Important Trading Indicators in Meta Traders 4 :
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important Trading Indicators in Meta Traders 4 :
    Salam to all friends umeed krta hn k sab khairiyat sy hn gyein aur dil o Jan sy forex mein learning aur working kr rahy hn gyein. Friends
    Aaj ka Mera topic bht zayada informative Hai. Dosto aap sab Meta trading sy bah khoob he wakif hn gyein. Aaj me aap ko
    "Important Trading Indicators in Meta Traders 4" k bary me btau GA.
    Meta trader 4 mein kuch indicators as a basics indicator ka role Ada krty Hain. In indicators ko agr hum proper ways sy use karna seekh
    lein tw hamari learning mein acha profit mil skta Hai jis ke waja sy forex market mein bht he achy tareeky sy trading ke Jah skty Hai.Aur
    Yeh ik he surat mein mumkin Hai jab market ko technically smjha Jaye.
    There are three main indicators

    1 Bollinger bands Indicators:
    Bollinger Band Indicators mein three bands hoty hain. Aur is ka baho river ke surat mein lines nazar ati hain aur market isy follow krti
    Nazar ati hai. Kabhi tw center aur lower py ah jati Hai aur kabhi lower ko cross kr k candle in ho jati Hai. Is indicator mein humein
    Mahloom hona chaiye k jab bhee bullish candle upper band ko cross kr k baher close ho aur next candle beqrish bn Jaye tw market mein
    reverse trade ly Jah skty hai.

    2 Relative Strength Index Indicator RSI
    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	52
Size:	14.8 کلوبائٹ
ID:	12472276
    Relative Strength Index Indicator mein aap ko band nazar aate hain Jin ko aap monitor krty Hain, is mein ik ko upper band aur second
    Ko lower band kha jata Hai. Upper Band mein aap ko 70 average line nazar ati hain jis ko agr market cross kry tw over bought situation
    K naam sy Jana jata Hai. Asy he lower band jab 30 sy bhee low ho Jaye tw over sold market k naam sy Jana jata Hai aur wahan sy reverse
    Chance increase ho jata Hai aur easily buying opportunities avail ke Jah skty hain.

    3 Moving Average Indicators :

    Moving average indicator humein market mein specific period mein market ke movements k bary mein information dety hain.
    Moving average indicators mein aap periods ko apni marzi sy set kr lety hain aur in madad sy different pairs minor, major aur exotic pairs
    Ke movements ko monitor kr skty hain aur is k sth he market ke information bhee hasil kr skty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important Trading Indicators in Meta Traders 4 :

    Waalaikum salaam.

    Dear pakistan's forex forum member, mairay knowledge k mutabik metatrader aik ultimate trading plate fororm hai jisay global ki reputation hasil hai, yeh aik bahut he asaan plateform hai jis main traders apnay tools ka use kartay hwuay market k baray main analysis kartay hwuay trading kartay hain yeh aik free plateform hai is main kaam kartay hwuay hamain is baat ki kisi kisam ki koi guarantee nai hai k iska use kartay hwuay ham market say jaldi say sab kuch hasil karnay main kamyab ho saktay hain balk yeh aik plateform hai jis main ham market say sirf touch kartay hain loss aur faida ham apnay knowledge aur experience ka use kartay hwuay is say hasil kar skatay hain.

    Click image for larger version

Name:	metatrader2.png
Views:	1
Size:	192.4 کلوبائٹ
ID:	12343988

    What are the best MetaTrader indicators:

    Dear member, mairay knowledge k mutabik sab say pehlay hamain mettarder pay use honay walay technical indicators k baray main discus karni chaye, as a traders ham market main kaam kartay hwuay bahut saray tools ka use market ko analys karnay k liye kartay hain qk yeh market main price actions ko better karnay aur smajhnay k liye use hotay hain. Indicators ki help say he ham market k trend ko samjhtay hain in tools ko ham 4 main catagories main devide kar saktay hain jo k darj zail hain:
    1. Oscillators class.
    2. Trend Following category indicators.
    3. Support / Resistance indicators category.
    4. Volatility class.

    List of the best indicators for MetaTrader:

    Dear member, mairay knowledge k mutabik kuch aisay indicators hain jo k ziada famous bhi hai aur traders unka use bhi ziada tar kartay hain, best metatraders indicators market main na sirf traders ko acha profit dilatay hain balk agar traders unka use achay tareekay say kartay hain to unko aur bhi ziada acha experience milta jata hai jis say unk liye charts ko samjhna asaan ho jata hai.
    MACD, RSI, Bollinger band, Moving average, stochastic, MFI, Volume, Accumulation/Distribution.

    اب آن لائن

    Working...
    X