Trade mein news ko importance den.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trade mein news ko importance den.
    ASSALAM-0-ALAIKUM. Dear forex members umeed hai ap sab kheryat se hun gy aur apna kam ache treke se kr rhen hun gy. Jase ke ap sab ko pata hai ke trade mein news ko bohat bara role hai. news sune bgyer hum trade nahi laga skte hain. Trading se phle hmen zror news suni chahye us mein market ke hwale se information Di jati hai ke kon c currency ajj up jae aur kon c currency ajj down jae gi us mein yeh sab information Di jati hai to news ko dekhte hue hi trade lgatre hain. Is lye news suna kren.
    Aik Dosre ko support kren. Apka aik thanks bahat zrori hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trade mein news ko importance den.

    trading main news ki bohut ziada importance hai ager dekha jaye tu market main jab bhi achi aur fast movement hoti hai wo news ki waja say hi hoti hai is lie hamen news ky bary main bhi knowledge hona bohut hi zorri hai phir hi hamri trading achi ho sakti hai aur hamen acha profit mil sakta ha ager ap sirf technical par hi kam karen gay tu ap ko ye bhi pata hona chahye ky ky jab bhi news ati hai wo technical ko fail kar sakti hai ager ap news ko samjhty hon gay tab ap ko yeh preshani nahi hogi ky news negitive ani ya positive phir ap apne experience ky mutabik usko mangement kar lain gay jiss say ap ko loss hone say bach sakty hain is lie forex market main ap ky pas har qism ka knowledge hona chahie phir hi ap market ko har condition main trade kar ky profit earn kar sakty hain aur loss sy bach sakty hain market main 2 tarah ki news hoti hai aik news wo hoti hai ju achanak aati hai aur aur dosri news wo hoti hai ju bohut sari websites pay ati hai un ki timing ka ap ko pehle say pata chal jata ha aj ham un ky bary main tafseel ky sath bat karen gay.

    Teh shuda news

    yeh asi news hoti hai jiss ka time pehle sy hi mention hota hai ky is time yeh news ani wali hai iss news say ham achi earning kar skaty hain ager ap ky pas data read karny ka knowledge hota hai ager ap chaty hain ky ap ko data read karna ayy tu ap ko banks ky bary main pata hona chahye ky inflation report kasy bnti hai aur FOMC statement kia hoti hai aur un employment claims kyon aty hain aur inka kia market main asar hota hai yeh asi news hain ju market main kafi ziada impact dalti hai aur ap ager 3 sy 4 major news par focus kar ky kam karen gay tu ap in par hi achi earning kar sakty hain news main kam karny ky lie ap ky pas knowldge hona bohut hi zrori hota hai bgair experience ky ap news main loss hi kar sakty hain is lie news par ager ap nay trade karni ha tu ap ki kam say kam 6 month ki demo account main practice honi chahye phir hi ap is main success hasil kar sakty hain news ky bary main ager ap knowldge laina chaty hain tu kisi achy banker say ya kisi achy professional trader say forex ki news ko learn karen kyon ky aik acha experienced trader ju ap ko knowldge day sakta ha wo koi or nahi day sakta ha.

    achanak ane wali news

    yeh aik asi news hoti hai jis ka time nahi hota hai farz karen kisi bhi foreign country main achanak koi hamla ho jata ha jiss say uss country ki economy ko nuksan hota hai tu uss say us country ki currency foran weak ho jaygee jiss ki waja say market main foran impact pary asi news ka pata nahi hota yeh achanak hadsati toar par hoti hai is lie asi market main jab bhi kam karen tu proper money mangement ky sath aur proper stop loss ky sath kam karen tab hi ap save reh sakty hain aur simple si bat yeh hai ky ager ap forex main har rules ko apply kar ky kkam karty hain tu ap bilkul risk say out ho jaty hain is lie expert trader bhi yehi kehty hain ky forex main success hone ky lie ap ko proper plan ky sath kam karna chahye.

    Click image for larger version

Name:	newsss.png
Views:	1
Size:	509.9 کلوبائٹ
ID:	12343233
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Trade mein news ko importance den.

      Ji haan bilkul theek baat hai, Forex Trading main News ko Bohat Zayada importance haasil hai, kyn k jab b kisi currency ki news ati hai to humen bohat Mukhtaat ho kar trading karna parti hai, kyn k news ki waja se market main bohat zayada teezi a jati hai, is lye ya to apko bara profit ho sakta hai ya bara loss ho sakta hai, behter yahi hota hai k news k time trade na karen.

      اب آن لائن

      Working...
      X