What are the Different Types of Traders?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What are the Different Types of Traders?
    Different Types Of Traders
    Traders ke mukhtalif iksaam hoti hain, aur har kisam ko different approach kay zariey kiya jata hai. Maslan aap agar thory time market main reh kar trade karna chahty hain to us kay liey different approach hogi aur lamby arsy kay liey market main rehny kay liey different approach hoti hai.

    Aap kay liey ye pata lagana bahut zaroori hai kay aap kis type k trader hain aur kis tarha ke trading aapko suit karti hai. Jis tarha ke trading aapko suit kary aur aap comfortable feel karin wo type kaam karna chahey. Traders ke different types mandarja zail hain:
    ▪︎Scalper
    ▪︎Day Trader
    ▪︎Swing Trader
    ▪︎Position Trader
    ▪︎Event-Driven Trader

    1. Scalpers short term traders hoty hain aur choty time frame ma kaam kar kay apni positions ko chand seconds ya minutes tak hold karty hain aur market sy exit kar jaaty hain. Enka target thora hota hai aur ye day traders ke nisbat market main km time lagaty hain.

    2. Day traders Scalpers ke nisbat tohra bara time frame use kar kay intraday trading karty hain aur ye chand minutes sy ly kar chnd ghanton tak markt main stay karty hain. Day traders apni trades end time tak close kr dety hain ta kay market close hony k baad wala effect unki trades par na pary.

    3. Swing Traders apni trades ko1 din sy zaida hold karty hain aur chand hafton tak bhe trades ko hold karty hain. Swing traders technical analysis ko fundamental analysis par tarjeeh dety hain. Albata wo aise news par nazar rakhty hain jo bht zaida market main volatility laa sakti hain.

    4. Position Traders trades ko lamby arsy tak hold karty hai jo kay chand hafton sy lay kar saalon tak ho sakty hain. Position traders matket main hony wali choti moti changes ko nahi dekhty. Aur bary timeframe par analysis kar kay trades ko hold karty hain aur fundamental analysis ko zaida tarjeeh dety hain.

    5. Event-Driven Traders Technical analysis ko chor kar fundamental analysis ko dekhty hain aur market main news ke wajha sy jo impact parta hai us doraan wo trading karty hain. Political ya economic events jesa kay GDP, Non-Farm Payroll aur employment figures ya elction weghra pe ye traders trading karty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What are the Different Types of Traders?

    Different Types of Forex traders.

    Wese tu bhut sy differrent type k traders hoty hain aur haar koi apni apni soch samjh k hisab sy kaam akarta hai agar main yeah kahoon k haar koi apni hisab sy kaam akrta hai tu yeah kehna gaalt na hoga . Different CURRECNCIES main kaam karny k liye hamain bhut zada different approach ks ath kaam karna hoga.

    Forex member apko yeah maloom hoa bhut zarori hai k haam konci trade kar rahy hain aur kese haam apny trading style ko change kar sakty hain aur kis waqat konsa trading style adopt karna chiaye .agar haam ek achy trader hain tu hamamin yeal maloom hona xarori hai k haam haar waqat apny trading style ko change kar sakty hain aur bhutz ada different tareeky haam apna profit kama sakty hain .

    Different Types of Trading?

    1) SCALPER

    Scalpers ki forex trading mian bhut zada importance bhi hai aur bhut zada scalpers bhi apko daikhny ko milty hain. Scalpers ki tadaad zada hoti hai scalpers few seconds ya few minutes k liye market main entry hasil karty hain aur exit hojaty hain unko is main koi khaas lamba ya zda profit hasil nahi karna hota hai wo kaam profit k baad he trade ko baand kar dety hain . (Time farmes M1 TO M15 is main shamil hain)

    2) Day Trader

    Day traders scalpers sy different approach karty hain aur analyses bhi different tareeky sy karty huye chalty hain in main day traders hamesha intraday trade karty hain aur analyses ki madad sy hamesha wo PIPS earn karty hain aur target banaty hain k kityny pips taak TP aur SL lagana hai.


    3) SWING TRADER


    Swing traders hamesha day trader k muqbaly mian apni trades ko single day sy zada hold karty hain aur technicle analyses ko favour karty hain fundamental analyses ki nisbaat. Aur swing traders hamesha risk ko bear kar k trade karta hai.

    4) Position Trader

    Position traders hamesha long term trade karty hain aur apni trades ko bhut lamby arsay taak hold krty hain aur unko long term taak wait kartty hain . Ese traders k liye fundamental analyses bhut zada kaar amad hota hai.

    5) Algorithmic Trader

    Alogorithmic traders hamesha computure programinng paar kaam akrty hainaur computer prices paar bhut zada focused rakhty hain. Ese loog new technology ka isteemaal karty haina ur un ki madad sy trading karty hain.

    6) Event Driven Trader

    Event driven traders hamesha fundamental analyses paar focused rakhty hain aur tecnicle analyses ko kaam focus rakty haina aur apna analyses is paar karty hain. In ki khaas baat yeah hoti hai k yeah trade hamesha economical changes yaa economical effects sy hony waly spikes sy katy hain. (PAYROLL DATA, GDP & UNEMPLOYMENT RATES) .
    • #3 Collapse

      Re: What are the Different Types of Traders?

      Dear apny bahot he achi information hmary sath Pakistan forex forum par share ke hy, hum jab forex market main kaam kar rahy hoty hain to is main hum dekhty hain k humain different traders dekhny ko milty hain. Her trader apni strategy aur trading experience k hisab sy forex market main kaam kar raha hota hy. Is market main jab tak apk pass trading knowledge aur experience nahi hoga apko kamyabi nahi mil sakti.

      Difference Types Of Traders: Dear is market main humain different types of traders dekhny ko kilty hain jin k kaam karny ka tareqa different jota hy dosrom sy. Aur wo traders ye hain:

      Scalper Traders: Dear forex market main ye wo traders hoty hain jo k big lot size ka istemal karty hain aur bahot kam time k liay apni trades ko market main open rakhty hain. Dear ye traders market main acha experience honynke base par apny account k hisb sy big lot lgaty hain. Yee choty timeframs main apny analysis ko perform Karke trade karty hain.

      Short term or Day Traders: Dear ye wo traders hoty hain jo k din main market main trade lgaty hain aur apka target complete hon k bad market main Trade close kar dety hain. Inki trade scalper Traders sh zyada time market main open rehti hy aur ye market main Money management k sath kam karty hain.

      Long term Or Position Traders: Dear ye traders market main lamby arsy k liay kaam karty hain aur apni trade ko hold rakhty hain. Inki trades ka period one month sy b zyada ho sakta hy. Ye big timeframs main analysis karty hain aur technical k sath sath fundamental Analysis par bhe kam karty hain.

      Swing Traders: Dear ye traders market main sirf sirf swing trading karty hain. Ye us wakt apni trade open karty hain jab kisi bhe currency pair, commodity ya Indices ka trend change ho raha hota hy. Isk liay different technical Indicators aur candlestick ko follow karna hota hy.

      Dear is market main ap jab bhe kam karty hain to apko sub sy pehly market k bary main study karna hoge aur is market ko samjhna hoga. Jab ap kisi bhe strategy k sayh demo account par kam karin gh aur practice kar k apna experience increase krin gy to apko is market sy faida zaror hoga.
      • #4 Collapse

        Re: What are the Different Types of Traders?

        Dear aapane bahut hi acchi information hamare sath Pakistan forex form per share ki hai.jab Ham Pakistan forex market mein kam karte Rahe hote Hain to ismein Ham dekhte hain ki hamen different trader dekhne ko milte Hain,jo har Koi apne maternity level ke hisab se trading karta hai. Is market mein jab tak aapke pass trading ke related knowledge or experience nahin hoga aapko kamyabi nahin Mil sakti.

        Agar aap trading karna chahte hain to uske liye aap ko phly ya pata lagana bahut jyada important hai ki aap kis type ki trader hai aur kis tarah ki trading aapko suitable hai jis tarah ki trading aapko suitable hogi aur aap comfortable feel karenge wo type ka kam karna chahie.

        Short time trading:
        Dear short term trader wo hote Hain Jo short time frame ko watch karte huy trading karte hain.wo jyada long time market mein training nahin karte Bal ke wo apni position Chand second ya minutes trading karke market se out ho jaate Hain.wo jyada long time trading nahin karty.

        Day time traders:
        Short-term ke nisbat thoda long time frame use karke intraday trading karty Hain aur Chand minute se lekar Chand ghanta tak ki market mein stay karty hain.Day trader apne trades end time tak close kar dete Hain Taki market close hone ke bad wala effect unki trades per na pary.

        Long time traders:
        Dear ya wo trader hote Hain Jo long time tak trading karte hain yah apni trading ko 1 din ya weekly Tak bhi hold rakhte Hain. Swing traders technical analysis ko fundamental analysis par focus karte Hain. albatta wo asie news per bhi focus rakhte Hain.Jo bahut jyada market mein volatility laa sakti hai.

        Position traders:
        Trades ko long time tak hold rakhte Hai jo k kuch weekly se lekar salon Tak bhi ho sakty hain. position traders market mein hone wali choti moti changing Ko nahin dekhte aur long time frame per analysis Kar ke trade ko hold rakhte hain aur fundamental analysis ko jyada focus karte Hain.

        Technical analysis ko chor kar fundamental analysis ko bhi dekhte hain aur market mein news ki wajah se jo impact parta hai use doraan wo trading karte Hain.political ya economical events jaisa ke GDP, Non- farm payroll aur employment figures ya election weghra pe ya trading karte Hain.
        • #5 Collapse

          Re: What are the Different Types of Traders?

          aap ko salam ho meri traf say. aap ko jo bhi malo mat wo aap dusro say zaror share kary taky wo bhi koch chezo ki samaj a jai gi tu unky liye thik rehe ga aap ko her kaam kisi ki help leni hoti hai aap kaam nahi ata tu aap kisi kay paas ja kar usk jo experience hota hai wo hasile karty hai phir aap ko kaam ki samaj ajati hai aur jo topic hai trader ki types kay bary mai tu jo mujay pata ho ga mai wo mai aap kay saat shar zaror karo ga aap ko ye bat pat hai kay trdaer wo hota hai jo fore mai aap trading karty hai aur aik cheez y bhi hoti hai kay hum jab kise chez ko name say bolaty hai kay humary mulk mai trade ai hai matlab kay hmara sui gas ka trade hai ye it ka trade hai ye sub trade hai hum forex mai jo baat honi chaye wo trader ki baat hai trader ki bhot si taypes hai jo aap ko pata hona chaye jab aap trader ki taypes ka pata karo gay aur saat hi koch aur chezo ka bhi pata chal jai ga.
          • #6 Collapse

            Re: What are the Different Types of Traders?

            Apne bahut acchi information hamare sath share ki hai ki, hum jab forex market mein kam kar rahe hote hain to ismein ham dekhte hain ki hamen different traders dekhne ko milte hain. Her trader ki apni trading strategy or trading experience hota hai jiski according wo kam kar raha hota hai. Agar ham forex market mein kamyab hona chahte hain to iske liye zaruri hai ki hamare pass achcha knowledge Ho achcha experience Ho tabhi Ham forex market mein kamyabi hasil kar sakte hain.

            Different kinds of Traders:

            Is market mein hamen different kinds k trader dekhne ko milte hain jin ke kam karne ke tarika dusre traders se bilkul different hota hai.

            Scalper Trader:

            Scalper ki forex trading mein bahut zyada importance hoti hai. Yah short term trader hote hain. Enka ka target thora hota hai aur ye day traders ki nisbat market mein kam time lagate hain. Is mein unko Koi zyada profit hasal nai karna hota hai wo kam profit ke bad hi trade ko close kar dete hain. Yah chhote timeframe mein apne analysis ko perform karke trade karte Hain.

            position Trader:

            Position trader hamesha long term trade karte hain aur apni trade ko bahut lambe time tak hold karte hain. Position traders market mein hone wali small yahan big changes ko nai dekhte. Aur big time frame per analysis karke trade ko hold karte hain. Is trade ka period one month se bhi zyada ho sakta hai.

            Day Trader:

            Scalpers ki nisbat thora zyada time frame use kar ke trading karte hain. Aur market mein yah wo traders hote hain Jo ke din mein trade lagate hain aur apna target complete hone ke bad market mein trade close kar dete hain. Yah market mein money management ke sath kam karte hain.

            Swing Trader:

            Swing traders apne trades ko aik din se zyada hold karte hain. Swing traders technical analysis ko fundamental analysis par focus date hain. Aur swing traders hamesha risk ko bear kar ke trade karta hain. Iske liye different technical indicators aur candlestick ko follow karna hota hai hai. Yah traders market mein sirf swing trading karte hain.

            Event-Driven Traders:

            Technical analysis ko chor kar fundamental analysis ko dekhte hain aur market mein news ki vajah se jo impact parta hai use time wo trading karte hain. Inki special baat yah hoti hai ki yah trade hamesha economical changes ya economical effects se hone wale spikes se karte hain.
            • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
            • #7 Collapse

              Re: What are the Different Types of Traders?

              Assalamu alaikum friends miss karta hun aap sab khairiyat se honge market aur per trading kesariya hamen traders ki types ke bare mein Janna bahut jaruri hota hai
              Different kinds of traders

              Scalp traders
              Event-driven traders

              Swing trader
              Day trader

              position trader
              event-driven traders technical analysis ko chhodkar analysis ko dekhte hain aur market mein news ki vajah se impact padta hai aur time trading karte hain unki special baat yah hoti hai ki trade hamesha bahut hi acchi aur economical ho aur uske economical hone wale spikes se karte Hain aur traders market mein sirf swimming traders kesariya heat rate karte hain position traders mein Ham bahut hi achcha aur bahut hi munasif trading kar sakte hain aur achcha profit Kama sakte hain shukriya

              اب آن لائن

              Working...
              X