Supply And Demand Zones In Forex Trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Supply And Demand Zones In Forex Trading
    Supply And Demand Trading
    Forex trading main jab koi currency pair resistance zone par pohnchta hai to usy selling zone kehty hain kun kay wahan say market overbought conditions say reversal ke jaanib aati hai. Aur sellers selling options ko consider karte hain ya apni long positions ko close karte hain. Essi tarha jab market down aati hai to strong support par market main buyers entry lety hain. Oversold conditions main buy ke entry zaida moasar saabit hoti hai. Ye dono cheezin jab market main hoti hain to selling zone ko supply zone aur buying zone ko demand zone bhe kaha jaata hai.

    Supply And Demand Zone Explanation
    Supply and demand zones forex market main generally traders ko perception hasil karny main sood mand saabitt hoty hain. Supply and demand zones support aur resistance kay barakas aik larger area cover karte hain. Jiss say aapko bhetar andaza ho sakta hain. Jab kay support aur resistance zones ko lines ke soorat main lagaya ya mark kiya jaata hai jab kay demand and supply ko aik bary area main mark kiya jaata hai. Jesa kay aap neechy de huii tasveer main dekh sakty hain kay market main supply and demand zones kahan hain. Aur market waahan sy kesy reversal bana rahe hai. Jesy he market demand zone main jaati hai to market main buyers ke sharp movement dekhny ko milte hai aur esi tarha jab supply zone main jaatee hai to sellers in control nazar aaty hain.
    Click image for larger version

Name:	forces-of-supply-and-demand_body_5.png
Views:	6
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12472031
    Click image for larger version

Name:	forces-of-supply-and-demand_body_6.png
Views:	4
Size:	8.7 کلوبائٹ
ID:	12472032

    How To Use Supply And Demand Zones For Trading
    Supply aur demand zones main trading karne kay liey 3 cheezon ko lazmin zehan-nasheen karnaa chaheyy.

    1). Supply aur demand zone ke shanakht kay liey bary time frame ko istemaal karin Bary time frame main traders ko bhetar pata chal sakta hai kay kahan sy market sharply bounce kar rahi hai aur kahan sy supply aur demand levels create ho rahy hain.

    2). Jab aap supply aur demand kay levels ko identify kar lain to us kay baad ye observe karin kay market kinn kinn areas say bounce back kar rahi hai jesa kay aap neechy dee hui picture main bhe dekh sakte hain.
    Click image for larger version

Name:	supply-and-demand-trading_body_GBPUSDsharpmovesoffsupplydemandzones.png
Views:	3
Size:	52.9 کلوبائٹ
ID:	12472034

    3). Support aur resistance levels ko dekhny kay liey jin indicators ka aap istemaal karte hain unn say bhe aap supply aur demand levels ko dekh sakty hain ya phir aap fibonacci levels kay iste say bhe supply aur demand zone ke nishaan dehi kar saktey hainn.
    Click image for larger version

Name:	supply-and-demand-trading_body_USDJPYtradingsupplyanddemandusingfibonacciretracements.png
Views:	7
Size:	65.9 کلوبائٹ
ID:	12472035
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

    Forex market ma kam krty hoay hmain kuch parametres la khayal rkhna hota ha market ki movement ko smjhty hoay kam krna hota ha. Ap sb ko pta hona chaheay k market mein trends hmesha market ko movement or supply and demand py depend krty hain q k agr market ma supply stable value py ha tw market ki movement the stable yani sideways trends bnta ha or agr market mein supply aur demand imbalance hain tw market bullish ya bearish trend follow krti hai.

    Dear ab ye supply or demand kia cheez hain in ko smjh lety hain ager hum in ko smjh lety hain tw hmain pta hona chaheay k supply or demand trading ma kia cheez hain or q use both hain.

    Understanding:

    Supply aik lafzi Matlab sy he pta chlta ha k supply ka mtlb kisi cheez ko provide krna hota ha or demand kia Matlab hota ha k kisi bhe cheez ki demand kia hoti ha mtlb us cheez ki market ma maang kitni ziada hai.

    Dear ab hum trading ma supply or demand ko justify krty hain k age market ma kisi bhe mantel ki ya phr currency ki supply ziada ho tw market ma us ki demand bhe kum ho tw us currency ki value kum ho Katie ha or us currency ya matel ko lent waly log kum ho jaty hain.agr market ma kisi cheez ki demand bhe ziada ho or us ki supply bhe limited ho tw market ma us currency ya matel ki value ziada hoti ha or us k buyers bhe ziada gotta hain q k us ki demand ziada ho jati ha tw us k invested bhe ziada gotta hain or us k value bhe ziada hoti hai.

    Dear ab hum market ma demand or supply ko smjhty k least aleda aleda discuss krty hain jis sy hmain asaani sy smjh a jay get.

    Demand:

    Forex trading ma demand kia mtlb hota ha k market ma kisi currency ya matel ki kitni ziada maang ha or is sy market ma us currency ki value bhe kum ya ziada hoti ha q k age market ma koi cheez limited mojood ha tw us ki demand bhe ziada hoti ha tw us ki value ma bhe izafa hota ha for example GOLD ko he ly lety hain gold market ma limited hota ha is ki demand bhe ziada hoti ha or market ma isi wja sy is ki value bhe ziada ha or GOLD manga bhe ziada ha or is ma investees bhe bhot ziada hain.

    Supply:

    Market mein supply mein mtlb hota ha kisi cheez ya currency ki ho miqdaar market ma mojood hoti ha is supply sy bhe market ma kisi currency ya matel ki supply kum ho get tw us cheez ki value bhe ziada ho get or log us k investor bhe ziada hon q k us cheez ki value or price ma izafa hota jy ga isi least log us ma ziada sy ziada invest krain gy ta k u hain faida hasil ho.

    Role:
    Forex market ma supply or demand ki importance ko smjhty k leay hmain is ki 3 important states ko smjhna bhot zrori hota hai.

    Explanation:
    1: Dear market ma jb bhe kisi currency ki ya metal ki supply ziada ho jati ha tw is ki value kum ho jati ha or us ki value ki sath sath demand bhe kum ho jati ha is sy market ma us ki price down hona shroud ho jati hai.

    2: dear age market ma kisi currency ki supply kum hoti ha tw market ma us ki value ziada hoti ha or us ki demand bhe brh jati ha just sy us currency ki price market ma up jati hai.

    3: dear age kisi bhe currency ya matel ki market ma utni he supply hoti ha kitni k demand hoti ha tw market ma us ki value stable rahti hai.

    Agr hum in states ko smjh lety hain tw hmain supply or demand ki market ma trading importance ma pta chl Jaya ha.
    • #3 Collapse

      Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

      Yes dear Forex market mai kaam karny k liay humy experience ki zarort hoti hai jab aap kisi bhi business mein apna kaam start karte hain to use business ke rules ko samajhna aur us business ka acha knowledge hasil karna all members ke liye bahut zyada zaruri hota hai kyunki iske baghair to koi bhi member use business account samajh nahin pata aur na hi usmein kabhi bhi apna Kaam shuru kar pata hai kisi bhi business mein kaam karna hai to uske liye uska concept hasil karna zaruri hota hai isi tarah se aaj ham forex ke platform main kaam karne ke liye iska concept hasil karna chahte hain to uske liye humne market mein maujud support and resistance level to details ka is hota hai understand karna hoga. Market mai ap ko Resistance aor support ka pata ho ga to ap ais market mai acha kaam kar sakty hain.

      Resistance & Supports Level:
      Dear jab hum ais market mai kaam karty hai to Resistance aor support level ko hum technical analysis k liay use kar ke market mein traders open krty hain aur iske liye unhen technical indicators ka use karna chahyie technical analysis ka use karke support or resistance levels ko ideatfy karne mein bahut zyada help milti hai iske alava iski vajah se market ke price point ko confirm kiya ja sakta hai, Market mai koi bhi resistance level jab break ho jata hai to wo support mai convert ho jata hai aisy hi koi bhi support level break ho to wo resistance mai convert ho jata hai.

      Pattern On Levels:
      Dear hum ais market mai kisi bhi resistance ya suport level par trade lagana chaty hai to humy ais market mai Pattern mo dekhna chaye, yah ek reversal prevailing trend hota hai market mein support level ka use karke market ke downtrend ki price movement ko ache tarike se understand kiya ja sakta hai jab ke resistance level ke zariya se market ke uptrand ki price movement ko samajhne mein help milti hai in ko identify karne ke liye support aur resistance level ka use kiya ja sakta hai. Market jab bhi kisi resistance ya support level par jati hai to waha par Reversal pattern banati hai jis se humy confirmation mil jati hai.

      Take Profit & Stop Loss:
      Dear jab hum Resistance aor support ko dekh k ais market mai trade lagaty hai to humy ais market mai apni trade ka take profit aor stop loss set krna hota hai, market me trade ko open karte hue support or resistance level ki bais per market ki price movement ko understand karna chahiye market ke rules ke hisab se jo members apna kaam karte hain stop loss aur take profit ko sahi tarike se set karte hain to unka account kabhi bhi wash nahin hota bal Ke hamesha acha profit hasil kar lete hain. Jab achy level se humri entry lagti hai to hum ais market mai target kafi zayda le sakty hai aor humri trade ka stop loss kafi zayda nazdeek hota hai.
      • #4 Collapse

        Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

        Asslam o Alaikom dear Forex dosto hum supply aur demand py aj information shere karengy...

        1) SUPPLY :-

        Dear forex member Supply wo miqdaar ya tadaad hai jo market main kisi currency ya commodity's ke jo market main mojood hoti hai, Agar kise currency ke supply market main zaida hoti hai to us currency ke value main kami waqia hoti hai. Aur esi kay agar kise currency ke supply main kami aay to us ke value main izzaffa hota hai. Log zaida tar wo cheezay khareedty hain ya un cheezon main invest karty hain jinke supply km hoti hai kun kay un ke value main musalsal izafa dekhny ko milta hai, Jesa kay aap Gold aur normal pathar ka andaza laga lain. Gold ke supply km hai to aapko bahut mehnga milta hain lekin normal pathar aapko har jagha sy milty hain to wo free hain ya bahut sasty hain. Aisy hi forex market mai jis currency ki demand zayda hoti hai wo high rate par milti hai jis ki supply ziada hota hai wo kam rate par milti hain...

        2) DEMAND :-

        forex trading market mai demand jis ka matlab hay kay market main kise bhe assets ke kitne requirement hoti hain, Jab market main kisi currency ka demand main izafaa hota hai to es key value bhe zaida ho jaaty hai aur esi tarha jab kisi currency ky demand main kami aati hay, to ess ke value main bhi kami ho jaati hai, hum aisy market mai jab ye dekhtai hai k market mai es chez ki demand ziada honay wali hai wo chez hum le lety hain ta k us ki value ziada ho to humy profit ho jata hain ....

        3) DIFFERENCE BETWEEN SUPPLY AND DEMAND :-

        Forex trading market mai work karty hoye humain Demand aur supply ka pata hona chahye. Jab market main demand zaida aur supply km hoti hai to demand supply competition ke wajha sy price main izafa hota hai. Jab market main supply zaida aur demand km hoti jaye to es soorat main market ki value main kami ajati hain...

        4) EQUILIBRIUM :-

        Forex trading market main demand aur supply dono Same hon, yani kay demand jitny ho utny he supply ho, to market ki value na to km hoti hai ,naa zaida hoti hai. jo log market mai supply zone par Sell ki trade lagaty hai ya Demand zone par Buy ki trade lagaty hai wo Maximum profit hasil karty hain...


        Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	3
Size:	13.2 کلوبائٹ
ID:	12343095
        منسلک شدہ فائلیں
        • #5 Collapse

          Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

          Dear member, jab ham forex market main bigenner levels k tour pay entr hotay hain to ham kuch rules ko learn karna hota hai jinko follow kartay huway he ham market main acha result hasil karnay k kabil bantay hain, forex market ki traing say faida hasil karnay k liye jo sab say ziada important hota hai wo supply aur demand k levels ko learn karna hota hai us main khawah chart pay trend up ho ya down ho. Supply aur demand k levels ko fined karnay k liye trader k liye yeh zaruri hota hai k wo chart pay trend k previous levels ko fined karain, ya uska alternative yeh hai k market main price ka high area different nai hona chaye agar ham in rules ko strictly use aur follow kartay hain to hamaray liye market main supply aur demand pay trading karna koi bhi mushkil kaam nai ho skata hai.


          Click image for larger version

Name:	supply2.png
Views:	1
Size:	443.2 کلوبائٹ
ID:	12343109

          Definition of Supply and Demand:


          Dear member, mairay knowledge k mutabik forex market k chart pay supply aur demand areas observable hotay hain jahan pay prices past main kaafi time approach kar chuki hoty hain.
          Neechay maine aik screenshot ko past kia hai jis main aap sab members supply aur demand k zone ko identify kar saktay hain aur sath sath is ka andaza bhi laga saktay hain k hamain kaisay isay search karna hai aur kaisay in levels pay kaam karna hai.

          Click image for larger version

Name:	supply1.png
Views:	1
Size:	101.8 کلوبائٹ
ID:	12343110


          Use indicators to confirm supply and demand zones:

          Dear, mairay experience k mutabik traders forex market main supply aur demand zones ko search karnay k liye daily weekly pivot points ka use kartay hwuay bhi in areas ko select kar saktay hain. Ziada high trades k liye aap sab ko chaye k aap market k chart pay support aur resistance levels ko fined kartay hwuay agar supply aur demand areas pay kaam kartay hain to yeh aur bhi ziada perfect ho skata hai aur aisa karnay say traders ko aur bhi ziada strong tareekay say market main benefit mil saktay hain.

          Click image for larger version

Name:	support1.png
Views:	1
Size:	75.0 کلوبائٹ
ID:	12343111
          • #6 Collapse

            Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

            ASSALAM O ALAIKUM DEAR DOSTO
            ap forex me business krny k liye investment bhi kar sakty hyn forex ak online business hy agar ap forex me kaam krna chahty hyn tou us me successfull hony k liye apko kaafi saari mehnat ki zroorat hy agar ap k pas experience nahi hy tou ap is me successful nahi ho sakty dosto duniya me supply or demand ak aesi chez hy jis ka kisi bhi business per bohat ziada asar andaaz hota hy is ki value differ krti rehti hy aj ham supply or demand per guftgu karty hyn q k ye ak bohat hi ehm topic hy
            SUPPLY AND DEMAND INTRODUCTION
            dosto supply or demand forex me do aesi chezen hyn jin ka market pe bohat asar hota hy in se hi product ki price ka pata chalta hy k kis chez ki value barrh rhi hy or kis waja se barrh rhi hy or kis chez ki value kam ho rhi hy or kis waja se ho rhi hy ye sara price ki up down ka nateeja isi supply or demand pe depend kr rha hota hy aj ham in k is topic pe baat shuru krty hyn

            DIFFERENCE BETWEEN SUPPLY AND DEMAND
            dear friends is baat ka khaas khayal rakhen k jab bhi kisi market me kisi bhi currency pair ki supply excessive ho jaey or us ki demand kam ho ya na hony k barabar ho tou us currency pair ki price low ho jaey ki yeni bohat kam price me fall kr jaey gi ye hamari normal routine me b isi tarah hota hy k ap market me dekh rhy hoty hyn k ap ko agar kisi cheez ki zroorat na ho or us ki supply bohat ziada market me available ho tou us chez ki koi value nahi rehti or us chezz ko koi khreedta bhi nahi hy jis ki waja se uski value mazeed down ho jaati hy
            dear jab kisi currency pair ki supply kam ho ya na hony k barabar ho or us ki demand log bohat ziada kr rhy hon tou us chez ki value barrh jaati hy or automatically us ki prive bhi barrh jaati hy for example; jis tarah hamari normal zindagi me agar hamen kisi chezz ki bohat ziada demand ho or hamen wo vhez na mill rahi ho ya us ki supply bohat kam ho rhi ho tou hamary haan uski value bohat barrh jaati hy or value barrhny se uski price bhi barrh jati hy or q k logon ko us chez ki demand hoti hy tou wo mehngy daam bhi aesi chezon ko khareed lete hyn yehi difference hota hy SUPPLY OR DEMAND ka kisi bhi market me bohat ziada asar andaaz hota hy
            Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	15
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12343138
            SUPPLY ZONE IN FOREX
            dosto forex me supply zone wo area hota hy k jahan market ki price chal rahi hoti hy us se oper wala area supply zone kehlaata hy yahan per sellers ka pressure bohat ziada hota hy jab k buyers ka pressure kam hota hy jiski waja se price downward move krna start kr deti hy iski picture bhi ma ap se share krta hun taa k ap mazeed samajh aajaey
            Click image for larger version

Name:	download (2).png
Views:	20
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12343140

            DEMAND ZONE IN FOREX
            dear friends forex me demand zone wo hota hy k jahan price value chal rhi hoti hy wahan se neechy wala area demand zone kehlaata hy yaha demand zone me buyers ka pressure bohat ziada hota hy or sellers ka pressure kam hota hy jis ki waja se market ki value upward jana shuru kr deti hy iski picture bhi ma apko dikhata hn zara ghour se dekhen
            Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	4
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12343139
            • #7 Collapse

              Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

              JI Haan Forex Trading main Demand aur Supply ki Bohat zayada importance hai, Professional Traders jab b Market main Trade kartay hain to ya to Demand Zone se Entry lete hain ya Supply Zone se Entry lete hain, jab b Market Demand Zone main ati hai to Market Buy Trend main chali jati hai aur jab b market Supply Zone main ati hai to market sill trend main chali jati hai, is lye ek achi aur profitable trading kar nay k lye zaroori hai demand aur supply ko achay se seekh kar hi trade ki jaye.
              • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
              • #8 Collapse

                Re: Supply And Demand Zones In Forex Trading

                Supply and Demand zone in forex trading

                Assalam-o-alakum dear forex members supply and demand zone in forex trading mai actually ak boht important point hai. Forex mai kam krty huwy hamen market ki movement ka boht khayal rakhna chaheye. Duniya k boht sary traders is ko zehn mai rakh kr trading krty hen. Or ye forex trading ak boht powerful concept hai. Trading ka koi bi business supply or demand pr he inhesar krta hai.


                Supply zone:

                Agr market zyada tezi sy nechy ki taraf mtlb sell ki taraf ja rahe ho isy supply zone kehty hen. Jb market mai kisi chez ki maang ho or ap osy market mai provide kren to ye supply kehlata hai. Jb kisi bi market mai kisi metal ya currency ki supply zyada ho jye to market mai is ki value km ho jate hai. Jesa k steel bi ak matel hai or gold bi. Lakin gold steel k mukably mai boht zyada mehnga hai. Kun market mai is ki supply boht km hai. Jb k market mai steel ki supply boht zyada hai. To is ki value gold k mukably mai boht zyada km hai.



                Demand zone:

                Dear members agr market zyada tezi sy oper ki taraf M tlb buy ki taraf ja rahe ho isy demand zone kehty hen. Mtlb currency ya metal ki market mai maang boht zyada ho or ye asani sy available bi ho to isy is ki demand Kaha jata hai. Jb Kisi bi currency ya metal ki demand boht zyada ho or ye market mai asani sy available na ho to is ki value barh jati hai. Or demand bi. Gold steel k mukably mai boht km available hai isi leye is ki supply boht km or demand boht zyada hai. Jis ki waja sy is ki value steel k mukably mai boht zyada hoti hai. Market mai kisi bi currency ya metal ki maang jitni km ho is ki value otni he zyada ho ge. Or isy he chart mai is currency ya metal ka demand zone kehty hen.



                Supply or demand k important rules:

                1). Supply

                Dear members jb market mai kisi bi metal ya currency ki supply zyada ho jye to is ki value km ho jati hai. Or is ki demand km ho jati hai.

                2). Demand

                Dear members jb market mai kisi bi metal ya currency ki supply km ho jye to is ki value barh jati hai. To is ki supply km or demand barh jati hai.

                3). Equilibrium

                Dear members jb forex market mai kisi bi metal ya currency ki supply or demand dono ak jesi ho jye to isy equilibrium zone kehty hen.

                Click image for larger version

Name:	407202.jpg
Views:	1
Size:	35.2 کلوبائٹ
ID:	12343705

                اب آن لائن

                Working...
                X