Introduction of Technical Indicators

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Introduction of Technical Indicators
    Assalam O Alaikum!
    Friends Umeed hai ap sab kheriyat sy hon gy. Jab hum technical analysis ko study kar rahy hoty hain to different indicators ko study karna bht important hota hai. Indicators humain market trend ky bary mn bataty hain jo hamari trading strategy par bht effect karta hai. Aj hum Technical Indicators ki introduction par bat Karen gy.


    What are Technical Indicators?
    Technical Indicators series of data points hoty hain jo different formulas ko plot kar ky derive hoty hain. Simple yeh ky kisi bhi indicator ki jo value hoti hai wo 1 farmula par base karti hai. Har indicator ka apna 1 makhsoos formula hota hai. Technical Indicators chart ky ooper ya neechy graphical form mn show ho rahy hoty hain.

    Click image for larger version

Name:	pic 1.jpg
Views:	1
Size:	57.9 کلوبائٹ
ID:	12472286



    Use of Technical Indiators:
    Technical Indicators ko Professional Traders khud ko alert karny ky liye use karty hain. Agar traders market mn koi position lain or market us position ky opposite chali jae to Technical Indicators us ki alert dety hain. Indicators bullish ya bearish signal bhi provide karty hain. Technical Indictors price ko predict karny ky liye bhi istemal hoty hain.

    Click image for larger version

Name:	pic 2.jpg
Views:	1
Size:	95.0 کلوبائٹ
ID:	12472287



    Tip For Using Indicators:
    Technical Indicators ko use karty waqt Price Action ko hamesha apny mind mn rakhna chahye. Price Action ky bagher Indicators ka use loss ky chances ko increase kar deta hai. Trade lety waqt Techninal Indicators or Price Action dono ka same view hona chahye. Agar Indicators sell ka signal de rahy hon jabky Price Action buy ka to iss condition mn trade lena bht risky hota hai.

    Click image for larger version

Name:	Pic 3.jpg
Views:	1
Size:	68.8 کلوبائٹ
ID:	12472288
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Introduction of Technical Indicators

    Indicators mukhatalif tarekon sy istemal hoty hain aur mukhhtalif tarhaa kay nataaij apko dety haain. Indicators trading platform par aik aesay tool ke hasiiyat rakhty hain jo aapki trading ka mazeed wazeh aur consize bnaaty hain aur aapki trading main nikhaar laaty hain. Indicators long term aur short term forecast aapko btaaty hain, market ke current state aapky samny laaty hain ya historical data aapko analysis kay liey provide karty hain. apko kafi saary aisee indicators milll sakte hain jinnko aap use kar sakte hain lekin chand indicators main aap k sath share karta hunn.

    Best Indicators Kon Say Hain?
    Harr trader kay apany pasandeeda technical indicators hotyy hain aur ye indicators traders apni strategy main isttemaal karte hain. Lekin aik baaat jiss main koi do raay nahi hai kay koi aissa indicator nahi hai joi sab sy best ho. Kun kay har trader ka apna style hota hai aur har trader ke strategy mukhtalif hoti hai jiss main mukhtalif indicators usko suit karte hain. Lekin channd aise indicators hain jo har trader ko maloom hony chahey wo ma aap kay sath share karta hun.

    Moving Averages Indicator
    Moving averages leadings technical indicator hain jo kay price action main break iut ke nishaan dehi karte hain, aur es kay sath market ke amomi simat bhe btaty hain. Moving averages indicators chart par aik line ke soorat main hoty hain aur jo time ke mikdaar apne set ke hoti hai jesa kay 20 days ya 200 days, uss hisaab sy average price btaty hain. Es say trader ko marrket ka shoort term ya long terms trend ka andaazaa hota hai. Lekin esss baat ko zehan main rakhna chahey kay choty period wali Moving averages price change hony par bary time period wali moving averages sy taiz amal karti hain.
    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	11
Size:	19.4 کلوبائٹ
ID:	12344088

    RSI Indicator
    Relative Strength Index ya RSI bhe stochastic ke tarha oversold ya overbought conditions ko dekhny main madad karta hai. Relative strength index unn traders kay liey zaida bhetr saabit hota hai jo low buy aur high sell karte hain. Rsi ke value 0 sy 100 kay darmiyaan hoti hai jis main traders 70 sy above overbought consider karte hain aur 30 sy neechy oversold consider hoti hai. Traders oversold ko buy aur overbought ko sell karte hain. Lekin RSI ko d3khty huy aik baat ko mind main rakhna parta hai kay market selling ya buying zone main ho tbb market main order lagana behtar rehta hai.
    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	27
Size:	26.5 کلوبائٹ
ID:	12344089

    Oscillator Indicator
    Oscillators marrket ka woo wakat ke taraf ishaara karte hain jabb market aik limit par pohnnch jaati hai aur wahan say trend ke mukhalif direction main correction yakeeni nazar aa rahi hoti hai. For example agar market main up trend chal raha hai aur market kafi zaidaa upp move karti hai, Aur aik peak pe jaa kar rukti hai to to wo over bought condition main hoti hai our wahan sy market correction kay liey aany kay kafi imkanaat s ban jaaty hain. Ise kay baraakas market jab oversold conditions main hoti hai to correction kay liey up jaany kay imkanaat hoty hain. Aur ye baat ko zehan main rakha jaay kay jab market oversold ho to buy kiya jaay aur jab overbought ho too sell kiya jaay.

    Stochastics Indicator
    Stochastic indicators ko khasoosi torr par market ke overbought aur oversold conditions kay zone ko indicate karney kay liey istemaal kiya jaata hai, lekin Stochastic mumkina price reversal ko bhe point out karte hain. Stochastic kay aik sy zaida versions hain lekin slow Stochastic sab sy zaida aur kable aitebaar indicator samjha jaata hai. Stochastic indicator aapko chart kay bottom main milta hai jo kay 2 moving averages par mushtamil hota hai jo 0 sy 100 kay darmiyaan hoti hain. Stochastic traders ke first choice hota hai kun kay esski ke darustagi kafi zaida hai aur inexperienced traders kay liey zaida mozoon hai.
    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	5
Size:	61.3 کلوبائٹ
ID:	12344090

    اب آن لائن

    Working...
    X