Slippage
Jab aap bhi market ki mojoda (current) qeemat pe order put (buy or sell) karte hen, lekin order put hone k bad wo kisi aur position (ya price) pe put of (lag chuka) ho, to is amal ko Slippage kaha jata hai. Misal k tawar par aap EUR/USD ko 1.1180 pe khareedna (buy) chahte hen lekin slippage ki waja se qeemat 1.1181 lag jata hai. Aik trade k lot size 0.01 me 0.0001 ka difference bari mayene nahi rakhta lekin agar ye ziada trade hon ya 1.0 lot ho to us sorat me aap ko 0.01 ka nuqsan hoga, jis ka matlab hai k ap ko us trade me izafi $100 ka loss ho gaya.
Market me aam tawar par do (two) tarah k orders istemal hote hen, aik market order (market ka mojoda qeemat) aur dosra limit orders. Slippage market order pe depend karta hai k aap konsa istemal kar rahen hen.
Limit orders me slippage ka loss kuch mukhtalif hota hai, for example ; app EUR/USD ko 1.1180 pe khareedna chahte hen, lekin slippage ki waja se market ki qeemat ( price) is level ko hi nahi pohunch pati, limit order me aap ko market ki fixed qeemat ada karni hoti hai, lekin slippage ki waja se aksar price ap k limit tak pohunchne me nakam ho jati hai. Limit orders me qeemat ki zamanat (guarantee) to hoti hai lekin trade lazmi lagne ki zamanat nahi hoti hai.
Market order Slippage me limit order se mukhtalif hai, is me trade lagne ki zamanat (guarantee) to hoti hai lekin qeemat wahi hogi, is ki zamanat nahi hoti hai. Agar aap EUR/USD k order ko 1.1180 pe buy to karte hen lekin order put hone k bad wo aap ko 1.1181 hota hai. Market order ki qeemat slippage ki waja se mutasir ho sakti hai.
Market utar-charao (volatility ya fast market) k sath market k order par slippage barhti hai. Jab market shoro hoti hai to slippage bohut ziada ho jati hai.
Slippage ko control karne ka tareeqa ye hai k aap market me is ko practice karne se qabo kar sakte hen, jo bhi tareeqa ap ko achah lagay us ko ikhteyar karen. Slippage ko limit order se kafi had tak qabo (control) me laya ja sakta hai, agar koi limit order ka trade app se slippage ki waja se miss bhi ho jaye to is k elawa bhi market me bohut ziada mawaqay (opportunities) hen, jin pe trade kia ja sakta hai, kam az kam loss se to aap mehfoz rahengay.
Kuch slippage me brokers bhi shamil (involve) hote hen, agar brokers slippage nahi karte hen, to us sorat me slippage me kabhi kabhi faida bhi hota hai, q ka uttar aur charao dono sematon me ho sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим