Forex Trading ka karobar asal me mukhtalif mumalik ki currencies k tabadele ka amal hai. Jab bhi aik mulk ki economy mazbot hoti hai to is se us mulk ki currency bhi mazbot hoti hai. Forex trading me mazbot maashi mumalik ki currencies ka uthar aur charao ka inhisar us mulk ki maashi sargarmeyon se mutasir ho kar hoti hai. Aam tawar par ye sargarmeya aik khas waqfay ya arsay k bad hoti hai, jis ko forex calendar b kaha jata hai.
Chonkeh forex trading me mukhtalif maashi events hamare trading par asar andaz hote hen, os waja se humen forex trading me kaam karte howe is se bakhabar hona chaheye. Event calender ki sargarmi kisi bhi currency ko ya to bohut zyada mazbot kar deti hai aur ya us ko dosre currency k muqabele me nuqsan bhi de sakti hai. Forex event calender k awqat pehle se deye howe hote hen, trading k dowran humen in envents calender ko kabhi bhi nazar andaz nahi katna chaheye.
Forex trading currencies pair par technical analysis ziada moasar sabit hoti hai, lekin baaz awqat calendar events technical analysis se ziada mutasir kun hote hen, jaise; Nonfarm Payroll data, Fed's Financial analysis, intrust rate decision etc.
Forex events me United States k financial events ko forex market me ziada made nazar rakha jata hai. Q k dollar k uthar charao ki waja se commodities, metals aur energies bhi mutasir hoten hen.
Forex trading market ko 4 mukhtalif sessions me awqat k hisab se taqseem kia gaya hai. Jis me pehle number pe Sydney session, pher Tokyo session, teesre number pe London session aur akher me New York session ata hai. Tokyo session k dowran Australia aur New Zealand k financial markets open hoti hai aur in k financial events b isi session me release hote hen, jis se AUD aur NZD ki currencies ki qadar me tabdeeli waqaya hoti hai. Tokyo session k dowran Japan, China aur us k bad baqi Asian countries k financial events ka data release hota hai jo in k currencies par pe baraherast asar andaz hota hai. London session me European countries aur United Kingdom ka financial data release hota hai jo k Euro aur GBP ko mutasir karta hai aur akher me New York session ka waqat hota hai jis me America k mukhtalif financial institutions ka data release kia jata hai.
Financial events k mukhtalif apps play stor se mel jate hen, jis se hum baasani kisi bhi mulk ki maashi sargarmeyon se bakhobi waqif ho sakte hen, humare trading me technical analysis k sath sath financial market ka data b aham role play karta hai.