what is technical analysis
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is technical analysis
    technical analysis aik aisa tool hey jo mostakbel mein kesi stock ke kemaat ya market movement ke paish goai karnay kay ley istamal hota hey jaisa keh stock or currency pairs jo keh market kay bata par base karta hey
    Past price as an indicator of future performance
    technical trader yeh yaqeen kartay hein keh past price action ke base par future price ka andaza lagaya jata hey technical analysis na serf technical trade estamal karta hey bakeh fundamental trader bhe fundamental analysis ko estamal karta forex market mein laken technical analysis strong decision daytay hein forex market mein aik acha entry point low risk trading ka signal dayta hey
    Charting on different time frames
    Forex market mein price ka andaza laganay kay ley technical trader doo kesam kay primary variable ko estamal karta hey
    1 Time frames
    2 technical indicators
    technical analysis time frames chart mein different range ko show kartay hein aik minute say lay kar monthly tak yahan tak keh yearly bhe time frame hotay hein jo mashhoor time frame jo technical trader aam tor par estamal karta hey woh darj zail hein
    5 minute chart
    15 minute chart
    30 minute chart
    1 hour chart
    4 hour chart
    aik trader jo study kar kay time frame ka entakhab karta hey anfaradey trader jo zati trading kay andaz say estamal karta hey enter day trader woh trader hey jo aik he den kay andar trading position ko open bhe karay or close bhe karay
    short time frame par kemaat or market movement ka tajzeya karnay kay ley trader 5 minute chart, 15 minute chart, 30 minute chart
    jab keh long term trading or market ke movement ko analysis karnay kay ley trader 1 hour, 4 hour, weekly time frame ka estamal karta hey
    دیتے جائیںThanksحوصلہ افزائی کے لیے
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: what is technical analysis

    Technical Analysis


    Financial market me kaam karne k leye hamesha traders markets ki supply aur demand ko made nazar rakh kaam karte hen. Jab bhi kisi stock ya assets ki demand barh jati hai, to us se prices me izafa hota hai, aur us k bar akas jab supply ziada hoti hai, to us waqat price kam ho jati hia.
    Prices ka kam hona aur ziada hote rehna ye waqat k sath sath jari rehta hai, lekin jab baat ati hen, assets par trading ka, jiss se munafa kamana ho to uss sorat me bagher kisi khas techniques k trading ka amal karna bohut riski hai, q k iss amal k diwran hum virtual assets hi khareed rahe hote hen, actual item ya assets hone par agar prices ger bhi jayen to bhi assets hamare pass hone chaheye, lekin virtual me hargez aisa nahi hota hai, iss me sarmaye se mukamal hath dhoya ja sakta hai.
    Assets ki prediction aur mustaqil bhi uss ki qeematon me uthar ya charao k semat ko malom karnek leye analysis ki jati hai, ye analysis teen aqsaam par mushtamil hoti hai, jiss me aik fundamental analysis hai, jiss me economy me kami wa beshi se assets asar andaz hote hen, jab k dosre ko technical analysis kaha jata hai, jiss main asasajat ko technical base par historical data ki madad se study kia jata hai, jab k last par aik sentimental analysis ki jati hai, jo trader k mind set up k mutabiq hoti hai.
    Technical analysis sab se mushkil aur ziada knowledge par munhasir hoti hai, jiss me trader technical toolsbka istemal karte howe prices ki mustaqbil ki prediction karta hai. Technical Analysis main istemal hone wale tools me do aqsam ziada aham hen, jiss se ye analysis sar anjam de jati hai, aik hai technical indicators aur dosra hai, prices chart patterns ya candlestick patterns.

    Click image for larger version

Name:	images (349).jpeg
Views:	12
Size:	34.4 کلوبائٹ
ID:	12415884

    Technical Indicators

    Technical indicators trading k dowran traders ki prices ki historical data ki calculation ku madad se kulyaat ka istemal karte howe mukhtalif qisam k results muhaya karta hai, jiss se traders kisi currency jore ya assets ki agli mumkina harkat ka nateeja ahaz karta hai. Technical analysis short term ki trading hoti hai, jo k ziada se ziada aik week aur uss se kam waqat par muhasir hoti hai, ye indicators bhi mukhtalif timeframes ka istemal karte howe data ki analysis karke apne formulas k mutabiq results deta hai.

    Price Chart Pattern


    Technical analysis main price charts pattern ka istemal bhi bohut had tak kia jata hai, jiss main wo charts ziada successful rehte hen, jin ka timeframes ziada waqfay par muheet hota hai. Prices charts pattern ko do hiso, candlestick pattern aur charts pattern main taqseem kia gaya hai. Candlestick patterns aik ya aik se ziada candles par mushtamil hota hai, jiss main ziada se ziada candles ki tadad 10 tak ho sakti hai, jab k charts pattern main ye tadad bohut ziada hoti hai, jo k 10 se ziada aur 50 ya 100 tak bhi ho sakti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X