Forex ka knowledge time guzarny kay sath sath bharta rehta hai. Lekin chand aise cheezin hoti hain kay jinko lazmi seekhna hota hai aur wo cheezin directly aapky account par asar-andaazz hote hain. Aur en cheezon main aik cheez order hai. Market main order kiya hai aur kis time aapne kon sa order lagaya hai ye aapko pata hona chahey. Order lagany ka mukhtalif tareeka hota hai aur har tareeky ka apna faida aur nuqsaan hai ho sakta hai. Lekin aapko agar generally saari information hai to aap apny order ko zaida productive bana sakty hain.
Market Order:
Pehli aur maqbool tareen order ke type market order hai. Jab koi trader apna order submit karwaata hai to ess ka matlab hota hai kay market ke jo currently price chal rahi hai uss price pe market sy jitna aapne currency ko buy ya sell kiya hai wo order foran laga diya jaata hai. Lekin ye baat mind main rakhna chahy kay market main price bahut jaldi oper neechy hoti hai jiss ke wajha sy aapko shyed wo price na mily jo aap lagana chah ry hain.
Example: Farz karin aap nay EUR/USD pair par trade lagani hai to aap dekhty hain kay market ke price 1.1750 chal rahi hai aur aap apny broker pe order karty hain kay aapka 10,000 units ka order execute kar day. Lekin jab aap order lagaty hain to ho sakta hai kay aapka order lagty lagty market ke price 1.1760 ho jaay to aapko us price pe 10 hazar units mily gai to es ka ye aik nuqsaan hota hai. Lekin es cheez sy bachny kay liey aapko next order ke type madad deti hai.
Limit Order:
Market order kay baad limit orders ka istemaal bhe kafi zaida kiya jaata hai. Limit order main market order ke tarha current price par order execute nahe hotaa balkay aap apni matzi ke price set karty hain to jab market uss price par jaati hai yo aapka order execute hota hai. Es sy aap best possible matket price main apni marzi ke entry laga sakte hain.
Example: Hum ess type main bhe EUR/USD ke misaal ka istemaal karin gay aur farz karin kay market ke price 1.1750 chal rahi hai. Lekin aap chahty hain kay aapka matket main 10,000 untis ka order 1.1725 ke price sy lagy to aap limit order ka istemaal kar kay buy limit laga kar rakh sakte hain aur jab market aapki de hui price par aay ge to aapka order lag jaata hai. Limit orders support aur resistance par bahut zaida kamyaab rehty hain.
Stop Order
Stop order aur limit order main itna zaida farak nahi hai. Stop order main yeh hota hai kay agar buy ka order lagaty hain to market main current price kay neechy sy buy ke bajay aap oper wali price pe order set karte hain. Aur limit main ye hota tha kay aap current market price sy neechy buy aur oper sell ka order lagaty thy. Chalin es kay liey aapko aik misaal sy samjhany ke koshish karte hain.
Example: EUR/USD waly pair ko phir aik baar misaal main shamil karte hai aur wohi same market price yani kay 1.1750 chal rahi hai. Ab aapne agar 1.1780 sy buy karney kay liey order lagana hai to aap stop order ka istemaal kar kay ye order laga sakte hain. Ye order aap kay liey zaida faidamandd sabit ho sakta hai jabb aap breakout strategy par kaam kar rahy hoty hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим