Determining trend and using trendlines

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Determining trend and using trendlines
    Importance Of Trend In Forex
    Har trader ye tasleem karta hai kay koi bhe aik aise strategy nahi hai jo hundred percent kamyaab ho. Yeh aik obvious baat hai aur yehi wajha hai kay traders ko har time aise cheezin dekhni chahey jin sy wo zaida trades main kamyaab ho. Aur enn cheezoon main sy aik cheez trend hai. Trend kay sath trade kesy karna hai ye seekhna intehaai zaroori hai. Agar aapne koi strategy bnaai hai aur us strategy main koi imperfections hain to trend us ko cover kar sakta hai. For example market downtrend main aur aap nay trend identify karney kay baad agar trade trend main laga de aur market aap kay against chali jaati hai. Lekin wo trade aap kay liey khtry ka baais ess liey nahi hai kun kay eventually market trend ke simt main aay ge aur aap trade sy ba-asaani nikal sakte hain.

    How To Determine a Trend
    Agar aapne trend ko determine karna hai pehly apne jis currency pair ka trend find karna hai uss ka chart jo kam az kam 100 sy 200 candles par mushtamil ho, nikaalin aur uss sy price ke simt ka taaiyun karin. Aur aap dekhin gy kay market up trend main hai ya downtrend main.

    Agar trend up hai to wo ess cheez ko dekh kay confirm kiya jaa sakta hai kay aapko chart pe higher highs aur higher lows dekhny ko miltey hain. Jesa kay neechy dee gai tasveer main aap valid up trend dekh sakty hain. Jis main agla high pichly high sy higher hai aur agla low pichly low sy higer hai.

    Click image for larger version

Name:	the-trend-is-your-friend_body_Highandlowupwardtrend-test.png
Views:	12
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12471963

    Jesa kay aapko bhe maloom hai kay har trend ka end lazmi jota hai aur trend tabdeel hota hai. Jab uptrend downtrend main tabdeel hota hai to chart par aapko lower highs aur lower lows dekhny ko milty hain. Neechy diey gay chart main aap dekh sakte hain kay lower highs aur lower lows clearly downtrend ke nishaan dehi kar rahy hain.

    Click image for larger version

Name:	the-trend-is-your-friend_body_Downtrendconfirmation-test.png
Views:	3
Size:	15.4 کلوبائٹ
ID:	12471964

    Using Forex Trendlines
    Trend ko identify katna aur bhe easy ho jaata hai agar hum trendlines ka istemaal karte hain. Trendlines sy ye asaani sy pata chal jaata hai kay market kahan sy bounce kary ge ya support aur resistance ko torr kar market ke direction ko change kare ge. Agar trend upward chal raha hai yo aap Multiple lows ko connect kar kay trend line khench sakty hain downtrend market main aap multiple highs ko connect kar kay trendline laga sakty hain.

    Neechy diey huy chart main clear uptrend dekh sakty hain aur aur higer lows ko connect kar ka trend line lagai gai hai.
    Click image for larger version

Name:	the-trend-is-your-friend_body_USdollarupwardtrendlineexample.png
Views:	12
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12471966
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Determining trend and using trendlines

    Dear brothers, forex market main trend hamain is baat ka knowledge provide karta hai k market k chart main price kis hisab say movement kar rahi hai, jabk trendline say hamain is baat ka sahi andaza milta hai k market k chart main price kis trend main run kar rahi hai. Trend aur trend lines ka apas main bahut ziada relations hota hai is liye ham in dono ko he market main trading k douraan important ka name daitay huway in say faida hasil kar saktay hain.
    Kuch mazeed discuss ham kuch highlight say kartay hain k hamain inka use kaisay karna chaye aur in say hamain market k chart main faida kaisay mil sakta hai.

    Explain of Trend:

    Dear brothers, forex market main trend 2 kisam ka hota hai up trend aur down trend, market k chart main jab price ziada say ziada up ko run karty hai to tab ham yeh samjhtay hain k chart main price up honay ki wajha say iska trend up hai, aur jab market ziada tar down main run karty hai to tab ham yeh samjhtay hain k market main trend down hai.
    Forex market main jab movements stop ho jaty hain to tab hamain is baat ka andaza milta hai k ab market sideways main hai tab koi bhi mprofessioanl traders market main entr nai hota hai wo is liye k koi pata nai hota hai market apna trend kis side ko start karege.

    Explain of Trendlines:

    Dear brothers, forex market kchart ko samjhnay k liye jis tarha say yeh lazmi hota hai k ham usk trend ko samjh kar kaam karain same he yeh bhi sath lazmi hota hai k ham market k trend ko samjhnay k liye us main trend line laga kar is ko clear karain k trend down hai ya up hai.
    Trend lines ko ham har aik time frame main laga kar market k chart k trend ko samjh saktay hain,agar ham market main long term traders hain to ham isk chart ko d1 pay select kartay huway trend line laga kar markt k trend ka andaza laga saktay hain aur agar ham aik scalpers hain to tab ham market main h1 ya is say kam timeframe k sath kaam kartay huway trend line ka use karaingay.

    اب آن لائن

    Working...
    X