Risky management aur is ke rules kya hain.?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Risky management aur is ke rules kya hain.?
    What is risk management?

    Forex risk management aik set of rules hai jo aapko ksi bhe trade kay negative impact sy bachata hai. Maslan agar aapko trade main loss hony lag gya to usko kesy manage kesy karna hai, us loss ko bara loss sy bachana kesy hai aur usy recover kesy karna ha. Forex trading better planning sy hoti hai aur aapky liey ye acha hoga kay aap kay pass trading start karny sy pehly aik acha plan mojood ho.

    How to manage risk?

    (1). Pehla rule ye hai kay aapko forex market kay baary main malumaat honi chahey. Forex market poori duniya ke currencies sy bani hai jesa kay USD, JPY, GBP, EUR, AND CHF. Ye saary currencies supply aur demand sy move karti hain.
    FX (foreign exchange) or forex currencies pair main trade ke jaati hain. Currency pair ke pehli currency base currency aur dosri quote currency khelati hai, maslan EURUSD aik pair hai aur es main Eur base aur Usd quote currency kehlati hai. Ye basic knowledge aapky pas hona zaroori hai.

    (2). Jab aap fx ma trade karty hain to aapko leverage ka sahi istemaal aana chahey. Agar aap leverage ka sahi istemaal nahi kar sakty yo account hamesha risk pe hota hai. Apny account kay capital kay hisab sy trading plan bana kar leverage ka sahi use karna intehaai zaroori hota hai.

    (3). Aik acha trading plan aapky account ko save rakh sakta hai. Agar aik acha trading plan aapky pass mojood hai to aap market main zaida volatility kay time bhe achy decisions lay sakty hain. Ye bahut zaroori hai kay ap apna plan khud banain aur test kar kay implement karin. Kisi aur ka plan istemaal karny ke soorat main aapko nuqsan ho sakta hai.

    (4). Risk reward ratio ko set karny say ap apny account ko achi tarha sy manage kar sakty hain. Risk reward ratio es tarha honi chahy kay agar aapki trades fifty percent loss main close hon aur fifty percent profit main to apko overall profit hona cahey. Maslan agar 10 main sy 5 trades main profit ho aur 5 main loss to risk reward ratio esy honi chahey kay aapko overall profit ho raha ho.

    (5). Stops aur limits ko use kar kay aap apny account ko sahi manage kar sakty hain.

    (6). Jazbaat forex market main aik aisa factor hai kay aapko ghalat faisla leny par majboor kar deta hai. Agar aapka apny jazbaat kay oper kabu nahi hai to ye aapko loss ke taraf dhakailta hai. Risk ko manage karny kay liey trading plan pe amal daramad karna chahey aur jazbaat ko haavi na hony diya jaay.
    Ye saary points agar aap mind main rakh kar apny plan kay mutabik chalty hain to aap kafi had tak apny risk ko manage kar sakty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Risky management aur is ke rules kya hain.?

    Asslam o alikum piyare bhaio ji han bilkul agar ap forex main trading karte hain to ap ko apne skills aur experience ko ap ko apne skills aur experience ko ap apne mind ka istamal kar sakte hain ap ko apne trading main ap ko lazmi ap ko risk laina chahie hai ap is tarha se ap acha profite kama sakte hain ap ko apne skills aur experience ko ap apne mind ka istamal kar sakte hain ap ko apne skills ka istamal kar sakte hain
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Risky management aur is ke rules kya hain.?

      Risk management aik important tool hai jis ki waja sa aap apny account ki safety level ko asani sa maintain kar sakhty hain. Risk management main stop loss ki study ko tafseel sa istemall kia jata hai. Stop-loss aik eisa important factor hota hai, Jo app Kay account ki safety ko maintain krny main bahut important role play kar sakhta hai. Stop-loss sa related kuch important information apni sa share krna chahoun ga.

      Stop-loss Kia hai ?

      Dear member agar aap trade open krty waqt aik eisi limit select krty Hain, jismain aik specified loss hony per apni trade automatically close ho jaye, es limit ko stop-loss kaha jata hai. Stop-loss ki selection karte proper method hota hai, isko AP different timings main change bhi kr sakhty Hain. stop-loss ko different factors affect kar rhy hoty Hain, Jin ki briefly explaination apni post main include krny ja rha Hun.

      Click image for larger version

Name:	what-is-stop-loss.png
Views:	1
Size:	83.3 کلوبائٹ
ID:	12343640

      Market Momemtum / Volatility

      Dear members stop-loss ko set krny Kay liye apko hamesha market volatility ko zaroor focus karna hota hai, no doubt market volatility isko bahut zyda effective kr rhi hoti hai. Agar market volatility bahut jyada ho tu apko stop-loss ki limit zyda set krny cheye, kunk market volatile hony ki waja sa stop-loss jaldi hit ho sakhta hai, or usk be markit apki favoure main ah sakhti hai.

      Equity / Balance

      Forex trading mein apka account balance bhi stop-loss ki limit ko set krny main important role play kar sakta hai, agar apka account balance zyda hota hai, tu definitely ap is margin ko increase kar sakhty Hain, or minimum amount hony per stop-loss ki limit ko minimize krna important hota hai.

      Transfer of Stop-loss

      Sometime jab ap market main entrance laty Hain, or markit apki favoure main ah jati hai, eisi situation main apk pas ya option available hoti hai, Kay ap apny entry point per stop-loss shift kr sakhty Hain. Ya bahut hi best technique hoti hai, Jo apko hundred percent save or deti hai.

      Voliume and stop-loss

      Dear Forex members stop-loss ko select karte huye lot size ko bhi zaroor mind main rakhkar deceision making krni cheye, agar lot size ki selection zyda hai tu eisi situation main stop-loss ki limit increase honi cheye.

      Significant of Stop-loss

      No doubt Forex trading mein agar aap professionally joining krty Hain, tu apk liye bahut zyda advantages hasil karna aasan ho sakhta hai. Professional trader hamesha acha profit hasil karny Kay sath sath apny account ki safety ko maintain krta hai. Isliye aapko hamesha apny trading mein stop-loss or money management ko zaroor include karna chahiye.

      Click image for larger version

Name:	stop-loss-header-nov17-400x400.jpg
Views:	2
Size:	76.1 کلوبائٹ
ID:	12343639

      اب آن لائن

      Working...
      X