What is Automated trading? Its advantages and disadvantages
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Automated trading? Its advantages and disadvantages
    What is Automated Trading?

    Automated trading financial markets main kaam karny ka aik aisa tareeka hai jis main aik computer software chand set of rules ko follow karta hai aur un rules aur algorithms ke buniyaad par matket main entries ya exit karta hai. Jab market price ksi pattern ko follow karti hai jo kay software main mojood ho to software trade execute karta hai.

    Faidy

    Minimize Emotions Automated trading emotions ko minimize kar deti hai. Normal trading main emotions ke wajha sy entry aur exit main ghalti ho sakti hai, lekin Automated trading main sirf usi wakt trade open hoti hai jab market trade rules ke requirements poora karti hai.

    Follows Set of Rules Market main disciplines ko follow karna intehaai mushkil hota hai khas tor par jab markets main volatility zaida ho. Volatility zaida hony ke wajha sy insaan kay jazbaat wala factor beech main aa jaata hai jesa kay nuqsan hony ka dar. Automated trading choon kay emotion less hota hai to us main koi emotional entry ya exit nahi hota.

    Increased Speed of Orders Aik aur faida automated trading ka yeh hai kay es say aapki trades ke speed kafi zaida milte hai. Normally trade open karny aur us kay stop losses ya take profits set karny main kafi time lag sakta hai lekin computer software es ko foran kar deta hai.

    Nuqsanaat

    Mechanical failure aik aisa drawback hai jis ke wajha say aapka order market main execute nahi hota. Ho sakta hai aapko computer main apna trade order nazar aa raha ho lekin asal main Internet failure ke wajha sy actually market main order na laga ho. Power failure ya server sy connection lost ho jaany ke soorat main bhe usko foori hal karna bahut zaroori hai.

    Beshak aapko market order lagany kay liey sirf computer on karna hai aur us kay baad order computer khud lagata hai lekin us ke lagataar monitoring bahut zaroori hai. Agar koi bhe problem aata hai ya koi bhe fault nazar aata hai to usko solve karna parta hai. So monitoring karna zaroori hai taa kay koi problem ho to usy foori hal kiya jaa saky.
    Last edited by ; 28-07-2021, 03:15 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Automated trading? Its advantages and disadvantages

    Dear member automated trading bhi ek Bohat Wasee platform Ka hissa Hy. Jo k ek automatically trade Mein entry aur exit Keri hai aur logarithmic procedure Ke sath Kam krte howy guys Hy time frame aur ristrictions Ke mutabiq kambkrti Hy.
    🌼 Never Give Up 🌼
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is Automated trading? Its advantages and disadvantages

      assalamu alaikum Eid karta hun aap sab khairiyat se honge automatic trading bahut hi acchi trading aise Ham bahut hi achcha munafa Kama sakte hain automated trading ke jitne advantages and disadvantages bhi hai advantages mein yah hai ki iska price level upar rahata hai aur aap acchi trading kar sakte hain aur acchi trading se aapko profit bhi bahut achcha mil sakta hai
      disadvantages mein SK jab price level ekdum se niche girta hai tab se bahut se traders loss ka samna karte hain jiski vajah se bahut sari lash ho jata hai traders bahut Las aur bahut jyada profit kho kho dete Hain hamen chahie ke trading mein achcha aur jimmedaar kam karna chahie shukriya shukriya

      اب آن لائن

      Working...
      X