What is currency correlation?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is currency correlation?
    Productive ya successful trader banny kay liey yeh bahut important hai kay aap poory portfolio ko samjhin jo market ke volatility ko affect karta hai. Aur ye cheez jab forex trading kar rahy hon to zaida important hoti hai. Kun kay currencies ke price pairs main hoti hai to koi bhe pair kise dosry pairs say completely independent nahi hai. Jab aap ess correlation say wakif ho jaaty hain tab aap apni overall trading ko control kar sakte hain.

    What is correlation?
    Financial world main correlation 2 currencies kay darmiyaan statistical measure ko kehty hain. Sada alfaaz main es ka maylab ye hai kay jab aik currency pair move karta hai to uska kitna affect kise dosry pair pe parta hai jo uss currency pair sy related hai. Ab jab aapko correlation ke samjh aa jaati hai aur pairs ka apas main correlation ka andaza ho jaata hai to uss correlation ke miqdaar ya kitna zaida apas main taluq hai es baat ka pata hona chahey. Yani kay agar GBPUSD aur EURUSD ka apas main correlation hai to ye cheez dekhine hai kay jab GBPUSD up move karta hai to EURUSD kis direction main move karta hai aur agar GBPUSD 10 percent up move karta hai to EURUSD same direction ya opposite direction main kitne percent move karta hai. Ye cheez ko dekhny kay liey correlation coefficient ko use kiya jaata hai.

    Correlation Coefficient
    Correlation ko compute karny k liey correlation coefficient ka istemaal kiya jaata hai. Correlation ke range -1 sy +1 kay darmiyaan hoti hai. Aik perfect positive correlation ka matlab hai kay currencies kay 2 pairs 100% aik direction main move karte hain. Aik perfect negative correlation ka matlab hai kay 2 currency pairs 100% mukhalif simt main move karin gy. Agar 2 currency pairs ka correlation zero hai to to eska matlab hai wo apas main independent hain aur aik pair ke movement sy dosry pair ke movement par asar nahi parta aur dono ke harkat random hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	11
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12471958

    Correlation Table
    Different periods of time main neechy diey gay tables main aap currencies ka correlation coefficient dekh sakty hain.

    GBP/USD Correlations

    GBPUSD EURUSD USDJPY USDCHF USDCAD AUDUSD NZDUSD EURJPY EURGBP
    1 Week -0.23 -1.0 0.94 -0.98 0.98 0.93 0.93 0.86
    1 Month 0.63 -0.98 0.13 -0.90 0.90 0.96 0.91 0.86
    6 Months -0.62 -0.85 0.31 0.35 0.61 0.65 0.28 0.71
    1 Year -0.69 -0.98 0.88 -0.93 0.95 0.96 0.66 0.02
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is currency correlation?

    Dear pakistan's forex forum member, mairy openion k mutabik yeh aik bahut he important topic hai qk ziada tar members aur traders is baat say bay khabar hain. Yeh aik completely truth hai k poory world ki curriencies ka aik dusray k sath correlation hai aik curriency ki change say dusri curriencies pay zarur impact hota hai. Mairay knowledge k mutabik agar ham traders is correlation k baray main discuss kartay hwuay iska mukammal knowledge hasil kartay hain to ham forex market ki trading main is say acha benefit hasil kar saktay hain, laikin unfortunately is knowledge k baray main bahut he kam traders jantay hain.

    Dear member, apki is post k reply main aaj ham achay tarekey say discuss kartay hain jisko samjhnay k liye hamko discuss pay ghour kartay hwuay sab kuch hasil karnay ki try karnay say he ham isko samjh saktay hain jiski kuch highlights darj zail hain jisk baray main umeed ki ja sakty hai k wo sab k liye helpfull sabit honge.

    What is Correlation in Forex Trading:

    Dear, mairay knowledge k mutabik jab forex market k chart main 2 curriencies ka aik dusray k sath correlation hota hai, jab chart pay 2 pairs same directions main run kartay hain to usay ham positive correlation kehtay hain, aur jab wahi pairs aik dusray k opposit run kartay hain tab ham unko negative correlation kehtay hain.

    Click image for larger version

Name:	correlation1.png
Views:	3
Size:	113.2 کلوبائٹ
ID:	12342847

    How to trade curriency correlation:

    Dear, mairay knowledge k mutabik world ki curriencies ka correlation bilkul normal hai, for example ham candial doller (CAD) ki baat kartay hain jiska correlation oil prices say hai, Astralian doller (AUD) ka correlation Newzeland (NZD) say hai aur usk sath sath gold aur cruide bhi is say related hain. Ab yeh sab aik traders pay depend karta hai k us nay kasiay in correlations ko apnay mined main rkahtay hwauy market k chart main trading kartay hwuay losses say bachna hai aur kaisay profit ko hasil karna hai.


    Hedging Positions:


    Dear, mairay knowledge k mutabik agar ham trading correlation ka acha knowledge hasil kartay hain to hamain market main kaam kartay hwauy double faida hasil ho skata hai qk jahan pay curriencies ka correlation hai wahi pay ham unko hedging kartay hwuay apnay orders ko long term k liye wait aur hold say acha faida hasil kar saktay hain, qk jab market main supply aur demand k time pay ham hedging k douraan cut kartay hain to next hamara order profit hasil karna start kar daiga jis say ham hedging positions say acha benefit hasil kar skatay hain.
    • #3 Collapse

      Re: What is currency correlation?

      Dear friend ap nay bahot he achay andaz men Currency Correlation kay baray men bat ki hay aor acha knowledge provide karnay ki koshish ki hay, aisay he ham sab members forum kay zaria say ek dosray ko educate kar kay knowledge men izafa kar saktay hen, esi hawalay say men bhi apni raye pesh karna chaon ga umeed hay members ko meri taraf say bhi Insha Allah zaror faida ponchay ga.

      Currency Correlation kay smjhay say kia malom hota hay?

      Dear Currency kay ais bahami bahami taluq say hamen ye molom hota hay kay Forex market men kon say currency pair same direction men ya mukhalif direction men move kartay hen ya bilkul baytarteeb move karty hen aor ais bat ko ko bhi samjh lena zarori hay kay currency men koi bhi pair alaga nai hota hay.

      Currency Correlation Forex Trading pay kis tara asar karta hay?

      Dear members Currency Correlation ko smjhna intahai zarori hay kyn kay ais ka asar directly Forex Trding kay result pay asar hota hay ais lye ais kisi sorat men nazarandaz nai kia ja sakta.

      Currency Correlation kitni types ka hota hay?

      Forex currency pairs men two types ka correlation hota hay NEGATIVE aor POSITIVE

      NEGATIVE CORRELATION. Ais ka matlab ye hota hay jab do currency pairs opposite direction men move karen to aisy Negative Correlation kehtay hen.

      POSITIVE CORRELATION. Ais ka matlab ye hota hay jab do currency pairs same direction men move karen to aisy Positive Correlation kehtay hen.

      CONCLUSION:-

      Dear Friends forex men koi aisa mozon nai hay jis ko nazar andaz kar kay ham forex men profit bana saken jo bhi forex kay bary men knowledge ho wo hamen har sorat gain karna ho ga jab he ham forex men achay traders ban saktay hen aislye hamen har sorat learn karna ho ga.
      • #4 Collapse

        Re: What is currency correlation?

        Assalamu Alaikum dear aapane bahut Achcha aur different topic discuss kiya hy. Yah Eek aysa topic hai ki Jiske bare mein agar Ham acche tarike se knowledge rakhte hain or Uske mutabik agar ham forex market Mein kam Karte Hain To Hamen Uske acche advantages Hasil hote hain. Dear mein bhi aaj aapko isi topic se related Kuchh information dena chahti hun.

        Correlation kia hy?

        Dear correlation 2 currencies ke darmiyaan istemal hone Wali statistical measure ko Kahate Hain. Iska matlab ye hai k jab koi ek currency pair move karta hai To usse related dusre currency pair per uska asar kis tarah ka hota hai Isko correlation ka naam diya jata hai. Dear Jab aapko currency pairs Ky aapas mein correlation ke bare mein acche tarike se Pata hota hai to aap is baat ka andaza acche tarike Se Laga sakte hain ki ek pair ke move karne se dusre pair per Kis Tarah ka effect ho sakta hai.

        Correlation coefficient kia hy?

        Dear correlation ko find karne ke liye Ye Jo method istemal Kiya jata hai use ko correlation Coefficient Kahate hain. For example GBPUSD or EURUSD Ka aapas Mein correlation jis tarike se findout kiya Jaega usko correlation Coefficient ka naam dengy.

        Types of currency correlation:

        Currency correlation ki 2 type hoti hain. Positive correlation and negative correlation.

        Positive correlation
        Dear Jab Kisi Ek currency pair ke move karne se dusra currency pair bhi move karta hai aur un donon ki direction same hoti hai hai to usko positive correlation Kaha jata hai.

        Negative correlation:
        Dear jab Ek currency pair ke move karne se dusra currency per bhi move to kary lekin un donon ki direction opposite side per ho to usko negative correlation kahenge.

        Range of correlation:

        Correlation Coefficient ki range -1 se +1 ke darmiyaan hoti hai. Agar aap koi si bhi 2 currencies Ka aapas Mein correlation Coefficient find Karte hain to Agar uska answer -1 and + 1 ke darmiyaan aata hai to its main aapki calculation perfect hai lekin Agar uska ka answer -1 ya +1 ke darmiyaan Nahin Aata to aapki calculation galat hai hai.

        Forex correlation ki trading tips:
        Dear ayse currency markets ko find out Karke usmein kam karna chahie ke jine ke darmiyaan strong positive ya inverse correlation ho. Aysa correlation Jo ke above +0.5 and below -0.5 ho vahan per strong correlation ya inverse correlation hota hy. Ya strong correlation ko hedging exposure k ly istemal kia jata hy. Agar aap risk ko diversify karna chahte hain to aap aap Aise currency pairs ko select Karen Jinka correlation-0.3 and + 0.3 ke darmiyaan ho iska matlab yah hota hai ki ine donon ka aapas mein Koi correlation Nahin hy.

        Conclusion:
        Dear forex market mein agar aap correlation Coefficient entomon Baton per Jo ke upar Byan ki Gai Hain unko Samne rakhte hue trading ke liye pears let Karte Hain To aap successful Hote Hain
        • #5 Collapse

          Re: What is currency correlation?

          My dear friend assalamu alaikum ummid karta hu AP sab khairiyat se hongy forex stepping mein ziyzda tar hamei cash pay ziyzda track karni chaiye kun kay cash hamein ziyada noksaan ni deti orr ager murmur ziyada tatr gold ya dosry pear py track karin gay to hamein porafit bhi ho sakt hain. or hamein misfortune bhi ho sakata feed issi liy hamei cash py focas jkarna chaiye or stepping ko samjhna chaiye jub tak murmur cash ko samjh lein gay to murmur ziyada porafit hasil kar sakty hain.

          1:(position heading):

          My dear friend assalamu alaikum ummid karta hu AP sab khairiyat se hongy g AP ko baty gy ka trading correlation ka acha knowledge hasil kartay hain. to hamain market main kaam kartay hwauy double faida hasil ho skata hai. qk jahan pay curriencies ka correlation hai wahi pay ham unko hedging kartay hwuay apnay orders ko long term k liye wait aur hold say acha faida hasil kar saktay hain, qk jab market main supply aur demand k time pay ham hedging k douraan cut kartay hain. to next hamara order profit hasil karna start kar daiga jis say ham hedging positions say acha benefit hasil kar skatay hain.

          2:(positive correlation):

          My dear friend g ya positive correlation Ais ka matlab ye hota hay. jab do currency pairs same direction men move karen to aisy Positive Correlation kehtay hen.agar aap correlation Coefficient entomon Baton per Jo ke upar Byan ki Gai Hain unko Samne rakhte hue trading ke liye pears let Karte Hain To aap successful Hote Hain.ham forex market ki trading main is say acha benefit hasil kar saktay hain, laikin unfortunately is knowledge k baray main bahut he kam traders jantay hain.

          3:(currency correlation):

          My dear friend g ya currency ak asi curresy hai. kay baray men bat ki hay aor acha knowledge provide karnay ki koshish ki hay, aisay he ham sab members forum kay zaria say ek dosray ko educate kar kay knowledge men izafa kar saktay hen, esi hawalay say men bhi apni raye pesh karna chaon ga umeed hay members ko meri taraf say fayda hota hai.
          • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
          • #6 Collapse

            Re: What is currency correlation?

            اصل پيغام ارسال کردہ از: NawazAwan پيغام ديکھيے
            Productive ya successful trader banny kay liey yeh bahut important hai kay aap poory portfolio ko samjhin jo market ke volatility ko affect karta hai. Aur ye cheez jab forex trading kar rahy hon to zaida important hoti hai. Kun kay currencies ke price pairs main hoti hai to koi bhe pair kise dosry pairs say completely independent nahi hai. Jab aap ess correlation say wakif ho jaaty hain tab aap apni overall trading ko control kar sakte hain.

            What is correlation?
            Financial world main correlation 2 currencies kay darmiyaan statistical measure ko kehty hain. Sada alfaaz main es ka maylab ye hai kay jab aik currency pair move karta hai to uska kitna affect kise dosry pair pe parta hai jo uss currency pair sy related hai. Ab jab aapko correlation ke samjh aa jaati hai aur pairs ka apas main correlation ka andaza ho jaata hai to uss correlation ke miqdaar ya kitna zaida apas main taluq hai es baat ka pata hona chahey. Yani kay agar GBPUSD aur EURUSD ka apas main correlation hai to ye cheez dekhine hai kay jab GBPUSD up move karta hai to EURUSD kis direction main move karta hai aur agar GBPUSD 10 percent up move karta hai to EURUSD same direction ya opposite direction main kitne percent move karta hai. Ye cheez ko dekhny kay liey correlation coefficient ko use kiya jaata hai.

            Correlation Coefficient
            Correlation ko compute karny k liey correlation coefficient ka istemaal kiya jaata hai. Correlation ke range -1 sy +1 kay darmiyaan hoti hai. Aik perfect positive correlation ka matlab hai kay currencies kay 2 pairs 100% aik direction main move karte hain. Aik perfect negative correlation ka matlab hai kay 2 currency pairs 100% mukhalif simt main move karin gy. Agar 2 currency pairs ka correlation zero hai to to eska matlab hai wo apas main independent hain aur aik pair ke movement sy dosry pair ke movement par asar nahi parta aur dono ke harkat random hoti hai.

            [ATTACH=CONFIG]31882[/ATTACH]

            Correlation Table
            Different periods of time main neechy diey gay tables main aap currencies ka correlation coefficient dekh sakty hain.

            GBP/USD Correlations

            GBPUSD EURUSD USDJPY USDCHF USDCAD AUDUSD NZDUSD EURJPY EURGBP
            1 Week -0.23 -1.0 0.94 -0.98 0.98 0.93 0.93 0.86
            1 Month 0.63 -0.98 0.13 -0.90 0.90 0.96 0.91 0.86
            6 Months -0.62 -0.85 0.31 0.35 0.61 0.65 0.28 0.71
            1 Year -0.69 -0.98 0.88 -0.93 0.95 0.96 0.66 0.02

            INTRODUCTION:

            Asalam o alaikum dear forex members apny humry sth bht informative knowledge share kia ha main b apky sth apna knowledge share krta hn currency correlation k related to dear members agr ap chahty hn k ap tradingtrading professional trader bn jaen tto humy chahiye k hum tradtrading markt k hr ek currency pairs commodities hr cheez ko smjhen ta ky hum b trading achi earninearning kr sky to is k ly humhumy chshiye k kesy k currency correlation me volatility ko smjhna b bhtbht zaruri ha q k currency ki price pairs me hoti hs to kkoi pairs ksi 2sry pairs se puri trah Independents ni ha.. jb ap in currency correlation se puri trah wakif ho jty hn to tb ap apni trading control r handle kr skty hsin...

            CORRELATION IN FOREX TRADING:

            Dear members jo expert traders hoty hn wwo to hr cheez se wakif hohoty hn k currency correlation puri almi dunia me 2 currencies kk drmyan statistical measure ko kehty hn.. iska mtlb ye ha k jbjb ek currency pair move krta ha to uska effect 2sry pairs pr b ktna prhta ha ye dekhndekhna hota ha Forex market kk chsrt me 2 currencies ka ek 2sry k sth correlation hota ha. Jb forex marktmarkt k chart me 2 pairs same direction me jty hn to usy hum positive correlation kehtkehty hain r jb ek 2sry k opposite direction me run krtykrty hj to usy hum negative correlation kehty hn jb apko correlation ki pairs ki smjh aa jti ha RR pairs ka apas me correlation ka andaza ho jta ha to correlation ki quantity ka pta hona chachahiye...

            CURRENCY CORRELATION IN FOREX TRADING:

            Dear members jesy k ap sbsb jnty hn k agr bt currency correlation ki ki jae to puri dunia ki currency correlation bilkul norml ha..
            For example:
            Australian dollr (AUD) ka correlation newzeland (NZD) se hai r candian dollr (CAD) ki correlation oil ki prices se ha r isky sth sth gold r cruid b isi k related ha ye sb to apko bta ab bt ye ha k jo expert traders hon gy wohi in se bach skty hn ab trader pr depends krta ha k wo in correlation ko apny mind me rkhty huy trade kr k loss se bacha k profit hasil kr skta ha ye sb traders pe depnds krta ha...

            CONCLUSION:

            Desr members jesy k ap sb jnty hnhn k forex makrt me hum ksi b topic ya ksi b hhanding ko ignore ni kr skskty q k hum jb tk is sb chezo ko smjh ni lelety hum kbi b forex trading me profit nini bna payn gy is ly humy aapny knowledge me izafa krna hhoga ...

            اب آن لائن

            Working...
            X