Explain supply and demand in forex trading.?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explain supply and demand in forex trading.?
    Forex market ho ya stock ho ya dunia ke koi aur dosri trading market, sb supply aur demand pe chalti hain. Supply aur demand ko samjhna aur us kay asoolon ko samjhna sab sy zaida important hai kun kay ye wo main cheez hai jo markets ke price ko up ya down move karte hai. Aap nay supply aur demand kay concept ko samjhna hai aur phir us sy related aany wali news ko daily obseve karna hai. Aur phir un news main sy jo important news hoti hain unkay oper idea lagana hai kay market main demand zaida hay ya supply.



    What is Supply?
    Supply wo mikdaar ya tadaad hai jo matket main kise currency ya commodity ke jo market main mojood hoti hai. Agar kise currency ke supply market main zaida hoti hai to us currency ke value main kami wakiya hoti hai. Aur esi kay baraks agar kise currency ke supply main kami aay to us ke value main izzaffa hota hai. Log zaida tar wo cheezin khareedty hain ya un cheezon main invest karty hain jinke supply km hoti hai kun kay un ke value main musalsal izzfa dekhny ko milta hai. Jesa kay aap diamond aur normal pathar ka andaza laga lain. Diamonds ke supply km hai to aapko bahut mehngy milty hain lekin normal pathar aapko har jagha sy milty hain to wo free hain ya bahut sasty hain.

    What Is Demand?
    Demand ka urdu main matlab bhe Talab hain, jis ka matlab hay kay market main kise bhe asset ke kitne requirement hai. Jab market main kise currency ke demand main izafaa hota hai to iss ke value bhe zaida ho jaate hay aur esi tarha jab kise currency ke demand main kami aati hay to ess ke value main bhe kami ho jaate hai.

    Three States Of Supply And Demand

    First Demand exceed supply, Jab matket main demand zaida aur supply kum hoti hai to demand supply competition ke wajha sy price main izaffa hota hay.
    Second Supply exceed demand. Jab market main supply zaida aur demand kum hote gai to esi soorat main market ke value main kami aati hai.
    Third Equilibrium, Jab market main demand aur supply dono barabar hon, yani kay demand jitne ho utne he supply ho to market ke value na to kum hoti ha na zaida hoti hai.

    Last edited by ; 08-10-2021, 08:55 PM. وجہ: Some mistakes
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Explain supply and demand in forex trading.?

    Supply and Demand


    Financial markets ka daro-madar supply aur demand par munhasir hota hai, agar market me kisi cheez (item) ki miqdar log ziada khareed rahen to is ka matlab hai k us ki demand ziada hai aur agar us ki talab ki nisbat us ki tadad barh rahi ho to is ka matlab hai k supply ziada hai aur demand kam hai. Forex trading market me currencies ka istemal hota hai, agar market me aik currency jora up ja raha ho to is ka matlab hai k base currency ka demand ziada hai aur agar nechay a raha ho to is ka matlab hai k base currency ki supply ziada hai.

    Click image for larger version

Name:	images (10).png
Views:	3
Size:	22.9 کلوبائٹ
ID:	12345682

    Forex trading me demand

    Dosre financial market ki tarah forex trading bhi demand aur supply pe kaam karta hai. Forex trading me currencies jore aik makhsos value k darmeyan trading karte hen. Jab bhi market me base currency ( EUR/USD me EUR base currency hai) ki demand bare gi to is ka matlab hai k currency jora bullish jayega. Currency jore ki demand me izafay ki aik waja currency jore me mojod quote currency ( EUR/USD me USD quote currency hai) ki demand me kami bhi ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (7).png
Views:	8
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12345683

    Forex trading me Supply

    Forex trading me agar kisi currency jore ki value agar ger rahi hai to is ka matlab hai k ya to currency jore me base currency ki supply ziada howi hai aur ya quote currency ki demand me izafa howa hai.

    Click image for larger version

Name:	images (8).png
Views:	1
Size:	17.4 کلوبائٹ
ID:	12345684


    Demand/Supply aur Support /Resistance


    Forex trading me demand aur supply k leye support aur resistance ka istemal kia jata hai. Chokeh forex trading me ye mumkin nahi hai k aik currency jora sirf up (bullish) ya down (bearish) jayega, is waja se ye aik khas position se apna semat (trend) badal deta hai.
    Jab bhi aik currency ki demand ziada hoti aur uper (up) chala jata hai to aik aisa position ata hai k waha se us ki wapasi yaqeeni ho jati hai, us position ko forex trading me selling area ya resistance zone bhi kaha jata hai. Isis tarah agar aik currency jora downward jata hai aur supply me izafay ki waja se us ki value me kami waqea ho jati hai, to nechay aik aisa position a jata hai jahan se us ki wapasi yaqeeni hoti hai, us position ko support zone ya buying area kaha jata hai.

    Supply aue demand area me trading karna


    Agar forex trading me supply aur demand ka factor na hota to currencies ki trading mumkin na hoti. Forex trading me currencies pair makhsos levels k darmeyan harkat kar rahe hote hen, is waja se ye traders k leye investment ki opportunity peda karti hai.
    Jab bhi market me demand ziada ho jaye aur qeematen resistance area tak pohunch jaye to us position pe humen sell ki trades open karne chaheye, isi trah jab market me qeematen supply ziada hone ki waja se support level par a jaye to humen buy k trades open karne chaheye. Supply aur demand zone me trading k leye humen RSI aur Schotic oscillators ka istemal karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (9).png
Views:	1
Size:	22.6 کلوبائٹ
ID:	12345681
    Last edited by ; 09-10-2021, 07:16 AM.
    • #3 Collapse

      Re: Explain supply and demand in forex trading.?


      Asslam O Alaikom Dear forex Forum Friends Today Our Topic Is SUPPLY AND DEMAND .




      GENERAL DISCUSSION :-


      Dear forum members Agr market main kamyab Trading karna chahty hain to hum ko Trading ka Experience hona chahye, Aj hum SUPPLY AND DEMAND ky bary main baat karengy.



      DEFINITION OF SUPPLY :-


      Forex Forum friends trading market main Supply wo tadaad hai jo market main kisi currency ya commodities ke jo market main miqdar mojood hoti hain, Agar kisi currency ki supply market main zaida hoti hai to us currency ke values main dropping hoti hain, esi kay mukhalif kisi currency ki supply main jab dropping ajati hai to us ki values main increasing ajati hai ,jin ki supply km hoti hai un ke value main musalsal izafa dekhny ko milta hai, Jesa kay hum Silver aur normal pathar ka andaza laga skty hain, Silver ki supply km hai to hum ko mahanga milta hain, lekin es ky banisbat pathar hum ko har jaaga milty hain to wo buhut sasty hain. Aisy hi forex market mai jis currency ya cheez ki demand zayda hoti hai wo high rate par milti hai aur jis ki supply ziada hota hai wo low rate par mil jatii hai...



      DEFINITION OF DEMAND :-


      Forex Forum members forex trading market mai demand ka matlab yi hai kh market main kisi bhi currency ya cheez ki kitni requirement hoti hai , market main kisi currency ka demand main izafaa hota hai to es key value buhut zaidaa ho jaati hai, aur esii tarha jab kisi currency ya cheez ki demand main dropping aati hai , to es ki values main bhi dropping ho jati hain ,



      DIFFERENCE :-


      Dear forex Forum members forex trading market mai kaam karty hoyee hamain DEMAND AND SUPPLY ki knowledge honii chahiyee . Jab bhi market main demand increase aur supply decrease hoti hai to demand and supply ky competitions ki waja sy prices main increasing hoti hai. Jab bhi market main supply increase and demand decrease hoti hai to us waqat main market ki values main decreasing ajati hai...


      Click image for larger version

Name:	images (37).png
Views:	3
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12345699 Click image for larger version

Name:	images (38).png
Views:	10
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12345700 Click image for larger version

Name:	images (39).png
Views:	3
Size:	22.9 کلوبائٹ
ID:	12345701
      • #4 Collapse

        Re: Explain supply and demand in forex trading.?

        jata hai. Chokeh forex trading me ye mumkin nahi hai k aik currency jora sirf up (bullish) ya down (bearish) jayega, is waja se ye aik khas position se apna semat (trend) badal deta hai.Jab bhi aik currency ki demand ziada hoti aur uper (up) chala jata hai to aik aisa position ata hai k waha se us ki wapasi yaqeeni ho jati hai, us position ko forex trading me selling area ya resistance zone bhi kaha jata hai. Isis tarah agar aik currency jora downward jata hai aur supply me izafay ki waja se us ki value me kami waqea ho jati hai, to nechay aik aisa position a jata hai jahan se us ki wapasi yaqeeni hoti hai, us position ko support zone ya buying area kaha jata hai.Supply aue demand area me trading karnaAgar forex trading me supply aur demand ka factor na hota to currencies ki trading mumkin na hoti. Forex trading me currencies pair makhsos levels k darmeyan harkat kar rahe hote hen, is waja se ye traders k leye investment ki opportunity peda karti hai.Jab bhi market me demand ziada ho jaye aur qeematen resistance area tak pohunch jaye to us position pe humen sell ki trades open karne chaheye, isi trah jab market me qeematen supply ziada hone ki waja se support level par a jaye to humen buy k trades open karne chaheye. Supply aur demand zone me trading k leye humen RSI aur Schotic oscillators ka
         
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: Explain supply and demand in forex trading.?

          jata hai. Chokeh forex trading me ye mumkin nahi hai k aik currency jora sirf up (bullish) ya down (bearish) jayega, is waja se ye aik khas position se apna semat (trend) badal deta hai.Jab bhi aik currency ki demand ziada hoti aur uper (up) chala jata hai to aik aisa position ata hai k waha se us ki wapasi yaqeeni ho jati hai, us position ko forex trading me selling area ya resistance zone bhi kaha jata hai. Isis tarah agar aik currency jora downward jata hai aur supply me izafay ki waja se us ki value me kami waqea ho jati hai, to nechay aik aisa position a jata hai jahan se us ki wapasi yaqeeni hoti hai, us position ko support zone ya buying area kaha jata hai.Supply aue demand area me trading karnaAgar forex trading me supply aur demand ka factor na hota to currencies ki trading mumkin na hoti. Forex trading me currencies pair makhsos levels k darmeyan harkat kar rahe hote hen, is waja se ye traders k leye investment ki opportunity peda karti hai.Jab bhi market me demand ziada ho jaye aur qeematen resistance area tak pohunch jaye to us position pe humen sell ki trades open karne chaheye, isi trah jab market me qeematen supply ziada hone ki waja se support level par a jaye to humen buy k trades open karne chaheye. Supply aur demand zone me trading k leye humen RSI aur Schotic oscillators kaunderstanding the supply and demand concept, it will be very simple to spot SD zones on charts. Although this would be a hindsight observation, it will give us a good hint of where to look for our trades in the future.why should we expect a price reaction lets get back to oranges and shoppers say for example you could buy one orange at a price of 1.
           

          اب آن لائن

          Working...
          X