Double top pattern aik reliable aur famous trend reversal pattern hai. Double top pattern aapko market jab uptrend main hoti hai to us kay top pe dekhny ko milta hai, jo es cheez ke nishaan dehi karta hai kay market main buyers kum hoty ja rahy hain aur seller ke market main entry ka chance hai.
Jesa kay naam sy zahir hai kay double top pattern main market 2 peaks banaati hai. Jis kay baad ye mostly confirmed downtrend ka start hota hai.
Apkay saath main aik picture share karta hun jis main mazeed aapko double top pattern kay baary main clarity aay ge:
Jesa kay aap picture main dekh sakty hain market uptrend sy chart start hota hai aur aik peak tak jaata hai. Us kay baad market down aati hai aur support level say phir market previous high ke taraf ja kar double top banati hai. Jab previous level sy market down aati hai aur pichle support level ko torr kar down aati hai to downtrend start ho jaata hai.
Ye yaad rakhiey kay zatoori nahi kay market double top pattern confirm karny kay liey exactly same point pe jaay, balkay ho sakta ha us point sy thora oper ya neechy sy wapis aay.
Market double top pattern confirmation kay baad jab down aati hai to agli support tak pehla target set karna chahey. Aur ye mumkin hai ka market support sy phir aik baar pichle resistance ko test kar kay wapis aay.
Volumes par tawajha dena aik important part hota hai jab matket main trend ke tabdeeli ho rahi hoti hai. Jitna Volume market main aapko nazar aay utni he trend ke confirmation hoti hai.
Last main aapko ye batana chahun ga kay double top pattern ko follow karny kay liey 2 cheezin mind main rakhin
--Support line
--Resistance line
En 2 cheezon sy aapko market main entry aur exit k faisly k liey bht help mily ge.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим