What is risk management?
Forex risk management aik set of rules hai jo aapko ksi bhe trade kay negative impact sy bachata hai. Maslan agar aapko trade main loss hony lag gya to usko kesy manage kesy karna hai, us loss ko bara loss sy bachana kesy hai aur usy recover kesy karna ha. Forex trading better planning sy hoti hai aur aapky liey ye acha hoga kay aap kay pass trading start karny sy pehly aik acha plan mojood ho.
How to manage risk?
(1). Pehla rule ye hai kay aapko forex market kay baary main malumaat honi chahey. Forex market poori duniya ke currencies sy bani hai jesa kay USD, JPY, GBP, EUR, AND CHF. Ye saary currencies supply aur demand sy move karti hain.
FX (foreign exchange) or forex currencies pair main trade ke jaati hain. Currency pair ke pehli currency base currency aur dosri quote currency khelati hai, maslan EURUSD aik pair hai aur es main Eur base aur Usd quote currency kehlati hai. Ye basic knowledge aapky pas hona zaroori hai.
(2). Jab aap fx ma trade karty hain to aapko leverage ka sahi istemaal aana chahey. Agar aap leverage ka sahi istemaal nahi kar sakty yo account hamesha risk pe hota hai. Apny account kay capital kay hisab sy trading plan bana kar leverage ka sahi use karna intehaai zaroori hota hai.
(3). Aik acha trading plan aapky account ko save rakh sakta hai. Agar aik acha trading plan aapky pass mojood hai to aap market main zaida volatility kay time bhe achy decisions lay sakty hain. Ye bahut zaroori hai kay ap apna plan khud banain aur test kar kay implement karin. Kisi aur ka plan istemaal karny ke soorat main aapko nuqsan ho sakta hai.
(4). Risk reward ratio ko set karny say ap apny account ko achi tarha sy manage kar sakty hain. Risk reward ratio es tarha honi chahy kay agar aapki trades fifty percent loss main close hon aur fifty percent profit main to apko overall profit hona cahey. Maslan agar 10 main sy 5 trades main profit ho aur 5 main loss to risk reward ratio esy honi chahey kay aapko overall profit ho raha ho.
(5). Stops aur limits ko use kar kay aap apny account ko sahi manage kar sakty hain.
(6). Jazbaat forex market main aik aisa factor hai kay aapko ghalat faisla leny par majboor kar deta hai. Agar aapka apny jazbaat kay oper kabu nahi hai to ye aapko loss ke taraf dhakailta hai. Risk ko manage karny kay liey trading plan pe amal daramad karna chahey aur jazbaat ko haavi na hony diya jaay.
Ye saary points agar aap mind main rakh kar apny plan kay mutabik chalty hain to aap kafi had tak apny risk ko manage kar sakty hain.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим