Aik currency pair jo hota hai us main aapko 1 currency ke dosri currency kay mukably main price btaata hai. Aaj sy kafi arsa pehly jab aik currency ko USD kay elawa kise dosri currency main exchange karna hota tha to pehly us currency ko USD main convert kiya jaata tha aur us kay baad un dollars sy apni required currency ko tabdeel kiya jaata tha. Maslan agar 1 aadmi ko pound ko Japanese yen main tabdeel karna hota tha to pehly pound ko dollar main tabdeel kiya jaata tha aur phir un dollars ko Japanese yen main tabdeel kiya jaata tha.
Forex currency crosses ke ijaad kay baad ab kise currency ko USD main convert karny ke zaroorat nahi parti balky ab aap directly usd ko involve kiey baghair 1 currency ko dosri currency main tabdeel kar sakty hain.
Forex crosses ke misaalin: GBP/JPY, EUR/GBP, EUR/JPY, EURCHF.
Calculation: Wesy to aapko calculations kafny ke zaroorat nahi hoti hai aur aapko meta trader 4 aur meta trader 5 main automatically forex crosses ke price calculate ho kay milte hai. Lekin agar khud sy calculate karna chahin to main aapko bata deta hun.
Agar aap EURJPY ke price nikaalna chahty hain to aap 2 usd pairs EURUSD aur USDJPY ke price nikaalin aur dono ke bid price yani kay first wali price ko aapas ma zarab dain yo aapko EURJPY ke price mil jaay ge.
EURUSD = 1.1800
USDJPY = 110.21
EURJPY = 1.1800 × 110.21
EURJPY = 130.04
es tarha aap forex crosses ke value ko calculate kar sakty hain. Forex crosses main trading aapkay liey achi saabit ho sakti hai. Bila shuba USD ke price saary pairs par effect karti hai lekin crosses kay apny fundamentals bhe hoty hain, aap un kay analysis kar kay major pairs ke tarha trafing kar sakty hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим