hota hey os data ko use kar kay aik average price ready karta hey jo humen market ka next trend batata hey or humen indicate karta hei keh kahan par hum nay buy karna hey or kahan par hum nay sell karna hey kahan say market reverse kar sakta hey market ka trend up hey ya down hey to aisay mein moving average he humare help karta hey jes say market mein decision laynay mein humen asane hote hey


    What is Moving Average Strategy;


    In statistics moving average calculate data analysis point. number ke series bantay hein jes mein hum mokhtalef subset data set kay banatay hein or average ko find kartay hein Forex Market moving average different stock or currencies ka technical analysis kar hum forex market mein moving average ko find kartay hein aik moving average hum lagatay hein jo keh har trade mein humen lagana bhe chihay woh hota hey 200 ka yeh zyada tar trend ko follow karnay kay ley zaroorey hota hey
    Click image for larger version

Name:	moving average trend.png
Views:	1
Size:	222.2 کلوبائٹ
ID:	12473620


    Types of Moving Average;


    moving average ke 2 types hein
    1;Simple Moving Average SMA
    2;Exponential Moving Average EMA

    Simple Moving Average SMA;


    jo simple moving average SMA hotay hein woh slow moving hotey hey simple moving average ko calculate karnay kay ley hum mesal kay tor par 5 day ke moving average nekal rahay hein to en 5 days ke closing price ko jama kar kay 5 par takseem karnay say jo jawab aay ga os say moving average banay ge or es jawab ko follow kartay hovay line banay ge to osay hum simple moving average line kehen gay


    Exponential Moving Average EMA;


    exponential moving average jo hotay hein woh fast mein hotay hein mesal kay tor par ager hum exponential moving average ke baat kartay hein 5 days ke moving average nekal rahay hein to last 3 days ke closing price banay ge en ko jama kar kay jo jawab ata hey es ko 5 say takseem kar daytay hein es kay jawab follow kar kay jo line banay ge es ko hum exponential moving average kehtay hein
    Click image for larger version

Name:	EMA_602x345.png
Views:	3
Size:	38.4 کلوبائٹ
ID:	12473626
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Moving Average Strategy in Forex Market

    Moving Averages


    Moving Average naqabele yaqeen had tak har jagah pe istemal hone wala aik technical tool hai. Moving average market k aam semat ka tayun, mojoda trend ka taqat, support aur resistance ka mumkina satah aur entry wa exit point k maqamat ka tayun karne me madad faraham kar sakta hai. Moving average ko envelopes aur bands k leye markazi value k tawar par istemal kia ja sakta hai, jo market me had se tajawoz ki satah ki nishan-dahi k leye istemal hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (20).jpeg
Views:	1
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12345848

    Moving Average k saat (seven) aham ajzaa (components)


    Moving Averages ko bohut sari application me istemal kia jata hai, jin me se kuch ye hen;
    1. Price Filter me qeemat ki sargarmi k hawale se behtar wazahat ki ijazat deta hai.
    2. Oscillators form me over-selling aur over-buying ki mumkina levels ko malom karne k leye istemal hota hai.
    3. Qeematon ko support aur resistance faraham karne k leye, aik price barrier ka kaam karta hai.
    4. envelopes aur bands me markazi value k tawar par istemal hota hai.
    5. Kisi trend ki taqat aur semat ki nishan-dahi karne k leye bhi is ko istemal kia jata hai.
    6. Entry aur exit k leye trigger k tawar par istemal hota hai.
    7. Market ki mumkina bullishness aur bearishness k leye bhi istemal hota hai.



    Moving Averages support aur resistance ki Reliability


    Support aur resistance k tawar par Moving Average ki reliability darja zel cheezon par munhasir hoti hai:
    • Moving Averages k zaweye (angle) ka barhna aur kam hona (ascent and descent)
    • Jitni baar us ka tujruba kia gaya hai
    • Qeemat ki test karne ki drustagi aur mayar
    • Market me uttar-charao (volatility) ki miqdar



    Moving Averages darja zel tareeqon se mumkina teezi aur mandi ki nishan-dahi karti hai:

    Barhta howa moving average mumkina teezi ka ishara hai.
    Aik mandi me jata howa moving average bearishness ka ishara de raha hota hai.
    Agar aik short term moving average long term moving average ko oper (above) se uboor (cross) karta hai to ye market me teezi ki taraf ishara karti hai.
    Agar aik short term moving average long term moving average ko nechay (below) cross karta hai to ye market ki mandi batati hai.
    Short term moving average long term moving average ko uper ki taraf lotana (rebound), market ki teezi batati hai.
    Short term moving average jo long term moving average ko bearish side pe rebound karta hai, to ye market ki mandi (bearishness) batati hai.

    Types of Moving Averages

    • Simple Moving Average (SMA)
    • Exponential Moving Average (EMA)
    • Weighted Moving Average(WMA)
    • Double Exponential Moving Average (DEMA)
    • The Triple Exponential Moving Average (TEMA)



    Simple Moving Average:

    Jaisa k naam se zahir SMA (Simple Moving Average) sab se sada moving average hai. Taza-tareen data point ko jama karne aur us ko total number of time periods pe taqseem karne se SMA ko hasil kia ja sakta hai. Traders simple moving average ko signals genrate karne k leye istemal karte hen.

    Exponential Moving Average (EMA):

    Exponencial moving average dosri qisam ki moving average hai, jo k haleya qeemat points ko ziada ahmeyat dete hai, aur is ko latest data point k leye ziada responsible banati hai.
    Exponential moving average SMA ki nisbat mojoda qeematon pe ziada inhisar karti hai, q k ye aik makhsos time period me changes pe aik jaise ahmeyat deti hai.

    Weighted Moving Average(WMA):

    WMA ko traders trades ki semat ko set karne aur khareedo wa ferokht (buy aur sell) ka faisala karne k leye istemal karte hen.
    Ye mojoda data point ko ziada ahmeyat aur mazi pechle data ko kam ahmeyat deta hai. WMA k calculation k leye ahmeyat de gaye har aik point ko data me zarab deya jata hai.

    Double Exponential Moving Average (DEMA):

    DEME exponential moving average ka advance version hai, jis me sab se latest data point ko ziada ahmeyat de jati hai. DEMA me late natayej ka masla hal kia gaya hai aur ye short term k trader k leye tez trend aur trend ki tabdili me madad faraham karta hai.

    The Triple Exponential Moving Average (TEMA):

    DEMA ki tarah TEMA bhi EMAs ki lagging masayel ko kam karti gai. DEMA aur TEMA k darmeyan main faraq ye hai k TEMAs k formula me teen (triple-smoothed) EMAs ka istemal howa hai, jab k is k bar-aks DEMA k formula me double-smoothed EMAs ka istemal howa hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X