Importance of Fibbonacci indicator in forex trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of Fibbonacci indicator in forex trading
    Dear members, forex trading Mein kamyabi k liy ap ko professional traders ki tarah technical analysis kr k trade krni chaiy. Technical analysis main sab say important support aur resistance level ki identification hai. Ager ap ko in levels ka pata lag jata hai to ap buht achi trade kr sakty hain. Support aur resistance ko identify krny k fibbonacci retracement indicator, aik buht important indicator hai. Aj main ap sa, is indicator say related information share krna chati hoon.

    Introduction of Fibbonacci Retracement Indicator:

    Dear members, Fibbonacci Retracement Indicator, aik asa indicator hai jo ap ko market k support aur resistance level identify krny main madad krta hai. Yah indicator gold ratio k hisab say, ap ko support aur resistance level btata hai. Is indicator k mutabik, market jab bi kisi gold ratio ko touch krti hai to rebounce krti hai. Is tarah retracement k rules k Busan say ap market ki movement ko predict kar k trade kr sakty hain.

    What are golden ratios:

    Dear members, Fibbonacci indicator main jo ratios use hoti hain wo 38.2%, 50% aur 61.8% hain. Yah basic ratios hain. Trader k views k mutabik market in level say rebounce krti hai.

    Use of Fibbonacci Retracement Indicator in forex trading:

    Dear forum members, ager ap Fibbonacci indicator ko properly draw kr laity hain to ap ko buht benefit hota hai. Fibbonacci Retracement Indicator ko draw krny kay liye aapko market k swing point ka pata hona chaiy. Ager ap swing point say Fibbonacci Retracement Indicator, apply krty hain, to yah aap ko golden ratio ki basis par market k reverse hony k levels k bary main btata hai.

    How to take entry with the help of Fibbonacci Retracement Indicator:

    Dear members, jab ap fibonacci indicator ko draw krty hain to ager ap ko kisi level per, aik reversal candle mil jati hai, to yah aik buht powerful signal hota hai. Is point say ap trading entry lay kr achi trade kr sakty hain.


    Click image for larger version

Name:	fibbonacci.jpg
Views:	1
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12473625
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Importance of Fibbonacci indicator in forex trading

    Asalam-o-Alekum dear friends forex trading men market analysis karna bahot he lazmi hay agar traders without analysis he trading start karen to profit earn karna mushkil hay aor risk bhi kafi barh jata hay to forex market ko analyse karnay kelye trader mukhtalif indicators ka istimal kartay hen jin ki madad say market ka trend malom kar kay sahe direction men trade ki ja sakti hay to aj ham bat karen gay (Fibbonacci Indicator) kay baray men:

    Fibbonacci Indicator:

    Fibbonacci Retracement trading Fibbonacci level ka istimal karti hay takay prices ki naqlo harkat men mumkina tabdeli ki nishandahi ki ja sakay, Fibbonacci Indicator namnihad retracements par mabni hay, jiska matlab ye hay kay aisay adwar jin men price trend kay khilaf chalti hay jis kay bad ye trend ki direction men wapas chali jati hay.

    How do you use Fibbonacci Indicator?

    Bahor say trading plate form traders ko Fibbonacci lines bananay ka qabil banaty hen uptrend men ap fibbonacci tools ko mutakhab kar sakty hen, low price ko muntakhab kar sakty hen aor cursor ko ziada price tak lay ja sakty hen Indicator chart par indicator char par 61.8%, 50.0 aor 38.2% jesay aaham tanasab ko nishan zada karay ga.

    Which indicator works best with Fibbonacci?

    Reversal honay ka imkab barh jata hay agar technical indicators ka sangum hota hay jab price Fibbonacci satah tak ponch jati hay degar famous indicator jo fibbonacci levels kay sath mil kar mil kar istimal hotay hen ain men Candlstick pattern, Trends lines, Volume, Movement Oscillator and Moving Averages shamil hen.

    Picture of Fibbonacci Indicator for guidance:

    Click image for larger version

Name:	Cattura.png
Views:	5
Size:	34.6 کلوبائٹ
ID:	12345847
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Importance of Fibbonacci indicator in forex trading

      Fibonacci Retracement


      Fibonacci ratio dar-asal tadad ki aik series hai, jo neutral qeemato me izafay ko bayan karne me madad deti hai. Ye number aik riazidan (mathematician) Leonardo Fibonacci ne daryaft keye they. Fibonacci ratio k pechay basic maqsad ye hai k is ka istemal qeematon k support aur resistance level ko malom karne k leye kia jaye. Fibonacci ratio k zarye se un levels ya position ki nishandahi ki jaye jo traders k leye munafay ka bahis banti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (38).png
Views:	1
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12345854

      Jab market me qeematen aik trend k hisab se chal rahi hoti hai aur Fibonacci ratio bhi market ka sath de rahi ho to us sorat me qeematon ko tasalsul se chalne deya jaye. Trader trading plateforme software ki madad se Fibonacci Retracement k levwls ka hisab laga sakta hai, jis se trader ko andaza ho jata hai k us ko kis level par apna munafa kamane ki zarorat hai. Forex trading me ziada tar traders apne technical analysis me Fibonacci Retracement levels par inhisar karti hai. Fibonacci retracement dar-asal pora aik forex trading ka package hai jis se trading analysis me madad li ja sakti hai.
      Mandarja-zel misal se wazih hota hai k fabonacci retracement ka concept kis tarah istemal kia jata hai. USD/CAD currency jore ka daily chart nechay deya gaya hai, chart ko dekhte howe andaza ho sakta hai k kam changes 0.9799 aur zida badlao 1.0313 par hai.

      Chart k mutabiq USD/CAD ki darja-zel levels hen:
      • 1.0116 (0.382 or 38.20%)
      • 1.0056 (0.500 or 50.00%)
      • 0.9996 (0.618 or 61.80%)



      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20211010_170309.jpg
Views:	1
Size:	283.8 کلوبائٹ
ID:	12345853

      USD/CAD k Mandarja-bala chart bullish trend par hai lekin currency jore ne nechay (downward) side pe movement shoro ki hai q k 1.0313 currency jore ki peak point hai. Traders is intezar me hai k currency jore ki ye qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par ruk jati hai to wo is pe apna reaction dengay. Aur jab bhi qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par pohunch jayegi to wo aik long-term trade (buy) open karengay, jahan se un ko bara munafa mel sakta hai. Aam tawar par qeematen in levels me se kisi aik par ruk jayegi, q k ferokht (sell) k orders qeematon k leye kafi madad peda karti hai. Agar volatility ki waja se qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) k level ko thorne (break karne) me kamyab ho jati hai, pher traders 0.50 (50.00%) k level ka intezar karengay k aya ye level breakout hota hai k nahi. Agar nahi to traders yahan pe market me lambi entry le sakte hen, warna breakout ki sorat me un ko fabonacci retracement k agle 0.618 (61.80%) tak intezar karna parega, aur agar wo bhi breakout hota hai to ye market mazeed nechay jayegi.

      اب آن لائن

      Working...
      X