Risk Management se Trading karna : haa bhai sahi kaha trading mein ye saari baate bahut hi zyada jaroori hai humko sab se phele trading mein risk management kaise karna hai ye sikhna chahiye kyunki zyadatar new traders apni trading mein risk kaafi zyada lete hai jisse woh 1-2 wrong trade mein apna capital blow kar dete hai. Isiliye maine kahunga risk management sabse important sahi risk management karonge toh aapki strategy kaam karengi long term mein nahi toh without risk management acchi strategy bhi fail hoti rahengi.6 Months ki Demo Trading: Aur iske saath saath humko ek accha trading plan ki abhi zaroorat hai aur fir usko strict discipline se : follow karne par hi trading mein improvement aur consistency aayengi. Isiliye maine kahunga trading ek long term process hai aur yaha trader ko kaafi patience dena padta hai skills sikhne aur trading mein consistency laane ke liye. Aur isse ke liye trader pyschological strong hona chahiye 4-5 loss se demotivate nahi hona chahiye aur apni trading ko improve karne ke liye kamse kam 6 months ki demo trading karna bahut hi zyada important hai.Apni Trading Journal Rakhna: Best option mere hisaab se ye hai ki trader ko apni ek trading journal open karni chahiye aur usmein apni har din ki trading ki planning kaise ki, execution kaise kiya aur result kya aaya ye log karte rehna chahiye. Isse hi fir trading ko samajh aayenga woh kya galti kar raha hai aur kya sahi kar raha hai. Aisa apni trading ko monitor karne se hi aap mein improvemnt aayenga aur apki trading improve hongi.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим