Concept of Forex Currency Cross Pair?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Concept of Forex Currency Cross Pair?
    Dear Forex Members Asalam alakikum,


    Aj main apky sath Forex Currency Cross Pair sy related information share karongi. Market me working krty hoay traders ko kuch baton ka khyal rakhna bhot important hota ha Jin main Candlestick ki movements, candlestick ki important forms, lots size selection or currency pair selection etc included hein. Forex market main successful trader banny k lehy important factor’s ko understand kar ky profitable trading kr skty hain.



    Definition



    Currency Cross Pair:



    Currency Cross Pair main hum kisi aik currency ko dosri currency main zarorat k leay convert krty hain tou is ko hum forex ki language main currency cross kehty hain. Pair word ka meaning ye hota hai jab hum kisi currency ko exchange kr skty hain k hmary pas kon kon sy currency ha Jin ko hum cross exchange kar sakty hain, is py depend kar key pair bana dehy gay hain. Ta k traders ko exchange krny main asaani ho.



    Important Pairs:



    Trading me use hony vali 2 application hain. Jin k name metatrader 4 (MT4) or metatrader 5 hein Jin main ye pairs or in ki value btae gai hain. 6 important pair jo hum cross convert kr sakty hain jis me traders ko US DOLLOR ki involvement ki need ni hoti.



    1-BRITISH POUND(GPB) /JAPANESE YAUN(JPY).


    2-EURO(EUR) /BRITISH POUND (GPB).


    3-CANADIAN DOLLOR(CAD) / JAPANESE YAUN(JPY).


    4-AUSTRALIAN DOLLOR(AUD) / CANADIAN DOLLOR (CAD).


    5-EURO(EUR) / AUSTRALIAN DOLLOR(AUD).


    6-NEW ZEALAND DOLLOR (NZD) /JAPANESE DOLLOR(JPY).


    Calculation Process:


    Traders ko calculate karny ki need ni hoti because meta trader 4 aur meta trader 5 main automatically forex crosses ke price calculate ho kay milti hai. But agar khud sy calculate karna chahy hain to main calculation process share kr deti hon. Agar aap EURJPY ke price find karna chahty hain to aap 2 usd pairs EURUSD aur USDJPY ke price nikalty hein aur dono ke mid price yani kay first wali price ko apas ma multiply kar dain tou trader ko EURJPY ke price mil jaay ge.


    EURUSD = 1.1800

    USDJPY = 110.21

    EURJPY = 1.1800 × 110.21

    EURJPY = 130.04


    USD ke price sary pairs par effect karti hai but crosses kay apny fundamentals bi hoty hain, aap un kay analysis kar kay major pairs ke tarha trading kar sakty hain.
    منسلک شدہ فائلیں

اب آن لائن

Working...
X