Forex trading say related kuch important terms

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading say related kuch important terms
    Asalam Alaikum, Dear forex forum members, Jab ap forex trading business ko join krty hain to kuch terms is business me buht zayda use hoti hain. Jo new logon ko bilkul samjh nai ati, jis ki waja say wo buht zayda confuse ho jaty hain. Aj main ap say un terms k bary main information share krna chata hoon ta k ap is business ko asani k sath samj sakin.

    Who is broker and what is his role in Forex trading market:

    Dear forex forum members, jab ap is business ko join krna chaity hain to os k liy ap ko aik broker ki zarorat hoti hai. Ap apni investment broker k pass deposit krwaty hain aur broker ap ko online terminal daita hai jis k zariy ap is bussines ko join kr sakty hain.


    Explanation of lot size:

    Forex trading market main jab ap koi selling ya buying ki trade lagty hain to yah, specific number of units me hoti hai, jisy lot size kehty hain. Lot size jitni bari Hogi, profit ya loss bi itna zayda hota hai aur risk bi itna zayda hota hai.

    Candlesticks:

    Dear forex forum members, Forex trading market main, buyer aur sellers k pressure ki waja say jo market ki movement hoti hai aur shapes banti hain, unhain candlesticks kaha jata hai. Technical knowledge k liy candlesticks ka knowledge buht zarori hota hai. Candlesticks, do tarah ki ho sakti hain, bullish candlestick aur bearish candlestick

    Buyer's pressure ya bullish movement:

    Market k uptrend main jany ki waja buyer's ka pressure hota hai. Os time market me seller's ka pressure buht kam hota hai. Jis ki waja say prices increase hoti hain, is market movement ko bullish movement krhty hain.

    Seller's Pressure ya Bearish movement:

    Jab market, downtrend main ja rahi hoti hai to os k main reason ya hoti hai k sellers ka pressure zayda hota hai as compare to buyers. Is pressure ki waja say prices decrease hona shuru ho jati hain, is market movement ko bearish movement krhty hain.

    What is take profit:


    Jab ap forex trading market main koi trade lagty hain to ap ka profit ka aik target hota jo achieve krny k bad ap trade close kr daity hain. Is level ko take profit kaha jata hai.

    What is stop loss:

    Dear forex forum members, jis Tarah trade lagty wakt ap ka profit ka aik target hota hai isi trah ap apna loss bear krny ki bi aik limit set krty hain. Ager market ap k against jati hai to ap ki trade is level say automatically close ho jati hai. Ager ap stop loss ni lagty to ap ka pora account wash ho sakta hai.
    .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex trading say related kuch important terms

    Forex Trading me kaam karne se pehle is me istemal hone wale terms k bare me knowledge rakhna bohut zarori hai. Forex trading k ye term is business ka lazmi juzz hai. Forex trading me aam tawar par istemal hone wale kuch terms darjazel hai:

    Currency pair


    Forex trading market me currencies pair ki sorat me hote hen, jis me aik currency ko dosre currency k mutabiq trad kia jata hai. Pehle currency ko base currency jab k dosre currency ko quote currency kaha jata hai.

    Cross Currency pair


    Cross currency pair ko cross rate bhi kaha hai. Is se murad wo currency pair jis me dealing k dowran USD mojood na ho, jaisa k EUR/GBP, NZD/JPY, AUD/CAD etc.

    Pip


    Pip se murad "percentage in point or price" hai. Pip kisi bhi currency jore k movement k nateejay me banne wali sab se kam tareen qeemat hai.

    Market Order(s)


    Market ki mojoda qeemat par currencies k bejna ya khareedna.

    Margin Call


    Jab bhi trader ka loss us k account me maojood sarmaye se tajawoz kar jaye to aisi sorat me trader ko agah kia jata hai k ya to wo apne account me aur sarmaya jama kare aur ya kuch open trades ko band kare. Is amal se jo baqi current running trades hote hen wo mutasir hone se bach jate hen.

    Lot Size


    Lot size ki madad se hum market me trading k leye maojood currencies me deal karte hen. Aik standard lot size 100000 unit k brabar hota hai jab mini lot size 10000 units ka aur micro lot size 1000 units k brabar hota hai.

    Liquidity


    Liquidity se murad kisi currency me kitni meqdar ki transactions hoti hai. Jitni aik currency ki liquidity ziada hogi, utni hi us ki khareed wa ferokht ziada hogi.

    Leverages


    Forex trading market me leverage brokers ki wo sahulat hai, jis se aik trader kam sarmaye me ziada miqdar k stock, currencies ya commodities me trading kar sakta hai.

    Brokers


    Brokers se murad aisa firm hai jo k buyers aur sellers k darmeyan aik agent k tawar pe kaam karte hen. Brokers buyers aur sellers k darmeyan hone wali deal se commission osool karta hai.

    Ask Price


    Asik price se murad wo qeemat hai jo sellers ko qabool hoti hai, yani is pe aap currency buy karte hen.

    Bid Price


    Bid price se murad wo qeemat hai jis pe buyers razi hote hen, yani app is qeemat pe bhej dete hen.

    Take profit


    Trading k dowran order k leye pehle se hi tay kia gaya aik position, k jis pe munafa pohunchne pe khud-bakhud band ho jaye take profit kehlata hai.

    Stop loss


    Stop loss se murad wo position hai k jis pe loss pohunchne pe trade khud-bakhud band ho jaye. Stop loss account k safety k leye ziada loss se mehfoz hone k istemal kia jata hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forex trading say related kuch important terms

      Walaikum aslam good morning bhai jan forex treading ik bhaut hi AchA kam hay is me ham ko soch smjh Kar kam karna hota hay it Jo ap nay hamy information do hay bhaut hi achi Information di hay ham ko is me AchA kam or achi soch Kay sath kam Karna hota hay

      اب آن لائن

      Working...
      X