Forex Trading account ki qismen (types) kia hen?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading account ki qismen (types) kia hen?
    Forex Account Types


    Dosre financial idaron ki trah traders forex trading me apne leye mukhtalif qisam types) k account khol (open) kar sakte hen: inferadi account (Individual Accounts), Mushtarika account (Joint Accounts mukhtalif sahulaton k sath), Partnership Accounts, Corporate Accounts, and Retirement/Investment Accounts (mukhtalif sahulaton k sath). Forex trading me sab se asan account jo open kia jata hai wo inferadi account (Individual account) ya mushtareka account (joint account) hai. In dono accounts k elawa baqi accounts me izafi kaghazat (documents) ki zarorat hoti hai. Sab se ziada Retirement/Investment account mushkil se khula (open) hota hai, q k is me dekha jata hai k aya ye account forex trading k ihel hai ya nahi, Is waja se bohut sare account reject ho jata hen aur ya us me radu-badal ki zarorat hoti hai.
    Agar aik client apne account ko kisi teeare fareeq k zarye se sambhalne (manage) karne chahta ho to us k leye izafi documents ki zarorat parti hai. Forex money manager ko select karne aur us ko account k akhtyarat dena aik bohut bari zemadari hai, is waja se client k is faisale ki barpor janch ki jati hai. Professional accounts ko ya to inferadi (Individual) manager k zarye se sambhale jate hen aur ya usbko forex fund me rakha jata hai. Clients ko ye baat zehwn nasheen karni chaheye k wo forex spot account open karen, na k forex future ya forex farward account. Taqreeban taman forex traders spot account ki opening ki sahulat de rahi hai.
    Har client k leye form ki tadad aur makhsos mukhtalif hote hen (thori bohut similarity mumkin hai). Terms and conditions ko agree ya sighn karne se pehle lazmi parhen (read karen). Agar koi sawal (question) ho to broker se poch len. Agar shak ho to kisi se poch len ya apne account manager se rabta karlen. Forex trading me jitne bhi terms aur conditions hote hen wo aik clients ki sahuleyat aur us k account k safety k leye zarori hote hen. Is me kisi ko koi masla nahi hona chaheye k ye sab un se q karwaya ja raha hai. Forex trading mali mamelat se taluq rakhti ahi, is waja se is business me terms aur conditions ziada ho sakte hen is waja se account opening me kisi bhi qisam ki jaldbazi se kaam na len.

اب آن لائن

Working...
X