What is fast moving average?
Agar aap nay moving averages kay baary main thora bahut knowledge haadil kiya hai to main aap kay sath aik intehaai easy aur simple strategy share karta hun jo kay intehaai useful aur profitable hai. Lekin esko use karty wakat ye baat bhe zehan main rakhnii hai kay koi bhe strategy harfe aakhir nahi hai. Aap apni strategy bhe bana sakte hain aur kise strategy ko change bhe kar sakte hain lekin trading asoolon ko lazmi follow karin taa kay aapka capital mehfooz rahy.
Strategy:
Fast moving average crossover strategy main hum 15 min timeframe use karin gy aur es kay liey 3 exponential moving average (10, 25, 50) period ka istemaal karin gay. Eska ka entry aur exit rule asaan hai. Jab 10-period EMA (Exponential moving average) 25-period EMA main sy guzrati hai aur jaari rehty huy 50-period EMA ko bhe cross kar jaati hai to aap 10-period EMA ke direction main entry lay sakty hain. Phir exit kay liey aapne dekhna hai kay jab 10-period EMA 25-period EMA ko cross kary to aap exit kar sakte hain ya phir 50-period EMA cross karny tak aap wait kar sakty hain kunkay sometimes market retracement kay baad dobara same direction main murr jaati hai.
Explanation:
Jesa kqy aap oper diey gy chart main dekh sakte hain kay 2, 3 jagha par 10-period EMA nay 25-period EMA ko cross kiya aur us kay baad 50-period EMA ko cross karny ke confirmation hui to aap agar wahan sy entry lety hain aur jab market 10-period ke direction main rahy us wakat tak entry na lain jab kay 25-period aur 50-period ko 10-period EMA cross kar jaay wapis aak kay to aap exit lay sakte hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим